NABI (ﷺ) Ki Barzakhi Zindagi Aur Salaam Ka Jawab

NABI (ﷺ) Ki Barzakhi Zindagi Aur Salaam Ka Jawab Quran Aur Sahi Hadees ki Roshni Main

nabi-saws

Sahih hadees se ye sabit hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} apni Qabar-Mubarak me salaam kahne walon ko jawab dete hain, Qabar-Mubarak me apka sunna aur jawab dena kaisa hai? …

iske bare me ye Zehan-Nasheen rahni chahiye ke Dunyawe zindagi ke aitbaar se Rasool-Ikraam {sallallaahu Alaihe Wasallam} par maut ussi tarah waqye ho chuki hai jis tarah aam insaano par waqye hui hai, Allah-Taala ne Quraan-Majid me mukhtalif muqamaat par aap ke liye “Maut” ka lafz istamaal farmaya hai.

[ Aye Mohammad sallallaahu Alaihe Wasallam! ] khud aap bhi marne wale hain aur ye (Kafir aur Mushrik) bhi marne wale hain.

[ Al-Quraan, Surah-No- 39, Surah- Tul-Zamar, Aayat-No—30 ]

Hazrat Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} sirf Rasool hi hain, inse pahele bahut se Rasool guzar chuke hain, kya agar inka inteqaal(maut) ho jaye ya ye shayeed ho jaye to tum islaam se ulte pao phir jaoge? Aur jo koi phir jaye ulte pao to hargiz Allah ka kuch nahi bigdega, Anqareeb Allah-Taala sukarguzaar logon ko neak badla dega.

[ Al-Quraan, Surah-No- 03, Surah- Ale-Imraan, Aayat-No—144 ]

[ Aye Mohammad sallallaahu Alaihe Wasallam! ] hamesha ki zindagi to humne tumse pahle bhi kisi insaan ke liye nahi rakhi, agar aap mar gaye to kya ye (Kafir aur Mushrik) hamesha zinda rahenge.

[ Al-Quraan, Surah-No- 21, Surah- Tul-Ambiya, Aayat-No—34 ]

Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke wafaat ke waqt Hazar-Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} ke khutba ke ye alfaaz:-Agar koi shakhs tum me se Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki ibaadat karta tha usey maloom hona chhiye ki Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafat ho chuki hai, Aur agar koi Allah ki ibaadat karta hai to Allah baqi rahne wala hai kabhi wo marne wala nahi.

[ Sahih-Bukhari, Vol-no: 2, Book: 23(Kitaab-Ul-Janayez), Hadees-no: 1241 ]

chunancha Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafaat ke baad Gusool diya gaya, Kafan pahnaya gaya, Namaaz-e-Janazah ada ki gai aur mitti ke niche Qabar me dafan kiya gaya, lihaza ye baat kisi bhi shak-o-shobah se balatar hai ke Dunyawe ke aitbaar se Rasool {sallallaahu Alaihe Wasallam} par Maut waqiye ho chuki hai, Albata Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki Barzakhi zindagi Ambiya tamaam Auliya, tamaam Shohadah aur Solah ke muqable me jiyada kamil hai, Barzakhi zindagi ke bare me ye baat yaad rahni chhiye ke ye zindagi na Maut se pahle wali zindagi ki tarah hai na hi Qayamat qayam hone ke baad wali zindagi jaisi hai, balke iski asal haqiqat sirf Allah-Taala hi ke Elm me hai, chunacha Allah-Taala ne Quraan-Majid me saaf wazah Alfaaz me iski sarahat farmai hai, irshad-e-Baari-Taala hai:-

Aur jo log ALLAH ki raah me qatal kar diye jaye(maar diye jaye) unhe tum murda na kaho balke wo zinda hai, lekin tumhe (inki zindagi ka) shaur nahi rakhten.

[ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah- Tul-Baqra, Aayat-No—154 ]

Allah-Taala ne Barzakhi zindagi ke bare me jab puri taqid ke sath ye baat irshad farma di hai ke inki kaifiyat ke bare me tumhe Shur nahi to phir humen is bare me Aqal aur Qayaas ke ghode daudana nahi chhiye ke Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} jab Salaam sunte hain aur jawab dete hain to phir wo zindagi dunyawe zindagi se mukhtalif kyon? ya agar Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} Salaam sunte hain to ghuftagu kyon nahi sunte ect? hamare Emaan ka taqaza ye hai ke jitna kuch hamen Allah-Taala aur uske Rasool {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne bataya hai, usey be jhijhak taslim kar le aur jis ke bare me khamoshi ikhtiyaar farmai hai isme khooj lagane aur kuredne ki bajaye khmoshi ikhtiyaar karen, apne Deen aur Emaan ki salamti ka yahi mahfooz tareen rasta hai.

