WASEELA AUR QURB

WASEELA AUR QURB Quran Aur Hadith Ki Roshni Main 

1920x1080 Beach wallpaper

Qurb Aur Wasila me Kya Farq Hai Aur Dono ka Matlab (meaning) kya hota hai?

  1. Qurb ka matlab hota hai “Nazdiki, Qaribi” aur waseela ka matlab hota hai “zarya” to Allah ka Qurb kaise hansil hoga?

zahir si baat hai Amaal-e-saaleh se yani neak Amaal se aur Neak Amaal hi Allah ka Qurb hansil karne ka waseela hai yani zarya hai,

  1. Wasila ke matlab aisi chiz ke hain jo kisi maqsood ke hansil karne ya iska “Qurb” ka zarya ho-“ Allah-Taalaki taraf Wasila talaash karo” ka matlab hoga aise Aamal ikhtiyaar karo jis se tumhe Allah ki raza aur iski “Qurb” hansil ho jaye,
  2. Mojahid, Abu-Wail, Hazrat-Hussan, Abdullah-Bin-Kaseer, Imam-Siddi, Ibne-Zayed aur kai “Aaimah-e-Tafseer” ka bhi yahi qauool hai ke wasila ke matlab hi “Qurbat” hain, yani Allah-Taala ki Etaat aur iski pasandidah aamalon ke zarya se “Qurb” hansil karna.

( Tafsir-Tibriyai: 308,309/6 )

4.Imaam-Qataadah farmate hain “Qurb” ke maane(yani meaning) ye hain ke Allah-Taala ki Etaat baja kar aur Allah-Taala ke khushnodi ke aamal ko sar-anjaam de kar iska “Qurb” hansil karo.

( Tafseer-Tibriyai: 309/6 )

  1. Hafiz-Ibne-Kaseer(r.a) farmate hain:- In “Aaimah-e-Tafseer” ne jo kuch kaha hai iske bare me Mofasareen ke darmiyaan koi ikhtilaaf nahi hai, “Qurb” aise hi chiz ko kahte hain jiske zarya(waseela) se Maqsood tak pahun sake,

( Tahseel-e-Maqsood, Tafseer-Surah-Tul-Mayedah, Jilad-no—03, Safa-no—97 )

  1. Ibne-Zayed ne iski tayed me is Aayat-e-karima ko padha:- Ye log jinko Allah ke siwa pukarte hain, wokhud apne Parwardigar ke yahan zarya(waseela) talaash karte rahte hain

.(Surah-tul-Baniisrail, Aayat-no—57 )

( Tafseer-Tibriyai: 309/6 )

Zahir baat hai ke Allah ka “Qurb” hansil karne ka wahid zarya(waseela) “Amaal-e-Saalah” hai, isliye “Amaal-e-Saalah” hi Allah tak pahunchne ka wasila hain.

Wasila Jannat Ke Sabse Buland-wa-Bala Aur Arfaa-wa-Aala Darje Ka Naam Bhi Hai

Wasila jannat ke sabse Buland-wa-Bala aur Arfaa-wa-Aala darje ka naam bhi hai, jo Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ka darjah hai aur Aap {sallallaahu AlaiheWasallam} ka jannat me ghar hoga aur jannat ka ye muqaam Allah-Taala ke Aarsh ke sabse qareeb hoga,

Sahih-Muslim me Hazrat-Abdullah-Bin-Ummar {Radi Allahu ‘Anhu} se riyawat hai ke unhone Nabi-Karim {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko ye irshad farmate hue suna ke Jab tum Muzzin ko Azaan dete sono to issi tarah se kaho jis tarah wo kahta hai, phir mujh par Durood bhejo jisne mujh par ek bar Durood padha Allah-Taala is par 10 bar rahmat nazil farmaye ga, phir mere liye Wasile ki Dua karo, Wasila Jannat ka wa Aazim-o-Shaan muqaam hai, jo Bandagan-e-Elaahi me se sirf ek hi ko nasib hoga aur mujhe umeed hai ke wo banda main hunga, lihaza jisne mere liye Wasile ki dua ki to iske liye meri Shifaat wajib ho jayegi.

