NAMAZ E NABI ﷺ (part 03 ) AAMEEN KA MASLA

NAMAZ E NABI ﷺ (part 03 ) AAMEEN KA MASLA

 Jab Aap aakele Namaz padh rahe ho to Ameen aahista kaho , jab Zohr , or Ashr , Imaam ke pechhe padho to phir bhai aahista kaho , lekin jab Aap jahri Namaz mein Imaam ke pechhe padhte ho to is waqt Imaam”Wa’lad Daaalleen”kahe to aap ko unchi awaaz se Ameen kahni chahiye , balke Imaam bhi Sunnat ki Pairvi mein Ameen pukaar kar kahe or Muktaadiyon ko Imaam ke Ameen suru karne ke baad Ameen kahna chahiye , yani Ameen pahle Imaam kahega , us ke awaaz sunte hi tamamMuktaadi bhi Ameen kahenge , Imaam se pahle ya baad mein unchi awaaz mein Ameen kahna Durusth nahi hai , lekin agar Imaam buland awaaz se Ameen na kahe to Muktaadi ko behar haal Ameen kahni chahiye , kyon ke Nabi saw ki ittat farmabardaari , Imaam ki farmabardaari par Mukaddam hai ,

1- Waail bin Huzr raz , riwayat karte hai ke Main suna Nabi saw , ne padha

Ghayril Maghdoobi Alayhim Wa lad Daalleen ,

Phir Aap saw ne buland awaaz se Ameen kahi ,

{Tirmizi , kitab us Salath , Hadeer no 248 ,

Abu Daoo , kitab us Salath Hadees nn 932}

Imaam Tirmizi ne Hasan or Ibn Haazr or Daur Kutni ne Sahih kaha hai ,

2- Abu Huraira raz kahte hai jab Nabi saw , Ghayril Maghdoobi Alayhim wa lad daaalleen , padhte to Aap saw kahte , Ameen itni buland awaaz se kahte ki pahli shaaf mein Aap saw ki aash paas ke log sun lete ,

{Bahqi , Hadees 2/58 ,

Ibn Khuzema , Hadees 571

Ibn Hibban , Hadees 462}

Ise Hakim or Imaam Jahbi ne Sahih kaha hai ,

3- Abu Huraira raz ne farmaya ki Nabisaw ne farmaya jab Imaam Ameen kahe to tum bhi Ameen kaho , jiski Ameen Farishte ki Ameen ke Muwafeeq hn gayh to us ke sab gunah maaf kar diye jaate hai ,

{Bukhari , kitab ul Aazan,Hadeer no 780 ,

Muslim , kitab us Salath ,Hadees no 410}

Is Hadees se maloom hua ke jis muktaadi ne abhi Surah Fatiha suru ya khatam nahi ki , woh bhi Ameen kahne mein doosre ke saat sarik hoga , taake use bhi kiye hue gunah ki maafi mil jaye , baad mein woh apni Surah Fatiha mukammal kar ke dobaara aahista se Ameen kahega ,

4- Imaam Ibn Khuzema ra , is Hadees ke Tashri mein farmate hai , is Hadeesse sabit hua ke Imaam unchi awaaz se Ameen kahe , kyon ke Nabi saw neMuktaadi ko Imaam ke Ameen ke saat Ameen kahne ka Hukm usi surat mein de sakte hai jab Muktaadi ko maloom ho ke Imaam Ameen kah raha hai , koi padha likha aadmi shoch nahi sakta ke Nabi saw Muktaadi ko Imaam ki Ameen ke saat Ameen kahne ka Hukm de jabke woh apne Imaam ki Ameen ko sun hina sake ,

{Ibn Khuzema , 1/286}

5- Naeem Muz’Mar , farmate hai ke Abu Huraira raz ne Nabi saw , ke Tarike ke mutaabik Namaz padhai , phir Ameen us tarike ko bayan karte hue khate hai ke unhone Ameen kahi or jo log Aap ki iktedaa mein Namaz aada kar rahe the , unhone Ameen kahi ,