{ Marne Ke Baad Kisi Ko Dobara Dunyawe Zindagi Nahi Di Jati }

Hazrat-Jabir-Bin-Abdullah {Radi Allahu ‘Anhu} farmate hain ke din Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} se meri mulaqaat hui to aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Jabir Kya baat hai tum kuch Afsarda n…

azar aate ho? maine arz kiya ya Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam}! Mere walid Gazwa-e-Aahad me shayeed ho gaye hain aur unhon ne apne pichhe Qarz aur Ayaal (yani bachche) chodhe gaye, Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Main tumhe ek khushkhabri sunata hu ke Allah-Taala ne jab bhi kabhi kisi se kalaam farmaya to sirf pardah me hi farmaya hai, Magar tumhare baap se Allah-Taala ne rubaru kalaam kiya aur farmaya Aye mere Bande! Tum jo chaho maango main tumhe dunga to tumhare baap ne kaha Aye Allah main ye sawal karta hu ke ek baar phir mujhe dunya me lauta de take tere raste me dobarah shayeed ho jaun to Allah ne farmaya Main pahele se ye baat farma chukka hu ke yahan aane walon ko dobarah Dunya me nahi lautaya jayega, To Abdullah {Radi Allahu ‘Anhu} ne arz kiya ki! Allah mere piche rahjane walon ko mera paigaam pahuncha de, To Allah ne is muke par*Surah-Ale-Imraan ki Aayat-No—169* nazil ki [ Inlogon ko murda khayal na karo, jo Allah k raste me maar diye gaye hain, balke wo zinda hain, inhe inke rab ke yahan rizq diya jata hai ]

( Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitaab- ul-Tafseer), Hadees-no: 927 )
2) 01- Kya Ambiya Aur Auliya Ko Apni Qabaron Me Dunyai Zindagi Hansil Hai? Ya Ye Zindagi Alam-e-Barzakh Ki Zindagi Hai?

Aur jo log ALLAH ki raah me qatal kar diye jaye(maar diye jaye) unhe tum murda na kaho balke wo zinda hai, lekin tum shaur nahi rakhten.

( Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Tul-Baqra , Aayat-No—154 )

Tasrih :- SHOHADA (shyeed kiye gaye log) ko murda na kahna inki izzat-e-ahtaram k liye hai, ye zindagi “ALAM-E-BARZAKH” ki zindagi hai, jise hum samjhne se qasir hai, ALLAH TAALA hame bata raha hai ke “SHOHADA (shyeed kiye gaye log)” barzakh me zinda hai, aur unhe Rizq bhi diya jata hai,

Ek hadis me hai, Jise Imam-Ahmed (r.a) ne Imam-Shafi (r.a) se unhone Imam-Maalik se unhone Imam-Zahri se unhone Abdul-Rahman-Bin–Kaab-Bin -Maalik se aur unhone apne walid(Father) Hazrat-Kaab-Bin-Maalik(r.t.a) se riwayat kiya hai k Rasool(s.a.w) ne farmaya Bila-shuba momin ki “ROOH” ek aisa parinda hai jo “JANNAT” ke darakhton (Tree) se phal-wagairah khata rahta hai,hata k qayamat k din ALLAH-TAALA isse iske jism me lauta dega,

Tasree h :- Ye hadees is baat ki dalil hai k aam-momin bhi “BARZAKH” me zinda hai, isliye izzat aur taazim k taur par “QURAAN-MAJID” me “SHOHADA” (shyeed kiye gaye log) ka bataur-e-khas zikar kiya gaya hai.

(Musnad-Ahmed : 455/3)

Iski puri tafsir k liye dekhiye. ( Tafseer- ibn-Kathir, Surah-Al-Baqarah, Aayat-no—154 ).

3) 02- Kya Ambiya Aur Auliya Ko Apni Qabaron Me Dunyai Zindagi Hansil Hai? Ya Ye Zindagi Alam-e-Barzakh Ki Zindagi Hai?

