TAUHEED QURAAN-MAJID KI ROSHNI ME

Tawheed Quran E Majid Ki Roshni Main

TAUHEED QURAAN-MAJID KI ROSHNI ME

Allah-Taala Khud Tauheed Ki Gawahi Deta Hai
Allah Taala Farishte aur Ahle Elm is baat ki gawahi dete hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur wo insaaf ko qayem rakhne wala hai, is Galib aur Hikmat wale ke siwa koi Ibadat ke layeq nahi.
Surah Imraan Aayat No 18
Quraan-Majid Ne Logon Ko Sirf Ek Allah- Taala Ki Ibadat Aur Bandagi Ki Dawat Di Hai
Tum sab ka Mabood ek hi Mabood hai, iske siwa koi Mabood barhaq nahi wo bahut raham karne wala aur bada mahrbaan hai.
Surah Baqrah Aayat No163
Allah ke sath kisi aur Mabood ko na pukaro
Allah ke siwa koi Mabood nahi, har chiz fanaa hone wali hai, siwa iske chehre ke, issi ki Hakimyat-wa-Farmaanrawai hai[yani Allah ke siwa har chiz fanaa hone wali hai] aur tum[sab] issi ki taraf laut jaoge.
Surah Qisas Aayat No 88
Koi Mabood nahi iske yani Allah ke siwa wahi jilata hai aur wahi maarta hai yani wahi zindagi aur maut deta hai wahi tumhar Rab hai aur tumhare agle baap dadaon ka.
Surah Dukhaan Aayat No 08
Tamaam Ambiya-Ikraam Aur Rasoolon Ne Sabse Pahle Apni Apni Quoomo Ko Aqeedah-e-Tauheed Ki Dawat Di
Hazrat Nooh Aalaih islaam Humne Nooh Aalaih islaam ko inki Quoom ki taraf bheja to unho ne farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki ibadat karo iske siwa koi tumhara Mabood hone ke qabil nahi, mujhko tumhare liye ek bade din ke Azaab ka andesha hai.
Surah Aaraaf Aayat No 59
Hazrat Hood Aalaih islaam Aur humne Quoom-e-Aad ki taraf inke bhai Hood Aalaih-islaam ko bheja, unhone farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki ibadat karo, iske siwa tumhara Mabood nahi, so kya tum nahi darte?
Surah Aaraaf Aayat No 65
Hazrat-Saaleh Aalaih islaam Aur humne Quoom-e-Samood ki taraf inke bhai Saaleh Aalaih islaam ko bheja, unhone farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki Ibadat karo iske siwa koi tumhara Mabood nahi, tumhare pass tumhare Parwardigar ki taraf se ek wazah dalil aachuki hai, ye Uotni[camel] hai Allah ki jo tumhare liye dalil hai, so isko chhod do ke Allah-Taala ki zameen me khati phire aur isko burai ke sath hanth bhi mat lagana ke kahi tumko dardnaak Azaab aapakde.
Surah Aaraaf Aayat No 73
Hazrat Shoaib Aalaih islaam Aur humne madeen ki taraf inke bhai Shoib Aalaih islaam ko bheja, unho ne farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki ibadat karo iske siwa koi tumhara Mabood nahi, tumhare pass tumhare Parwardigaar ki taraf se wazah dalil aachuki hai, pas tum Naap aur Tauool pura pura kiya karo aur logon ko inki chizen kam kar ke mat do aur tum zameen ki islaah ke baad isme fasaad na karo, ye tumhare liye bahtar hai agar tum momin ho.
Surah Aaraaf Aayat No 85
Hazrat Ibrahim Aalaih islaam Aur Ibrahim Aalaih islaam ne apni Quoom se farmaya: ke Allah-Taala ki ibadat karo aur is se darte raho,agar tum me danaai[samjh] hai to yahi tumhare liye bahtar hai. Tum to Allah-Taala ke siwa Boton ki Ibadat[puja-paat] kar rahe ho aur jhoti batein Dil se gadh[rakh] lete ho, Sono! jin jin ki tum Allah-Taala ke siwa ibadat[puja-paat] kar rahe ho wo to tumhare rozi ke maalik nahi, pas tumhe chhiye ke tum Allah-Taala hi se roziyan talab karo aur ussi ki ibadat akro aur ussi ki sukarguzari karo aur ussi ki taraf tum lauotaye jaoge.
Surah Ankaboot Aayat No16,17
Hazrat Yousuf Aalaih islaam _Iske siwa tum jin ki ibadat puja-paat kar rahe ho wo sab naam hi naam hain jo khud tumne aur tumhare Baap Dadaon ne rakh liye hain, Allah ne iski koi dalil nazil nahi ki, Allah ke siwa kisi ka hukum nahi, isne hukum diya hai ki tum sirf ussi ki ibadat karo yahi sedha Deen hai, magar aksar log Elm nahi rakhte.
Surah Yousuf Aayat No 40
Hazrat Esaa Aalaih islaam Mera aur tumhara Rab sirf Allah-Taala hi hai, pas tum sab iski ibadat karo yahi sedha rasta hai. (Surah Zukhruf Aayat No 64 )
Hazrat Mohammad sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam Aap kah dijiye! ke main to sirf khabardaar karne wala hu aur Allah ke siwa koi ibadat[puja-paat] ke layeq nahi, jo Parwardigaar hai Aasmano ka aur Zameen ka aur jo kuch inke darmiyaan hai, wo zabardast aur bada bakashne wala hai.
Surah Saad Aayat No 65,66
Digar Tamaam Ambiya-Ikraam Aur Rosool Tujhse pahle bhi jo Rasool humne bheja iski taraf yahi “Wahee” nazil farmai ke mere siwa koi Mabood-e-Barhaq nahi bas tum sab meri hi ibadat karo.
Surah Ambiya Aayat No 25
Kisi Nabi Ne Allah-Taala Ke Siwa Apni Ya Kisi Dosre Ki Bandagi Ki Dawat Nahi kisi aise Shakhs ko jise Allah Kitaab-Wa-Hikmat aur Nabuwat de ye layeq nahi ke phir bhi wo logon se kahe ke tum Allah ko chod kar mere bande ban jao balke[wo to kahega ke] tum sb Rab ke ho jao, tumhare kitaab sikhne ke baas aur tumhre kitaab padhne ke sabab[ yani iski kitaab ki taalim ka taqaza hai jise tum padhte ho aur padhate ho]. Aur ye nahi ho sakta ke wo Farishton aur Nabiyon ko Rab bana lene ka hukum kare, kya wo tumhare Musalman hone ke baad bhi tumhe kufr ka hukum dega.
Surah Imraan Aayat 79,80
Aqeedah-e-Tauheed Insaan Ki Fitrat Me Shamil Hai
Pas [Aye Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}!] aap yaksu ho kar apna rukh Deen ke liye sidha rkhe, Allah ki wo fitrat jis par isne logon ko paida kiya hai, Allah ki takhliq ko badalna nahi, yahi sidha Deen hai lekin aksar log nahi samjhte.
Surah Room Aayat No 30
Khalis Aqeedah-e-Taueed Hi Dunya- wa-Akhirat Me Aman-wa-Salamti Ki Zamanat Hai
Jo log Emaan laye aur apne Emaan ko zulm[Shirk] ke sath alodah nahi kiya, unhi ke liye Aman hai aur wahi Rah-e-Rast par hain.
Surah Anaam Aayat No 82