{Nasaai , Hadees 2/134 ,

Ibn Khuzema ,Hadees no 1/251 , 499}

Ise Hakim , Jahbi or Bahqi ne Sahih kaha hai ,

6- Abdullah bin Juber raz or unke Muktaadi itni unchi awaaz se Ameen kaha karte the ki Masajid Gunjh utti thi ,

{Bukhari ,Talikaan 2/266,

MusanifAbdurRazzak 2/96

Imaam Bukhari ne is par Itminaan ka Izhaar kiya jo is ke sahih hone kidaleel hai}

7- Ikrima ra , farmate hai main ne dekha ke Imaam jab Wa lad Daaalee”kahta to logon ki Ameen ki awaaz se Masajid Ghunj jaati ,

{Musannaf IbnAbi Shoba 2/187}

8- Imaam Aata ra , bayan karte hai kemaine 200 Sahaba raz ko dekha ke Baith ullah mein jab Imaam wa lad Daaalleen kahta to sab unchi awaaz se Ameen kahte ,

{Bahqi , 2/59 ,Kitab us Sikaat , Ibne Hibban ki shart par is ke sanad sahih hai}

9- Nabi saw ne Farmaya Yahoodi jitna Ameen or Salam se cheedte hai utna kisi or chiz se nahi cheedte , pas tum zayada Ameen kahna ,

{Ibn Maazah ,\Hadees no 856}

Ibn Khuzema or Bukhari ne sahih kaha hai ,

Hafiz Ibn Abdul Bar ra , ne zikr kiya keImaam Ahmad bin Hambbal ra , us shakhr par shakth naraz hote jo unchiawaaz se Ameen kahne ke Makruh samajhta , kyon ki Yahoodi Ameen secheedte hai ,

10- Du’a e Shana , Surah Fatiha padh kar Ameen kah chukne ke baad Quran mein se jo kuch yaad ho un mein se padhe ,

{Bukhari , kitab ul Aazan ,Hadees no 739}

Ameen Ka Masla ,Hadith  ki roshni  main

Allah Ke Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{Bukharh , kitab ul Azan
Hadees no 231 , 6310}

Jab Aap aakele Namaz padh rahe ho to Ameen aahista kaho , jab Zohr , or Ashr , Imaam ke pechhe padho to phirbhai aahista kaho , lekin jab Aap jahri Namaz mein Imaam ke pechhe padhteho to is waqt Imaam “Wa ‘ lad Daaalleen” kahe to aap ko unchi awaaz se Ameen kahni chahiye , balkeI maam bhi Sunnat ki Pairvi mein Ameen pukaar kar kahe or Muktaadiyon ko Imaam ke Ameen suru karne ke baad Ameen kahna chahiye , yani Ameen pahle Imaam kahega , us ke awaaz sunte hi tamam Muktaadi bhi Ameen kahenge ,

Imaamse pahle ya baad mein unchi awaaz mein Ameen kahna Durusth nahi hai , lekin agar Imaam buland awaaz se Ameen na kahe to Muktaadi ko behar haal Ameen kahni chahiye ,

kyon ke Nabi saw ki ittat farmabardaari , Imaam ki farmabardaari par Mukaddam hai ,

1- Waail bin Huzr raz , riwayat karte hai ke Main suna Nabi saw , ne padha
Ghayril Maghdoobi Alayhim Wa lad Daalleen ,
Phir Aap saw ne buland awaaz se Ameen kahi ,

{Tirmizi , kitab us Salath ,
Hadeer no 248 ,
Abu Daoo , kitab us Salath
Hadees nn 932 }

Imaam Tirmizi ne Hasan or Ibn Haazr or Daur Kutni ne Sahih kaha hai ,

2- Abu Huraira raz kahte hai jab Nabi saw , Ghayril Maghdoobi Alayhim wa lad daaalleen , padhte to Aap saw kahte , Ameen itni buland awaaz se kahte ki pahli shaaf mein Aap saw ki aash paas ke log sun lete ,