Inlogon ko murda khayal na karo, jo Allah k raste me maar diye gaye hain, balke wo zinda hain, inhe inke rab ke yahan rizq diya jata hai.

( Al-Quraan, Surah-No- 03, Surah- Ale-Imraan, Aayat-No—169 )

Issi tarah ki hadis Hazrat-Anas {Radi Allahu ‘Anhu} ne—– sahih-Muslim, Hadis-no—1877—–aur Hazrat-Abu-Sayeed {Radi Allahu ‘Anhu} se—– Sahih-Muslim, Hadis-no—1884 —–bhi marwe hai. Imaam-Ahmed ne Hazrat-Anas {Radi Allahu ‘Anhu} ki Hadis ko biyaan kiya hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya shayeed k siwa aur koi aisa nahi k jo faut “yani deth” hua aur Allah-Taala k yahan iske liye achhai-wa-bhalai ho. Phir bhi wo dunyan lautna pasand kare. lekin shohada “ yani shayeed kiye log” dunya me dubarah wapas jana zarur pasand karega ke ek baar phir dunya me jaye aur dubarah shayeed ho jaye.

( Musnad-Ahmed, 126/3 )

Is hadis ko ( shakheen me se sirf) Imaam-Muslim ne hi biyaan kiya hai—-{-Sahih-M uslim, Hadis-no—1877—.}

Imaam-Ahmed ne Hazrat-Ibne-Abbas {Radi Allahu ‘Anhu} ki hadis ko biyan kiya hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: jab tumhare bhai Aahad me shayeed hue to Allah-Taala ne inki Rohon ko sabz-Rang k parindo k Qalabon “yani sina” me kar diya, jo Jannat ki nahren me aate, Jannat ki phalon ko khate aur arsh k saye me sone ki Qandalon k pass ruk jati hai-Jab unhone apne pakizaa khane aur pine ko dekha aur hussan-e-anjaam ko dekha to kahne lage ki aye kash! Hamare bhaiyon ko bhi ye maloom ho jaye k Allah-Taala ne hamare sath kya suluq farmaya hai, take wo Jihaad se gafil ho kar jang se monh na mod le, To Allah-Taala ne farmaya: tumhare ye paigaam main pahuncha deta hu, to is muke par Allah-Taala ne ye aayat nazil farma di……………. [*{*( Wa laa tahsabannal-lazeena qutiloo fee sabeelil-laahi’amwaataa;bal’ah yaaa’un’inda Rabbihim yurzaqoon )*}*] ………..Aur jo log Allah ki rah me maare gaye inko murda na samajhna balke murda nahi hain,Allah k yahan zinda hain aur inko Rizq mil raha hai,”

( Musnad-Ahmed: 126/3 )

Imaam-Qadadah,Rabiaa aur zuhaaq(r.a) ne bhi yahi kaha hai, k ye Aayat Shohada-e-Aahad “ Yani Aahad ki jang me shayeed kiye gaye log ” ke bare me nazil hui hai.

( Tafsir-Tibriyai: 229/4 )

Imaam-Abu-Baqar-Ibne-Mardoviya ne Hazrat-Jabir-Bin-Abdullah {Radi Allahu ‘Anhu} ki hadis ko biyaan kiya hai k ek din Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne meri taraf dekha aur farmaya: Kya baat hai tum kuch afsarda nazar aate ho??? To maine arz kiya aye Allah ke Rasool {sallallaahu Alaihe Wasallam}! Mere walid Gazwa-e-Aahad me shayeed ho gaye hain aur unhon ne apne pichhe Qarz aur kasir bachche chode hain-Apne farmaya: Abdullah! Main tumhe ek baat batata hu ke Allah-Taala ne jab bhi kabhi kisi se kalaam farmaya to sirf pardah me hi farmaya hai, Magar tumhare baap se Allah-Taala ne rubaru kalaam kiya aur farmaya: Aye mere bande! Tum jo chaho mango main tumhe dunga to tumhare baap ne kaha: Aye Allah main ye sawal karta hu k ek baar phir mujhe dunya me lauta de take tere raste me dobarah shayeed ho jaun to Allah ne farmaya: Main pahele se ye baat farma chukka hu k yahan aane walon ko dobarah dunya me nahi lautaya jayega, To Abdullah {Radi Allahu ‘Anhu} ne arz kiya ki! Allah mere piche rahjane walon ko mera paigaampahuncha de-“To Allah ne is muke par ye Aayat nazil ki { ( Wa laa tahsabannal-lazeena qutiloo fee sabeelil-laahi’ amwaataa;bal’ahyaaa’un’inda Rabbihim yurzaqoon )}