( Sahih-Muslim, Vol-no: 2, Book:(Kitaab-ul-Salaat), Hadees-no: 849 )

( Sunan_Nasai, Vol-no: 1, Book:(Kitaab-ul-Azaan), Hadees-no: 681 )

Sahih-Bukhari me Hazrat-Jabir-Bin-Abdullah {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya jo shakhs Azaan soon kar ye dua padhe,

Tarjuma:-

[Aye Allah! Jo tu is puri puri Dawat-e-Tauheed aur qaayam hone wali Namaaz ka maalik hai,

Hazrat-Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko Wasila aur Fazilat aata farma aur Aapko is Qabil-e-Tauheed muqaam(shifaat) tak pahuncha jiskatune inse waada farma rakha hai] iske liye Qayamat ke din meri Shifaat wajib ho jayegi.

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 1, Book: 10 (Kitaab-ul-Azaan), Hadees-no: 614 )

( Sunan_Nasai, Vol-no: 1, Book:(Kitaab-ul-Azaan), Hadees-no: 683 )

Imaam-Shokani(r.a) farmate hain-Wasila jo Qurbat ka maane(yanimeaning) hai, Taqwa aur hansil kiye hue Aamal khair par sadiq aata hai,jin ke zarye se bande apne Rab ka Qurbat hansil karta hai,issi tarah jin chizon se roka gaya ho in kaamo se bachne se bhi Allah ka Qurab hansil hota hai, isliye jin chizon se roka gaya ho isse na karna bhi Qurb-e-Elaahi ka wasila hai, likin Jahilon ne is haqiqi Wasile ko chod kar Qabar me madfun(yani dafan kiye hue) logon ko apna Wasila samjh liya hai, jis ki sharyat me koi bunyaad nahi hai, Balke Hadees me is Moqaam-e-Mahmood ko bhi waseela kaha gaya hai jo akhirat meNabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} koaata farmaya jayega, issi liye Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya jo Azaan ke baad mere liye ye Dua-e-Wasila karega wo meri shifaat ka mustahiq hoga, Dua-e-wasila jo Azaan ke baad padhna masnun hai.

( Ahsanul-Biyaan, Page-no—302 )

Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no—35 ki puri tafsir ke liye dekhe.                                                                    ( Tafseer-ibn-Kathir, Surah-Al-Mayedah, Aayat-no,35 )

Quraan-Majid Me Allah-Taala Ne Musalmano Ko Nijad Ke Liye Wasila Pakadne Ka Hukum Diya, Par Kuch Logon Ne Wasila Ka Galat Matlab Nikal Kar Musalmano Me ikhtilaaf Paidah Kiya

Aye logon jo Emaan laye ho! Allah se daro aur uski taraf wasila talaash karo aur uski raah me Jihaad karo umeed hai tum kamyaab ho jaoge.

( Al-Quraan, Surah-No- 05, Surah-Tul-Maydah, Aayat-no—35 )

is Aayat-e-Karima me Allah-Taala ne nijaat ke liye “3” baton ka hukum diya hai.

( 1 ) Taqwa Ikhtiyaar karna ( 2 ) Wasila talaash karna ( 3 ) Allah ki raah me jihad karna.

Taqwa aur Jihaad me koi ikhtilaaf nahi hain balke Wasila ke bare me logon ne ikhtilaaf kiya hain,

Kuch logkahte hain yahan wasila se muraad Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada aur murde Buzrugan-e-deen ect. Ka Wasila hai, Main aplog ko batana chahunga ke Quraan-Majid ki Aayat-e-Mubarak me jis Wasila ko talaash karne ka hukum diya gaya hai, Isse muraad Gair-Hazir ya Inteqaal (death) kiye hue Ambiya, Auliya, Shohada ect. To hargiz nahi hai. Ab hum Quraan aur Hadees ki roshni meye batana chhate hain ke Wasila se muraad (matlab) kiya hai.

( 1 )Aur jo log Emaan laye aur neak kaam kare wo Jannati hain jo Jannatme hamesha rahenge.

( Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqrah, Aayat-no—82 )

( 2 ) Yaqinan jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi neak kiye aur apne palne wale ki taraf jhokte rahe wahi Jannat me jane wale hain, jahan wo hamesha hi rahne wale hain.

( Al-Quraan, Surah-No- 11, Surah-Tul-Hood, Aayat-no—23 )

( 3 ) Jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi Achhe kiye yaqinan inke liye Jannat-Tul-Firdaus ke baghaat kimahmaani hai.

( Al-Quraan, Surah-No- 18, Surah-Tul-Kahaf, Aayat-no—107 )

( 4 ) jo log Emaan laye hain aur jinhon ne neak Amal kiye hain inhi ke liye Bakhshish hai aur izzat wali rozi.