{ Bahqi , Hadees 2/58 ,
Ibn Khuzema , Hadees 571
Ibn Hibban , Hadees 462}

Ise Hakim or Imaam Jahbi ne Sahih kaha hai ,

3- Abu Huraira raz ne farmaya ki Nabi saw ne farmaya jab Imaam Ameen kahe to tum bhi Ameen kaho , jiski Ameen Farishte ki Ameen ke Muwafeeq hn gayh to us ke sab gunah maaf kar diye jaate hai ,

{ Bukhari , kitab ul Aazan,
Hadeer no 780 ,
Muslim , kitab us Salath ,
Hadees no 410 }

Is Hadees se maloom hua ke jis muktaadi ne abhi Surah Fatiha suru ya khatam nahi ki , woh bhi Ameen kahne mein doosre ke saat sharik hoga, taake use bhi kiye hue gunah ki maafi mil jaye , baad mein woh apni Surah Fatiha mukammal kar ke dobaara aahista se Ameen kahega ,

4- Imaam Ibn Khuzema ra , is Hadees ke Tashri mein farmate hai , is Hadees se sabit hua ke Imaam unchi awaaz se Ameen kahe , kyon ke Nabi saw ne Muktaadi ko Imaam ke Ameen ke saat Ameen kahne ka Hukm usi surat mein de sakte hai jab Muktaadi ko maloom ho ke Imaam Ameen kah raha hai , koi padha likha aadmi shoch nahi sakta ke Nabi saw Muktaadi ko Imaam ki Ameen ke saat Ameen kahne ka Hukm dein jabke woh apne Imaam ki Ameen ko sun hi na sake ,

{ Ibn Khuzema , 1/286 }

5- Naeem Muz ‘ Mar , farmate hai ke Abu Huraira raz ne Nabi saw , ke Tarike ke mutaabik Namaz padhai , phir Ameen us tarike ko bayan karte hue khate hai ke unhone Ameen kahi or jo log Aap ki iktedaa mein Namaz aada kar rahe the , unhone Ameen kahi ,

{ Nasaai , Hadees 2/134 ,
Ibn Khuzema ,
Hadees no 1/251 , 499 }         
Ise Hakim , Zahbe or Bahqi ne Sahih kaha hai ,

6- Abdullah bin Juber raz or unke Muktaadi itni unchi awaaz se Ameen kaha karte the ki Masajid Gunjh utti thi ,

{Bukhari ,Talikaan 2/266,
Musanif Abdur Razzak 2/96

Imaam Bukhari ne is par Itminaan ka Izhaar kiya jo is ke sahih hone ki
daleel hai}

7- Ikrima ra , farmate hai main ne dekha ke Imaam jab Wa lad Daaalee ” kahta to logon ki Ameen ki awaaz se Masajid Ghunj jaati ,

{ Musannaf Ibn
Abi Shiba 2/187 }

8- Imaam Aata ra , bayan karte hai ke maine 200 Sahaba raz ko dekha ke Baith ullah mein jab Imaam wa lad Daaalleen kahta to sab unchi awaaz se Ameen kahte ,

{ Bahqi , 2/59 ,
Kitab us Sikaat , Ibne Hibban ki shart par is ke sanad sahih hai }

9- Nabi saw ne Farmaya Yahoodi jitna Ameen or Salam se cheedte hai utna kisi or chiz se nahi cheedte , pas tum zayada Ameen kahna ,

{ Ibn Maazah ,
Hadees no 856 }

Ibn Khuzema or Bukhari ne sahih kah hai ,

Hafiz Ibn Abdul Bar ra , ne zikr kiya ke Imaam Ahmad bin Hambbal ra , us shakhr par shakth naraz hote jo unchiawaaz se Ameen kahne ke Makruh samajhta , kyon ki Yahoodi Ameen se cheedte hai ,

KYA BULAND AWAAZ SE ‘ AAMEEN ‘ KAHNA QUR’AAN KE KHILAAF HAI ?