Aqeedah-e-Tauheed Par Emaan Lane Wale Hamesha Hamesha Jannat me Rahenge
Aur jo log Emaan laye aur bhale kaam kare hum inhe in Jannaton me le jayenge jin ke niche chashme[nahar] jari hain, jahan ye hamesha hamesha rahenge, ye hai Allah ka Wadah jo sarasar sacha hai aur kaun hi jo apni baat me Allah se jiyada sacha ho?
Surah Nisaa Aayat No 122
Aqeedah-e-Tauheed Ke Liye Sari Dunya Ke Insano Ko Quraan-Majid Ki Dawat-o-Fikr!
( Aye Nabi sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam! inse ) kah dijiye: agar Allah tumhare Kaan[ears] aur tumhari Aankhe[eyes] chheen le aur tumhare Dilon par muhar laga de to batao Allah ke siwa kaun Mabood hai jo tumhe ye(chize) laade? dekhiye kis tarah se hum Apni Aayatein pher pher kar biyaan karte hain, phir bhi wo munh modte hain.
Surah Anaam Aayat No 46
Aye Nabi sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam! kah dijiye: dekho to! agar Allah tum par Qayamat tak hamesha ke liye raat hi raat(taari) kar de to Allah ke siwa kaun Mabood hai jo tumhe roshni[din] la de? kiya phir tum sunte nahi?. Kah dijiye! agar Allah tum par Qayamat tak hamesha ke liye din hi din(taari) kar de to Allah ke siwa kaun Mabood hai jo tumhe raat la de ke tum isme aaraam kar sako? kiya phir tum dekhte nahi?
Surah Qasas Aayat No 71,72
Aqeedah-e-Tauheed Ke Liye Sari Dunya Ke Insano Ko Quraan-Majid Ki Dawat-o-Fikr!
Achha ye batao to! wo Pani jo tum pite ho, Kya wo tumne Badal se nazil kiya hai ya hum nazil karne wale hain? agar hum chahe to isse khara kar de phir tum shukar kyon nahi karte?
Surah Waqiyah Aayat No 68,69,70
Achha batao to! jo Nutfah tum dalte ho[yani jo Mani tum tapkate ho] Kya tum isko paidah karte ho ya hum (iske) Khaliq hain? Hum hi ne tumhare darmiyaan Mout[death] muqaddar kar di hai, aur hum Aajir nahi (balke qadir hain) is baat par ke tum jaisi aur makhloq badal kar le aaye aur tumhe aisi soraton me paida kare jo tum nahi jante aur yaqinan tum pahli paidai ko jaan chuke ho, phir tum nasihat kyon nahi hansil karte?
Surah Waqiyah Aayat No 58,59,60,61,62