( Tirmidi, Hadis-no—3010* /// *Musnad-Ahmed: 361/3 )

Imaam-Ahmed ne Hazrat-Ibne-Abbas {Radi Allahu ‘Anhu} ki hadis biyan ki hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: shohada jannat ke darwaze par naher(lake) ke kinare sabz-rang k qabe me honge aur unhe subah-wa-shaam jannat se rizq mile ga-“is hadis ke biyaan karne me Imaam-Ahmed mutfird hain.

( Musnad-Ahmed: 298/3)

Is Hadis Ki Sanad Sahih Hai

( Tafsir-Tibriyai: 228/4 )

Maloom hota hai shohada ki kai qisme hain: ek to wo hain jin ki roohen jannat me aati-jaati hain aur dusra wo honge jo jannat k darwaze par is naher(lake) ke kinare honge, is baat ka bhi ahtamaal hai naher(lake) ke pass aakar inki shaer(walk) khatam ho jati ho, phir wo yahan jama ho jate ho aur unhen subha-wa-shaam rizq diya jata ho. { *Allah-wa-Aalam* ) …..!( Musnad-Ahmed: 455/3* /// *Ibne-Majah, Hadis-no—4271 )

Hazrat-kaab-bin-maalik {Radi Allahu ‘Anhu}) se rawayat hai ke Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: Yaqinan momin ki rooh ek parinda(bird) ki shakal me jannat ke darakht(tree) se phal khati rahti hai hatta k Allah-Taala is din “yani qayamat ke din” iske jism me lauta dega jab isse uthaya jaye ga-“

( Musnad-Ahmat: 455/3* /// *Ibne-Majah, Hadis-no—4271 )

Is hadis ka mafhum ye hai k Aam momin ki rooh jannat me parinde(bird) ki shakal me hogi-jabke shohada ki rooh sabz-rang ke parindo(bird) ke sine me hogi aur Aam momin ki rooh jo khud udti hogi iske nisbat ye “shohada ki rooh” sitare k maind hogi-.

Iski Puri Tafsir Ke Liye Dekhe.( Tafseer- ibn-Kathir, Surah-Al-Imraan, Aayat-no—169 ).
4) { Har Nafs Ko Maut Ka Mazaa Chakhna Hai }

(34 ) Aur [ Aye nabi sallallaahu Alaihe Wasallam! ] humne apse pahele bhi kisi basher “yani insaan” ko hamesha ki zindagi nahi di, phir aap Mar jaye “yani wafat kar jaye” to kya wo hamesha rahne wale hain? (35) Har nafs ko maut ka mazaa chakhna hai.

( Al-Quraan, Surah-No- 21, Surah- Tul-Ambiya, Aayat-No—34,35 )

Tashrih:- Irshad bari-taala hai : { (Wa maa ja’alanaa-libasharim-min-q ablikal-khuld) } Aur ( aye pagambar) humne apse pahele kisi Aadmi ko hamesha ki zindagi nahi bakhshi “yani dunya me” balke “Surah-Tul-Rahman, Aayat-no—26,27” me hai jo Makhloq is zamin par hai sabko faana hona hai, aur aap ke parwardigar ke jalaal-wa-Azmat wala chahra hi baqi rahega, Famaan-e-Elahi hai :- {(afa’im-mitta) } pas bhala aap faut hojaye “yani mar jaye? Aye Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} { (fahumul-khaalidon) }to ye log hamesha rahege? yani ye umeed rakhte hain ke apke baad zinda rahegen, lihaza ye kabhi nahi ho sakta kyon ke har ek ko ek na ek din Faut ho jana hai “yani mar jana hai, Issi liye farmaya: {*( Kullu nafsin zaaa’iqatul-mawt;) } Har nafs ko maut ka mazaa chakhna hai.