Ahle hadith ke quraan ko na maanne ke saboot me maulana usmani ne ye daleel pesh ki hai ke: ahle hadith unchi aawaaz se aameen kahte hain, halaanke aameen dua hai, aur dua ke mutaallik quraan hakeem me aaya hai

” ud’oo rabba’hum ta’zar ru’ao wa’khufyah ”

trans: apne rab se aajizi ke saath aahista aahista dua karo

JAWAB:

Maulana ahle hadith ke khilaaf hasad me is qadar aage chale gaye hain ke unhone ahle hadith par ye jurm aaid karne ke liye ek aisi daleel taraash li, jiski aimma e ahnaaf me se kisi ko khabar na ho saki,

aur wah is josh me is qadr khud’faramosh hogaye ke itna bhi na socha ke is sitam raani ki zad kis par padegi,

aur toh aur agar quraan hakeem ki be’shumaar wala tadaad aayat par ek nazar daal lete jo dua bil jahar ke mutaallik waarid hoi hain toh buland aawaaz se dua bil jahar ko quraan ke Khilaaf na batlaate,

aur na hi is ayat ka wah tarjuma wa mafhoom lete jo ab sirf ahle hadith ko badnaam karne ke liye liya hai ke ba’soorat deegar is aayat me aur dusri aayat me tazaad paida hota hai,

chunanche ab ham wah aayat pesh karte hain jisme ba’aawaaz buland dua maangna saabit hai,

allah taala ka irshad hai: aur hamen nooh (as) ne buland aawaaz pukaara aur hamne uski dua ko sharf qubuliyat bakhsha ”

Surah Saffaat Ayat No 75

ek aur maqaam par farmaya: aur nooh (ko yaad karo ) jab usne buland aawaaz se pukaara toh hamne uski pukaar ko qubool kiya    “(    Surah Ambiya Ayat No 76   )

hz ayyub (as) ke mutaallik farmaya: aur ayyub (as) ke usne buland aawaaz se dua ki (aiy allah) mujhe takleef pahunchi hai aur tu bahut raham karne waala hai ”

Surah Ambiya Ayat No 83

” ham ne uski dua qubool kar li aur uski taqleef door kar di”

Surah Ambiya Ayat No 84

isi tarah hz yunus (as) ke mutaallik farmaya:

fanada fi la illaha illa anta subhanaka inni kuntu minaz zaalimeen ”

Surah Ambiya Ayat No 87

ye aur is qism ki bahut si aayat hain, is sab me dua ko aawaaz se ada karne ka zikr kiya hai aur ” nida” ko arabic me buland aawaaz ko kahte hain,

chunanche imam raaghib farmte hain: ke nida ke maane aawaaz ka buland karna aur uska zaahir karna hai ”

( mufar’daat imam raaghib page 505)

aur lughat arab ke imam ibn manzoor afreeki misri farmate hain:ke nida ke maane buland aawaaz se pukaarne ke hain aur ‘ falan andi sautan min falaan ‘ ka maana hai ke falan ki aawaaz falan se buland hai ”

(lisanul arab jild 2 page 187)

aur sahab majmua bahaar ul anwaar likhte hain: (indi sauta ai arfa wa’ala) ke ‘andi sauta’ ka matlab buland aur unchi aawaaz waala hai ”

(majmua bahaar ul anwaar jild 3 page 345)

aur khud quraan hakeem me iski be’shumaar misaalein maujood hain ke ‘ nida ‘ buland aawaaz ko kahte hain

Chunanche surah hood me allah taala ne hz nooh aur unke bete ka mukaalmah naqal kiya hai aur iski ibteda is lafz se hui hai ke        ” wa’naadi nooh abnah ”

yani aur nooh ne apne bete ko pukaara aur wah kinaane pe tha ke aiy mere bete hamare saath sawaare ho jaao aur kaafiron ka saath na do, isi tarah surah aaraaf me ashaab ul jannah , ashaab ul aaraaf aur ashaab ul naar ki aapas ki baat cheet ko bhi ba’lafz nida hi zikr kiya hai