( Al-Quraan, Surah-No- 22, Surah-Tul-Hajj, Aayat-no—50 )

( 5 ) Beshak jin logon ne Emaan qabul kiya aur kaam bhi neak (yani Sunnat ke mutabiq) kiye inke liye niyamat wali Jannaten hai.

( Al-Quraan, Surah-No- 31, Surah-Tul-Luqmaan, Aayat-no—08 )

Quraan-Majid ki aisi bahut sari Aayathain jin me Dakhul Jannat ke liye sirf”2″ hi chiz ka zikar hame milta hai.

( 1 ) Emaan ( 2 ) Amal-e-Saleh (Yani neak Amal)

Jis se maloom hota hai ke yahi wo Wasila hai jisse Allah-Taala ne talaash karne ka hukum diya, Aaye ab hum Hadees ki roshni me dekhte hain Wasila ke bare me.

( 1 )Hazrat-Abi-Ayub-Ansari {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} safar me jarahe the, itne me ek Dihati-Aadmi aaya aur aage aakar Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki ount (camel) ki rassi (rope) ya nakil pakad kar kaha ya Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} mujhe wo baat bataye jo mujhe Jannat ke qarib aur Jahannamse door kar de, Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne irshad farmaya Allah ki Ibadat kar aur kisi ko iska shareek na bana, Namaaz qayamkar, Zakaat de aur Rishtadari ko milayani Aazizon, Rishtadaron ke sath husan-e-suluq kar agar wo burai kare ya mulaqaat turk kare to tu neaki kar aur inse milta rah.

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 2, Book:24(Kitaab-ul-Zakaat), Hadees-no: 1396 )

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 5, Book:78(Kitaab-ul-Aadab), Hadees-no: 5983 )

( Sahih-Muslim, Vol-no: 1, Book:(Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no: 103 )

( 2 )Hazrat-Abu-Hurera {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke ek Dihati-Aadmi Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke pass aakar kahne laga ya Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} mujhko bataye koi aisa kaam jisse karne se main Jannat me chala jao? Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya wo kaam ye hai, ibaadat kar tu Allah ki aur uske sath kisi ko Shareek na kar aur qayam kar tu Namaaz ko aur de Zakaat jo farz hai aur Ramzaan ke Roza rakhe, wo shakhs bola qasam uski jiske hanth me meri jaan hai, main is se ziyada karonga na is se kam, tab wo pith pher kar chala gaya, Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya jisse pasand ho ke Jannati ko dekhe to isko dekh le.

( Sahih-Muslim, Vol-no: 1, Book Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no: 107 )

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 1, Book :24( Kitaab-ul-Zakaat), Hadees-no: 1397 )

Quraan aur Hadees ki dalil se ye baat sabit ho rahi hai ke Quraan-Majid jo wasila talaash karne ka hukum deta hai wo Emaan aur Neak Amaal ka wasila hai, jo qayamat ke roz Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki sifaat aur Bila-Aakhir nijat ka zarya banega.

Quraan Aur Hadees Ki Tamaam Dalilon Se Sirf 3 Tarah Ka Wasila Sabit Hai

1.Apna koi neak Amaal ka wasila lagao jaise ke Deen main jo tumne paisa kharach kiya hain ya aur koi neak Amal jo sirf Allah ki raza ke liyekiya ho.

  1. Allah ke 99 naam hai uske naam ka wasila laga kar usse maango
  2. Aap main se jo zinda neak log hainunke pass jaake unse kaho ki mere liye Dua karen zinda ka hukum hai murdon ka nahi.Aur sab se bahtar aur Afzal hai ki Allah se Direct maango,

    Note:- Aur Inteqaal (death) kiye hue Nabi, Wali ya Buzrugan-e-Deen ka wasila Quraan aur Hadees se kahin bhi sabit nahi hai, agar hai to Sahih Hadees se sabit kar de hum manne ke liye tiyaar hai.