Aqeedah-e-Tauheed Ke Liye Sari Dunya Ke Insano Ko Quraan-Majid Ki Dawat-o-Fikr!
Achha phir ye bhi batao ke tum jo kuch bote ho Kya isse tum hi ugate ho ya hum ugane wale hain? Agar hum chahe to isse rezah rezah kar dale aur tum hairat ke sath bate banate hi rah jao, Ke hum par to Tawaan hi pad gaya balke hum bilkul mahroom hi rah gaye.
Surah Waqiyah Aayat No 63,64,65,66,67
Note:- Tawaan ka matlab ye hota hai ke Insaan ko iske maal ya mahnat ka Maozah na mile, balke wo yu hi zaye ho jaye ya zabardasti is se kuch wasul kar liya jaye aur iske badle me isse kuch na diya jaye.
Aur beshak tumhare liye chopayon(Animals) me bhi ibrat [gaur-o-fikr ka samaan) hai, hum tumhe pilate hain is se jo inke peton me hain, Gobar aur Lahoo[Blood] ke bich se khalis doodh[Milk], pine walon ke liye aasani se (halaq me) utar jane wala hai.
Surah Nahal Aayat No 66
Phir kyon nahi (tum Roh ko pher lete) jab wo halaq tak pahunchti hai Aur tum is waqt dekh rahe hote ho Aur hum tumhare nisbat iske jiyada qareeb hote hain lekin tum dekhte nahi Phir agar tum kisi ke muhukum nahi to kyon nahi is (Roh) ko pher lete, agar tum sachhe ho?
Surah Waqiyah Aayat No 83,84,85,86,87

Leave a comment