” ke jannation ne dozakhiyon ko kaha aur aaraaf(44) waalon ne dozakhiyon ko pukaara aur dozakhiyon ne jannation se sawaal kiya ”

zaahir hai ke ek dusre se baat, sawaal aur mukhaatib be’ghair aawaaz buland kiye hue nahi ho sakti, isliye is baat ko tasleem kiye beghair chaarah nahi ke nida ke maana ba’aawaz buland pukaarne ke hain aur ise maanne ke baad ye bhi maanna padega ke maulana usmani ne aayat (ad’oo rabbakum) ka jo tarjumah kiya hai aur usse jo mafhoom akhaz kiya hai wah Bilkul ghalat hai, warna kalaam baari me ikhtelaaf maanna padega (auzubillah )

aur is baat ka tasawwur bhi nahi kiya ja sakta ke quraan hakeem me koi huqm waarid ho aur mubeen e quraan aur haamil e wahiy hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) uske khilaaf karen,

halaanke aameen buland aawaaz se kahna na sirf ye ke khud hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se saabit hai balke aapne apne sahaba kiram ko unchi aawaaz se kahne ka huqm diya hai,

hz wail bin hajar ra riwayat karte hain ki maine suna aap(sws) ne padha, ” gairil maghzoobi alaihim walazzalleen ” phir aapne buland awaz se aameen kahi

( tirmizi 248, abu dawood 932, tirmizi ne hasan jabki ibne hajar aur imam dare kutni ne sahih kaha hai)

hz abu hurairah ra kahte hain ki jab rusullullah(sws) ” ” gairil maghzoobi alaihim walazzalleen ” padhte to aap kahte AAMEEN (itni unchi awaz se) ki pahli saf me aapke aas paas ke log sun lete ”

( baihaqi 2/58, ibne Ibne khuzaima 571, ibne hibban 462, ise imam hakim aur imam zahbi ne sahih kaha hai)

hz abu hurairah ra farmate hain aap(sws) ne farmaya: jab imam aameen kahe to tum bhi aameen kaho, jis shakhs ki aameen farishton ki aameen ke barabar ho gayi to uske pahle sab gunaah maaf kar diye jaate hain”      (bukhari 780, muslim 410)

imam ibne khuzaima is hadith ki tashrih me farmate hain:- is hadith se saabit huwa ki imam unchi aawaz se aameen kahe kyonki nabi(sws) muqtadi ko imam ki aameen ke saath aameen kahne ka huqm isi soorat me de sakte hain jab muqtadi ko malum ho ki imam aameen kah raha hai, koi alim yah soch nahi rakh sakta ki aap(sws) muqtadi ko imam ki aameen ke saath aameen kahne ka huqm den jabki wah apne imam ki aameen ko sun na sake”

(sahih ibne khuzaima, 1/286)

naem munzir ra farmate hain ki hz abu hurairah ra ne hamen aap(sws) ke tareeqe ke mutabik namaz padhai phir naem us tareeqe ko bayan Karte hue kahte hai ki unhone aameen kahi aur jo log aapke imamat me namaz ada kar rahe they unhone bhi ameen kahi”

(nisai 2/134, ibne khuzaima 1/251, ise haakim, zahbi aur baihaqi ne sahi kaha hai)

hz abdullah bin zubair ra aur unke muqtadi itni buland aawaz se aameen kaha karte they ki masjid goonj uthti thi”

(bukhari 2/262, abdurrazzaq 2/96, imam bukhari rh ne ise imam hazam ke qalimeh ke saath zikr kiya hai, jo iske sahih hone ki daleel hai)

hz ikrama rh farmate hain:- maine dekha ki imam jab “walazzalleen” kahta to logon ke aameen kahne ki wajah se masjid goonj uthati thi”

(ibne abi shaiba 2/187)

hz ataa bin abi ribah rh farmate hain:-maine 200 sahaba kiram ko dekha ki baitullah me jab imam “walazzalleen” kahta to sab buland awaz se aameen kahte”