    Neak Amaal Ka Wasila

    Abdullah-Bin-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} se rawayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Teen Aadmi ja rahe the, itneme barish hone lagi to wo pahaad me ek GAAR tha …

    isme ghus gaye, Pahaad par se ek pather gira aur GAAR ke monh par aagaya aur monh band ho gaya, Ek ne dosre se kaha apne apne neak Amaal ka khayal karo jo Allah ke liyeho aur DUA maango in Amaal ke WASILE se shayed Allah-Taala is pather ko khool de tumhare liye, To inme se ek ne kaha Mere Maa Baap budhe zaif the aur meri Biwi aur mere chote chote bachche the, ke main inke waste Bhendh, Bakriyan charaya karta tha, to inka Dodh (milk) duhta tha aur sabse pahele apne Maa Baap se suru karta tha inko apne bachcho se pehle pilata tha, ek din mujhko aane me shaam ho gai to maine apne Maa Baap ko sota hua paya, phir maine doodh (milk) duha jis tarah duha karta tha, phir main doodh (milk) laya aur apne Maa Baap ke sar ke pass khada hua, mujhko bura laga kemain inko neend se jagaon aur bura laga ke inse pahele bachcho ko pilaon aur bachche bhook ke mare shoor kar rahe the mere dono pairo (legs) ke pass, so issi tarah barabar mera aur inka haal raha subah tak (yani main apne Maa Baap ke intejar me doodh liye raat bhar khada raha) aur bachche rote chillate rahe, na maine piya aur na bachcho ko pilaya,Aye

    Allah! agar tere nazdeek bhi maine ye kaam sirf teri raza hansil karne ke liye kiya tha to hamare liyeis chattan ko hata kar itna rasta bana de ke hum Aasman ko dekh sake, Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya ke wo pather thoda hat gaya.

    Dosre ne kaha aye Allah majra ye haike mere chacha (uncle) ki ek Beti thi,jis se main mohabbat karta tha jis tarah Mard Aurat karte hain (yani main iska kamaal Ashiq tha) so iski taraf mayel ho kar maine iski zaat ko chaha (yani haraamkhori ka iradakiya) isne na mana aur kaha jab tak 100 Ashrafiya na dega main razi na hungi, maine kosis ki aur 100 Ashrafiya kama kar iske pass laya, Jab main ne iski taang uthai (yani jamaa ke irade se) isne kaha Aye Allah ke bande! dar Allah se aur mat tood mehar ko magar haq se (yani begair Nikah ke bakarat mat zayel kar) to main uth khada hua iske upper se, Aye Allahagar tu janta hai ke ye kaam maine teri razamandi keliye to hamare liye nikalne ka rasta bana de Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya ke wo pather 2 tihai hat gaya.

    Teesre ne kaha Aye Allah maine ek shakhs se mazdoori li, ek Farq chawal par (yani wo bartan jisme 16ratal aanaj aata hai) jab wo kaam kar chuka isne kaha mera haq de maine ek Farq bhar chawal iske samne rakhi, isne na liya phir maine in chawalon ko bota raha, isme barkat hui yahan tak ke maine is maal se Gaaye aur Bael (cow & bull) aur inke charane wale gulaam ikhatta kiya, phir wo majdoor mere pass aaya aur kahne laga Allah se daraur mera haq mat maar, maine kaha ja aur Gaaye Bael( Cow Bull) aur iske charane wale sab tu lele, wo bola Allah Jabbar se dar aur mujhse mazak mat kar, maine kaha main mazak nahi karta, wo Gaaye Bael (Cow Bull) aur charane wale ko tu lele, isne le liya, Aye Allah! agar tere nazdek ye kaam maine sirf teri raza hansil karne ke liye kiya tha to hamar liye is chattan ko hata kar rashta bana de. chunacha wo GAAR khol gaya aur wo teeno shakhs bahar aagaye.

    ( Sahih-Bukhari, Vol-no: 3, Book: 34 (Kharid-o-Farokht ka Biyaan), Hadees-no: 2215 )

    ( Sahih-Bukhari, Vol-no: 3, Book: 41 (Kheti Badi ka Biyaan), Hadees-no: 2333 )

    ( Sahih-Muslim, Vol-no: 6, Book:(Kitaab-ul-Zikar wa Tuba wa Istagfaar), Hadees-no: 6949 )

    Tashrih:- is Hadees se jo baat samne aati hai wo ye hai,

    1.Sakht mosibat me aur nehayat pareshani me jiski koi tabdir na ho sake to apne khalis Amaal ko WASILA bana kar Allah se DUA kare Allah isko nijad de.

    1. Maa Baap ka haq apni jaan aur biwi bachcho ke haq me muqaddam hai aur neakiyon me dakhil hai.

    3.Qadir ho kar gunnah se bachna aursirf Allah ke Dar aur Khauf se shawat (sex) ko dabana aur khawash-e-nafs ko mitana bede kamala ki baat hai, aur Allah ko nihayat pasand hai.