( Tafseer-ibn-Kathir, Surah-Tul-Ambiya, Aayat-no–34,35 )

Tashrih :- Ye kuffar ke jawab me hai, jo Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki babat kahte the ke ek din isse mar hi jana hai-Allah ne farmaya ‘Maut to har insaan ko aani hai, aur is ussul se yaqinan Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} bhi mustashna “yani baqi” nahi, kyon ke wo bhi insaan hi hai, aur humne kisi insaan ke liye bhi hamesha zinda rahna nahi rakhi hai, lekin ye baat kahne wale khud nahi marege???

Isse sanam paraston ki bhi tarteed ho gai jo devtaon ki aur Ambiya aur Auliya ki zindagi ke qayel hain aur is bunyaad par inko hajat rawan aur mushkil-kusa samjhte hain.

( Ahsan-Ul-Biyaan, Surah-Tul-Ambiya, Aayat-No—34,35 )

5 ) { Kya Ambiya {Aalaih-islaam} Ko Dunya Me Hamesha Ki Zindagi Digai? }

Humne inhe “yani Nabiyon ko” aisa na banaya tha ke wo khana na khaye aur na wo hamesha rahne wale the.

( Al-Quraan, Surah-No- 21, Surah- Tul-Ambiya, Aayat-No—08 )

Farman-e-Elahi hai:- { (Wa maa Kaanoo-Khaalideen) } Aur wo hamesha rahne wale na the “yani dunya me” balke wo apni zindagi ke pura hone ke baad faaut ho jaya karte the “yani inteqaal kar jaya karte the”… Jaisa k farmaya (Surah-Tul-Ambiya, Aayat-no—34) me “Humne apse pahle bhi kisi bashar ko hamesha ki zindagi nahi di”

( Tafseer-ibn-Kathir, Surah-Tul-Ambiya, Aayat-no—08 )

6) { Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} Ko Allah Ne Quraan-Majid Me Kaha Apko Bhi Maut Aayegi }

Yaqinan khud apko bhi Maut ka mazaa chakhna hai, aur ye sab bhi marne wale hain.

( Al-Quraan, Surah-No- 39, Surah- Tul-Zamar, Aayat-No—30 )

Tashrih :- Yani aye paigamber! Aap bhi aur apke mukhalif bhi sab Maut se humkanar ho kar is dunya se hamare pass aakhrat me aayegen- Dunya me to Tuheed aur shirk ka faisla tumhare darmiyan nahi ho saka aur tum is bare me jhagadte hi rahe, Lekin yahan main iska faisla karonga aur Momin, Mukhlis, aur Moheed bande ko Jannat me aur Kufr-wa-inkaar aur Shirk-wa-takzeeb karne wale ko Jahannam me dakhil karonga, Is Aayat se bhi wafat-e-nabwe sabit hota hai, jis tarah k “Surah-Tul-Imra an, Aayat-no—144” se bhi sabit hota hai, inhi aayat se istadlal karte hue Hazrat-Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} ne bhi logon me apki maut ka taqiq farmaya tha, Isliye Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki babat ye aaqida rakhna k apko Barzakh me bilkul issi tarah zindagi hansil hai jis tarah dunya me hansil thi, Aur ye Quraan ke bhi khilaf hai, Aap par bhi digar insaano hi ki tarah Maut tari hui, issi liye apko daafan kiya gaya, Qabar me apko barzakhi zindagi to yaqinan hansil hai, jiski kaifiyat ka hame ilm nahi, lekin dobarah Qabar me apko dunyawe zindagi ata nahi ki gai-“

( Ahsan-Ul-Biyaan, Surah-Al-Zamar, Aayat-no—30 )

Iski puri tafsil ke liye dekhe ( Tafseer- ibn-Kathir, Surah-Al-Zamar, Aayat-no—30 )

Tasri h:- ye Abmbiya {Aalaih-islaam} ki basharat ki dalil di jarahi hai, ke wo khana bhi khate the aur wo Maut se hamkanar ho kar is dunya se chale bhi gaye, agar wo bhashar na hote to in chizon me inka mamla dusre insano se mukhtalif hota.

( Ahsan-Ul-Biyaan, Surah-Tul-Ambiya, Aayat-No—08 )

7) { Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} Se Pahle Bhi Ambiya {Aalaih-islaam} Ki Ek Badi Jamaat Maut Se Humkanar Ho Kar Dunya Se Rukhsat Ho gai }

Hazrat Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} sirf Rasool hi hain, inse pahele bahut se Rasool ho chuke hain, kya agar inka inteqaal(maut) ho jaye ya ye shayeed ho jaye to tum islaam se ulte pao phir jaoge? Aur jo koi phir jaye ulte pao to hargiz Allah ka kuch nahi bigdega, Anqareeb Allah-Taala sukarguzaar logon ko neak badla dega.