(baihaqi 2/59, kitabussalat, ibne hibban, iski sanad imam ibne hibban ki shart par sahih hai)

Aap(sws) ne farmaya:- jitne yahudi, salaam aur ameen se chidte hain utna kisi aur cheez se nahi chidte, to tum zyadati se aameen kaha karo”

(ibne majah 856, ise imam ibne khuzaima aur imam buseeri ne sahih kaha hai)

hafiz ibne barr rh ne zikr kiya ki imam ahmad bin hambal rh us shakhs par shakht naraaz hote jo buland aawaz se aameen kahne ko makhrooh samjhta, kyonki yahudi ameen se chidte hain dua, ta-awwuz(auzubillah), tasmiya(bismillah) aur surah fatiha padhkar aameen kahne ke baad qur’an majeed me se jo kuch yaad ho usme se kuch padhe”

(bukhari 793) 

AMEEN KA MASLA( BADE PEER SAHAB KA FATAWA)

 

PEERANE PEER SHAH ABDUL QADIR JILANI RH KA FATAWA

  1. PEER SAYYID SHEIKH ABDUL QADIR JEELANI (RH) JO BAHUT BADE AALIM AUR WALIALLAH(ALLAHKE DOST) HUE HAIN APNI KITAAB GUNYAT UT TALIBEEN ME FARMATE HAIN

“WAL JAHRU WAIL QIR’ATI AAMEEN”

(MAGHRIB, ISHA, FAJAR KI NAMAAZ ME) AAWAAZ SE QIR’AT PADHNA AUR UNCHI AAWAAZ SE AAMEEN KAHNA CHAHIYE.

(gunyatuttalibeen)

YAHUDION KA AAMEEN SE CHIDNA

HZ IBN ABBAS (RA) SE RIWAYAT KARTE HUE KAHTE HAIN KI RASOOLLULLAH (SAW) NE FARMAYA, JITNA YAHUDI AAMEEN(UNCHI) SE CHIDTE HAIN UTNA KISI AUR CHEEZ SE NAHI..

IBNE MAZAA.

ZARA DEKHIYE: AGAR KOI UNCHI AAMEEN KAHE TO RASOOLLULLAH (SAW) KI ISS SUNNAT PAAK SE KABHI NA CHIDNA AUR NA NAFRAT KARNA KYONKI AAMEEN UNCHI AAWAZ SE YAHUDION KO CHID THI AUR WO NAFRAT KARTE THE AUR HAME YAHUDION KA VIRODH KARNA CHAHIYE….

AAMEEN, SUMMA AAMEEN

BULAND AAWAZ SAY AAMEEN KEHNE KE DALAYEL SCAN PAGE’S

BULAND AAWAZ SAY AAMEEN KEHNE KE DALAYEL 

al-qoulu-muteen-ameen-bil-jaher

mukhtasar-saheeh-namaz-e-nabvi

BULAND AAWAZ SAY AAMEEN KEHNE KE DALAYEL  uRDU bOOK’S

https://www.scribd.com/document/330569839/Aameen

https://www.scribd.com/document/330569980/al-qoulu-muteen-ameen-bil-jaher

https://www.scribd.com/document/330570628/Mukhtasar-Saheeh-Namaz-e-Nabvi

https://www.scribd.com/document/330571180/Namaz-e-Nabwi-Jadeed-Edition

BULAND AAWAZ SAY AAMEEN KEHNE KE DALAYEL video’s

♻Join Our Page’s Our website’s Our Channel And Whatsapp Grop’s

👉For Latest Updates New Upload Videos , Articles , Islamic Urdu scholars Latest Audios And Jummah Khutbah’s

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

📲Subscribe Our Channel 📺
https://m.youtube.com/channel/UCikwYwA2d-IBLSDwasXfiug

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://m.facebook.com/Darulhudaaigc/

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358/DaRuLHuDa-AiGc

✏https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Leave a comment