    4.Haq walon ka haq adda karna Raza-e-Elaahi ka umdaa wasila hai.

    { Allah-Taala Ka Asmaa-Ul-Hasna (yani 99 name) ka wasila }

    Aur Allah hi ke liye achhe achhe naam hain, lihaza tum isse in naamo se pukaro aur chod do in logon ko jo iske naamo me gajruwi ikhtiyar karte hain, wo jo kuch kar rahen hain jald is… ki saza payege.

    ( Al-Quraan, Surah-No- 07, Surah-Tul-Aaraf, Aayat-no—180 )

    Hazrat-Abdullah-Bin-Masood {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Jis shakhs ko jab bhi koi Gum aur Pareshani aaye to wo ye Dua padhe, [ Aye Allah! Besak main tera banda hu, tere bande aur teri bandi ka Beta hu, meri Peshani tere hanth me hai,tera hukum mere haq me nafiz hai, tera har faisla mere haq me Aayeen-Insaaf hai, main tere har us naam ke Wasile se jo tune khud apna naam rakha ya isse makhlooq me se kisi ko sikhaya, apni kitaab me nazil farmaya ya tune isse Elm-e-Gaib me apne pass hi mahfooz rakha, main tujhse ye sawal karta hu ke tu Quraan-Kareem ko mere dil ki bahar sine ka noor mere Gum aur Pareshani ko door karne ka zarya bana de,] To Allah-Taala zarur iski musibat, pareshani aur gum-wa-fikr ko door farma kar isse khushi aur musarrat me badal dega, kisi ne pucha ya Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ! kya hum is DUA ko sikh le? Apne farmaya kyon nahi jo bhi is DUA ko sune iske liye munasib hai ki isse sekh le. (Sahih)

    ( Musnad-Ahmad , Vol-no: 2, Hadees-no: 3712 )

    ( Sahih-Ibne-Habban, Vol-no: 3, Hadees-no: 972 )

    Hazrat-Abu-Hurera {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Besak Allah-Taala ke 99 shifati naam hai, ek kam 100 jo inhe yaad karega wo jannat me dakhil hoga, Allah-Taala vitir hai aur vitir ko pasand fermata hai,

    ( Sahih-Bukhari, Vol-no: 04, Book: 54 (Kitaab-ul-Shuroot), Hadees-no: 2736)

    ( Sahih-Bukhari, Vol-no: 07, Book: 80 (Kitaab-ul-Dua), Hadees-no: 6410 )

    ( Sahih-Muslim, Vol-no: 06, Book: (Kitaab-ul-Dua), Hadees-no: 6809 )

    waseela

    1 waseela Quraan-Majid me Allah-Taala ne musalmano ko nijad ke liye “Qurb(yani wasila)” pakadne ka hukum diya. (Yaaa’ayyuhal-lazeena–’aamanut-taqul-laah-a-wabtagooo’ilayhil–wa-seelata wa jaahidoo fee sabeelihee la ‘allakum tuflihoon)

    . Tarjuma:- Aye logon jo Emaan laye ho! Allah se daro aur uski taraf “Qurb(yani wasila)” talaash karo aur uski raah me “Jihaad” karo umeed hai tum kamyaab ho jaoge.

    (maidah,35)

    Is Aayat-E-Karima me Allah-Taala ne nijaat ke liye “3” baton ka hukum diya hai. (1)Taqwa Ikhtiyaar karna (2)Qurb(yani wasila) talaash karna (3)Allah ki raah me jihad karna. Taqwa aur Jihaad me koi ikhtilaaf nahi hain balke “ Qurb(wasila)” ke bare me logon ne ikhtilaaf kiya hain, Kuch log kahte hain yahan “Qurb(wasila)” se muraad “Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada aur murde Buzrugan-e-deen ect. Ka “Qurb(wasila)” hai,

    Main aplog ko batana chahunga ke Quraan- Majid ki Aayat-E-Mubarak me jis “Qurb(yani wasila)” ko talaash karne ka hokum diya gaya hai, Isse muraad“Gair-Hazirya Inteqaal(death) kiye hue “Ambiya,Auliya, Shohada ect. To hargiz nahi hai. Ab hum “Quraan aur Hadees” ki roshni me ye batana chhate hain ke “Qurb(yani wasila)” se muraad(matlab) kiya hai.