( Al-Quraan, Surah-No- 03, Surah- Ale-Imraan, Aayat-No—144 )

Tasrih :- Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} sirf Rasool hi hain “Yani inka imtiyaz bhi wasif-resalat hi hai, ye nahi ke wo Bashari-khususiyat se bala tar hai aur khudai sifat se mutassif ho ke inhe Maut se do-chaar na hona pade [yani inhe maut na aaye] Jang-e-Ahad me harne ki waja me se ek waja ye bhi thi k Rasool {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke bare me kafiron ne ye afwa faila di ke Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} qatal kar diye gaye, Musalmano me jab ye khabar phaili to isse se kuch Musalman ke hosle past ho gaye aur ladai se piche hat gaye, Jis par ye Aayat nazil hui ke Nabiyon ka kafiron ke hantho qatal ho jana, is par maut ka warid ho jana koi nai [new] baat nahi hai, pichle Ambiya bhi qatal aur maut se humkanar ho chuke hain, agar aap bhi isse do-chaar ho jaye to kya tum is deen se hi phir jaoge? Yaad rakho jo phir jayega wo apna hi nuksan karega Allah ka kich nahi bigde sakega. Nabi-Kareem {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke wafaat ke waqt jab Hazrat-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} shiddat-e-jazbaat me wafaat-e-nabwe ka inkaar kar rahe the, Hazrat-Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} ne nihayat hikmat se kaam lete hue Member-e-Rasool {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke pahlu me khade ho kar issi Aayat ki tilawat ki jis se Hazrat-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} bhi mutassir hue aur unhe mahsoos hua ke ye Aayat abhi abhi utri hain.

( Ahsan-ul-Biyaan, Surah-Ale-Imraan, Aayat-no—144 )

Iski puri tafsil ke liye dekhe ( Tafseer– ibn-Kathir, Surah-Ale-Imraan, Aayat-no—144 )

8 ) { Allah Ke Rasool Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} Ko Bhi Maut Aai Aur Aap MALA_E_ALA se ja mile }

Wafaat-E-Nabwe Par Sahaba-ikraam {Radi Allahu ‘Anhu} Me ikhtilaf Hua Yani Wo Samjhte The Ki Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} Ko Maut Nahi Aai To Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} Kitne Sakht Alfaaz Kahe.Agar koi shakhs tum me se Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki ibaadat karta tha isse maloom hona chhiye ki Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafat ho chuki, aur agar koi Allah ki ibaadat karta hai to Allah baqi rahne wala hai, kabhi wo marne wala nahi, Allah-Taala ne( *Surah-Ale-Imraan, Aayat-no— 144* )me farmaya: Hazrat Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} sirf Rasool hi hain, inse pahele bahut se Rasool ho chuke hain, kya agar inka inteqaal(maut) ho jaye ya ye shayeed ho jaye to tum islaam se ulte pao phir jaoge? Aur jo koi phir jaye ulte pao to hargiz Allah ka kuch nahi bigdega, Anqareeb Allah-Taala sukarguzaar logon ko neak badla dega.

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 2, Book: 23(Kitaab-Ul-Janayez), Hadees-no: 1241 )

Hazrat-Aysha {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke jab mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafat ho gai to Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} apne ghar se jo sanah me tha ghode (hourse) me sawar ho kar aaye aur utarte hi Masjid me tasrif le gaye, phir aap kisi se guftagu ke begair Aayesha {Radi Allahu ‘Anhu} ke hujra (ghar) me aaye [ jahan Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki laas-e-mubarak rakhi hui thi ] aur Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke taraf gaye, Huzur-Ikraam ko [ yamaan ki bani hui chadar] se dhank diya gaya tha, phir apne Huzoor {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki Chadar-Mubarak khola aur jhuk ke iska bosha liya aur rone lage, apne kaha ke mere Maa-Baap aap par qurbaan ho aye Allah ke Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ! Allah-Taala do maut aap par kabi jama nahi karega siwa ek maut ke jo apke muqadar me thi, so aap wafaat pachuke,