    Irshad-e-bari-taala hai:-“Wallazeena’aamano wa ‘amilus-saaliha ati’u–laaa’ika’Ashaabun-N-a-ari hum feehaa khaalidoon

    Tarjuma:- Aur jo log Emaan laye aur neek kaam kare wo Jannati hain jo Jannat me hamesha rahenge.

    (Surah-Tul-Baqrah, Aayat-no—82)

    (2)”Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati–wa’akhbatoo’ilaa Rabbihim’ulaaa’ika’A–shaabul- jannati hum’feehaa khaalidoon.”

    Tarjuma:- Yaqinan jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi neek kiye aur apne palne wale ki taraf jhokte rahe wahi Jannat me jane wale hain, jahanwo hamesha hi rahne wale hain.       (Hood, Aayat-no—23 * )

    (3)”Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati–kaanat lahum jannaatul-Firdawsi nuzulaa” Tarjuma:- Jo log Emaan laye aur unhone kaam bhi Achhe kiye yaqinaninke liye jannat-al-firdaus ke bagaat ki mahmaani hai.

     (Surah-Tul-Kahaf,107–)

    (4)”Fallazeena’aamano–o wa ‘amilus-saalihaati lahum maghfiratun wa rizqun kareem”. Tarjuma:- Pas jo log Emaan laye hain aur jinhon ne neek aamal kiye hain inhi ke liye Bakhshish hai aur izzat wali rozi.

    (Surah-Tul-Hajj,50)

    (5) ’Innal-lazeena ‘aamanoo wa’amilus-saalihaati–lahum jannaatun-Na’eem.”

    Tarjuma:- Beshak jin logon ne Emaan qabul kiya aur kaam bhi neek (yani Sunnat ke mutabiq) kiye inke liye niyamat wali Jannaten hai

    (Surah-Tul-Luqmaan, Aayat-no 08)

    Quraan-Majid ki aisi bahut sari Aayat hainjin me Dakhul-Jannat ke liye sirf do hi chiz ka zikar hame milta hai. (1) Emaan (2) Aamal-Salah Jis se maloom hota hai ke yahi wo “Qurb(yani wasila)” hai jisse Allah-Taala ne talaash karne ka hukum diya, Aaye ab hum Hadees ki roshnime dekhte hain “Qurb(yani wasila)” ke bare me,

    (1) Hazrat-Abi-Ayub-Ansa–ri(r.t.a) se riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’A–llaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” safar mejarahe the, itne me ek Dihati-Aadmi aayaaur aage aakar “aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ki ount(camel) ki rassi(rope) ya nakil pakad kar kaha: ya “Rasool-Allah{sall’A–llaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” mujhe wo baat bataye jo mujhe Jannat ke qarib aur Jahannam se door kar de,” “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne irshad farmaya: Allahki Ibadat kar aur kisi ko iska shareek na bana, Namaaz qayamkar, Zakaat de aur Rishtadari ko mila( yani Aazizon, Rishtadaron ke sath husan-e-suluq kar agar wo burai kareya mulaqaat turk kare to tu neeki karaur inse milta rah.

     (Sahih-Muslim, Hadees-no-103/–Sahih-Bukhari,Hadees-no1396, 5983/Nisai, Hadees-no—367)

    (2) Hazrat-Abu-Hurera(r.–t.a) se riwayat hai ke ek Dihati-Aadmi “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ke pass aakar kahne lagaya “Rasool-Allah{sall’A–llaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}”mujhko bataye koi aisa kaam jisse karne se main Jannat me chalajao?“Aap{sall’Allaah–u ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- wo kaam yehai Ibadat kar tu Allah ki aur uske sath kisi ko Shareek na kare aur qaayam kar tu Namaaz ko aur de Zakaat jo farz hai aur Ramzaan ke Roza rakhe-“ wo shaks bola qasam uski jiske hanth me meri jaan hai, main is se ziyada karonga na is se kam, tab wo pith pher kar chala gaya-“Aap{sall’Allaa–huta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jis se pasand ho ke Jannati ko dekhe to isko dekhle.( *Sahih-Bukhari, Hadees-no—1397*/–*Sahih-Muslim, Hadees-no—107)

     

    2 waseela Wasila ke matlab aisi chiz ke hain jo kisi maqsood ke hansil karne ya iska “Qurb” ka zarya ho-“ Allah-Taala ki taraf Wasila talaash karo” ka matlab hoga aise Aamal ikhtiyaar karo jis se tumhe Allah ki raza aur iski“Qurb” hansil ho jaye, Imaam-Shokani(r.a) farmate hain-Wasila jo Qurbat ka maane(yani meaning) hai, Taqwa aur hansil kiye hue Aamal khair par sadiq aata hai,jinke zarye se bande apne Rab ka “Qurb(yani wasila)” hansil karta hai, issi tarah jin chizon se roka gaya ho in kaamo se bachne se bhi Allah ka “Qurab” hansil hota hai,isliye jin chizon se roka gaya ho isse na karna bhi “Qurb-e-Elaahi” ka wasila hai, lekin Jahilon ne is haqiqi Wasile ko chod kar Qabar me madfun(yani dafan kiye hue) logon ko apna “Wasila” samjh liya hai, jis ki sharyat me koi bunyaad nahi hai, Balke “Hadees” me is “Moqaam-e-mahmood” ko bhi wasila kaha gaya hai jo akhirat me “Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko aata farmaya jayega, issi liye “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo Aazan ke baad mere liye ye “Dua-e-wasila” karega wo meri shifaat ka mustahiq hoga, “Dua-e-wasila” jo Aazan ke baad padhna masnun hai. (Ahsanul-Biyaan, Page-no—302)

    Sahih-Muslim me Hazrat-Abdullah-Bin—Ummar-Bin-Aas(r.t.a-)-ki riyawat hai ke unhone “Nabi-Karim{sall’All–aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko ye irshad farmate hue suna ke:- Jab tum “Muzzin” ko Aazan dete sono to issi tarah se kaho jis tarah wo kahta hai, phir mujh par darood bhejo jisne mujh par ek bar darood padha Allah-Taala is par “10” bar rahmat nazil farmaye ga, phir mere liye” Wasile” ki dua karo, “Wasila” Jannat ka wa Aazim-o-shaan muqaam hai,jo “Bandagan-e-Elaahi” me se sirf ek hi ko nasib hoga aur mujhe umeed haike wo banda main hunga, lihaza jisne mere liye “Wasile” ki dua ki to iske liye meri Sifaat wajib ho jayegi. (Sahih-Muslim, Hadees-no—384)

    Wasila jannat ke sabse Buland-wa-Bala aur Arfaa-wa-Aala darje ka naam bhi hai, aur jo “Rasool-Allah{sall’A–llaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka darjah aur “Aap{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ka jannat me ghar hoga aur jannat ka ye muqaam Allah-Taala ke Aarsh ke sabse qareeb hoga…

    Sahih-Bukhari me Hazrat-Jabir-Bin-Abd–ullah(r.t.a) ki riwayat hai ke “Rasool-Allah{sall’A–llaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ne farmaya:- jo shaks Aazan soon kar ye dua padhe……..Tarjuma:- [ Aye Allah!Jo tu is puri puri Dawat-e-Tauheed aurqaayam hone wali Namaaz ka maalik hai, “Hazrat-Mohammad{sal–l’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}” ko Wasila aur Fazilat aata farma aur Aapkois Qabil-e-Tauheed muqaam(shifaat) tak pahuncha jiska tune inse waada farma rakha hai,] iske liye Qayamat ke din meri Shifaat wajib ho jayegi.

    ( *Sahih-Bukhari, Kitabul-aazan, Hadees-no—614*/–*Sanan-Nisai, Kitabul-Aazan, Hadees-no—681*) Surah-Tul-Mayedah ki Aayat-no 35 ki puri tafsir ke liye dekhe. ( Tafsir-ibn-Kathir, Surah-Al-Mayeda h,Aayat-no,35 , Page-no. 333,335) 

    WASEELA AUR QURB  Urdu Pdf Book’

    https://www.scribd.com/document/332822792/Kitab-Al-Waseela-Ibn-Taimia

 

https://www.scribd.com/document/332822410/Waseela-Ki-Haqeeqat-Naseerudin-Albani

 

WASEELA AUR QURB Video’s

 

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

🌐Our Official website 🌐
https://DaRuLHuDaAiGc.wordpress.com

📲Subscribe Our Channel 📺
https://m.youtube.com/channel/UCikwYwA2d-IBLSDwasXfiug

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://m.facebook.com/Darulhudaaigc/

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358/DaRuLHuDa-AiGc

✏https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Leave a comment