Abu-salma ne kaha ke mujhe Ibne-Abbas {Radi Allahu ‘Anhu} ne khabar di ke Hazrat-Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} jab bahar tasrif laye to Hazrat-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} is waqt logon se kuch baten kar rahe the, Hazrat-Siddiq-Akbar {Radi Allahu ‘Anhu} ne farmaya baith jao, lekin Hazrat-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} nahi mane, akhir Hazrat-Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} ne Kalmah-e-Shahadat padhi to tamaam majma apki taraf mutwajah ho gaya aur Hazrat-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} ko chod diya,

Apnefarmaya: Amma-Baad ! agar koi shakhs tum me se Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki ibaadat karta tha isse maloom hona chhiye ki Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafat ho chuki, aur agar koi Allah ki ibaadat karta hai to Allah baqi rahne wala hai, kabhi wo marne wala nahi, Allah-Taala ne( *Surah-Ale-Imraan, Aayat-no— 144* )me farmaya Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} sirf Allah ke Rasool hain aur bahut se Rasool isse pahele bhi guzar chuke hain, “AL-SHAKREEN” tak [apne Aayat tilawat ki] qasam ALLAH ki aisa maloom hua ke Hazrat-Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} ke Aayat ki tilawat se pahele jaise logon ko maloom hi na tha ke ye Aayat bhi Allah-Taala ne Quraan-Majid me utari hai, jab tamaam Sahaba {Radi Allahu ‘Anhu} ne ye Aayat apse sikh li, phir to har shakhs ki zubaan me yahi Aayat thi.

Tasrih :- Hazrat-Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafaat ke baad Hazrat-Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} apke chahera Mubarak khola aur apko bosha diya, wafaat-e-nabwe par sahaba ikraam ka ek tahalka mach gaya tha, Baro-waqt Hazrat-Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} ne ummat ko sanbhla aur haqiqat-e-haal ka izhar farmaya, jis se musalmano me se ek guna sukun ho gaya aur sabko is baat par itminan-e-qamil hansil ho gaya, islaam Allah ka sacha deen hai, wo Allah jo hamesh zinda rahne wala hai, Hazrat-Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki wafat se islaam ki baqa par koi asar nahi pad sakta, Aap Rasool ki jammat ke ek fard-o-farid hain, aur dunya me jo Rasool aaye apne apne waqt par dunya se rukhsat ho gaye, Aise hi aap bhi apna mission pura kar ke “MALA_E_ALA” se ja mile, sahaba ka ye khayal bhi ho gaya tha ke Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} dubarah zinda honge, issi liye Hazrat-Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} ne farmaya Allah-Taala aap par do maut tari nahi karega, [yani apko dubarah zinda nahi karega]

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 2, Book: 23(Kitaab-Ul-Janayez), Hadees-no: 1241 )

Hazrat-Ibne-Abbas {Radi Allahu ‘Anhu} biyan karte hain ke Allah ki qasam yu maloom hota hai ke logon ko ye malom hi na tha ke ye Aayat nazil hui hai, hatta ke Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} ne iski tilawat farmai, logon ne Hazrat-Abu-Baqar {Radi Allahu ‘Anhu} se is Aayat ko hansil kiya aur jis jis ne bhi is Aayat ko suna to besakhta iski tilawat kar di, Hazrat-Usman {Radi Allahu ‘Anhu} ne farmaya ke Allah ki qasam! Mene jab Abu-Baqar-Siddiq {Radi Allahu ‘Anhu} se is Aayat ki tilawat suni to main khade ka khada rah gaya, mere pao mujhe utha nahi rahe the, Hata k main gir gaya.

( Sahih-Bukhari, Vol-no: 5, Book: 64(Kitaab-ul-Maghazi), Hadees-no: 4454 ) 

Urdu Pdf Book Abot barzakhi Zindagi

https://www.scribd.com/document/332370256/Barzakhi-Zindagi-Aur-Qabr-Ke-Azabo-Aram-Ke-Masael

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

🌐Our Official website 🌐
https://DaRuLHuDaAiGc.wordpress.com

📲Subscribe Our Channel 📺
https://m.youtube.com/channel/UCikwYwA2d-IBLSDwasXfiug

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://m.facebook.com/Darulhudaaigc/

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358/DaRuLHuDa-AiGc

✏https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Leave a comment