KABRO KI POOJA / PARASTISH

img-open-shirk-astaghfirullahmp4-810-1

 

“KABRO KI POOJA / PARASTISH”
”KABRO KA AHTARAM / MAGHAR SAJDA HI HARAM”
Aur tumhare RABB ne faisla
farmaya hai ke Uske siwa kisi ki
ibadat na karo.
>Surah Israa:23
Aur us shakhs se bad kar koun
gumrah ho sakta hai, jo aiso ko
pukare, jo Qayamat tak usey
jawaab na de sake aur inko unke
pukaar ne hi ki qabar na ho.
>Surah Ahqaf:5
Allah ke siwa jin jin ko bhi tum
pukaar te ho, wo ek makkhi bhi
paida nahi kar sakte, agarchey ke
wo sab iske liye jamaa ho jaye.
>Surah Hajj:73
Rasul(saw) ne farmaya: Jo shakhs
ghairullah ko pukaarta aur us se
dua aur pukaar karta mar jaye,
toh wo JAHANNAM me jayega.
>Bukhari:4497
Aur Zinde aur Murde barabar nahi
ho sakte, Allah jisko chahata hai
suna deta hai aur Aye Nabi! Tu un
logo ko nahi suna sakta jo KABRO
me hai.
>Surah Fatir:22
Aye Nabi! Beshak Tu MURDO ko
nahi suna sakta.
>Surah Room:52
Aap(saw) ne Ali ibn Abu Talib(ra)
se farmaya: Jo koi Mujassama
dekho toh use MITAA do, koi
OONCHI KABAR dekho toh use
BARABAR kardo.
>Muslim:969
Aap(saw) ne un logo ke upar
LAANAT ki hai, jo log KABRO par
jakar chiraag jala te hai.
>Abu Dawood:3230
Aap(saw) ne KABRO par Masjid
(Sajda karne ki jagah) bana ne
walo par LAANAT farmayi hai.
>Abu Dawood:3288
Rasul(saw) ne KABAR par BAITH
ne se, KABRO ko PAKKHI karne se,
KABRO ko OONCHA karne se,
KABRO par kuch TAMEER karne se
aur KABRO par likhe huye PATTAR
laga ne se manaa farmaya hai.
>Abu Dawood:3225
Rasul(saw) ne farmaya: Jo shakhs
kisi KABAR ka MUJAAWAR bane, us
se behtar hai ke wo AAG ke
angaarey par baith jaye aur AAG
uske jisam aur uske kapdo ko
jalaa kar raaqh kar daale.
>Muslim:2119
Rasul(saw) ne farmaya: Meri
ummat ke bad-tareen log wo
honge, jo KABRO ki ibaadat
karenge, jinki zindagi hi me unke
upar qayamat aayegi.
>Musnad Ahmad:3844
Aap(saw) ne farmaya: Allah ki
LAANAT ho Yahudiyo aur Isayiyo
ke upar, jinho ne apne Ambiya ki
KABRO ko SAJDA-GAAH banaa liya.
>Bukhari:435
Aap(saw) ne farmaya: Aye meri
ummat ke logo! Qabardaar ho jao,
tum se pehle jo log guzre hai, wo
apne Ambiya o Awliya ki KABRO
ko ibadat gaah banaa lete te.
Qabardar tum KABRO ko ibadat
gaah na banana, Mai(saw) tumhe
aisa karne se manaa karta hoon.
>Muslim:1188
Aap(saw) ne dua ki ke aye Allah
Meri KABAR ko Tu bot na banana
ke uski ibadat ki jaye.
>Muatta Malik:9/88
Aap(saw) ne hukm diya ke Meri
KABAR par barbaar laut kar na
aana aur na mela lagana.
>Musnad Ahmad:2/367
Aisha(ra) bayan karti hai ke Umm
Salama(ra) aur Umm Habiba(ra) ne
Hafsha ki sar-zameen ki taraf
hijrat ki, waha unho ne Isayiyo ka
ek girja dekha, jiske andar kuch
tasavir latak rahi thi, is baat ka
taskira unho ne wapsi par Nabi
(saw) ke saam’ne kiya.
Aap(saw) ne farmaya: ye wo log
hai, jab in me se koi nek aadmi
mar jata toh ye uski TASVIR latka
lete aur uski KABAR ko SAJDA-
GAAH banaa lete, aise log Allah ke
nasdeeq BAD-TAREEN maqlooq hai.
>Bukhari:427
Jo log Awliya, Buzargo ki KABRO
ko sajda-gaah bana lete hai aur
unki tasavir latka lete hai, aise log
Allah ke nasdeeq bad-tareen
maqlooq hai.
Rasul(saw) ne Apne Sahaba se
farmaya ke tum Meri KABAR ko
SAJDA-GAAH na banana.
>Muatta Malik, p.65
Aap(saw) ne farmaya: Jis ghar ke
andar kutta ya tasvir ho, waha
rehmat ka farishta dakhil nahi
hota.>Bukhari:4 ¬ /539
Mazaro ya Dargaho ki tasviro ko
gharo me latkana SHIRK hai, PEERO
ya BUZARGO ki KABRO ki tasviro ko
latkana bhi SHIRK hai. Gharo me
jaan-daaro ki tasviro ko latka ne
se rehmat ka farishta hi dakhil
nahi hota.
Aap(saw) ne KABRO par
imaaratein(darg ¬ ah, khankhwah,
Masjid) khadi karne(baand’ne) ¬ se
MANAA kiya hai.
>Muslim:970
Aap(saw) ne un logo ke upar
LAANAT farmaya hai, jo Kabro par
jakar CHIRAAG jalaa te hai.
>Abu Dawood:3238
SHIRK sab se bada GUNAH hai,
SHIRK se Allah ko sab se zyada
nafrat hai. SHIRK karne wala
MUSHRIK hai, SHIRK karne wala
Allah aur Uske Rasul ka dushman hai.
Log khule aam SHIRK kar ke Allah
ke azaab ko dawat de rahe hai,
isliye in KABRO ko zameen ke
barabar kardo. Un Awliya ko
Dargaho ki koi zarurat nahi, balki
ye paisa muhataj musalmano me do.
Apna paisa Molviyo aur Mujawaro
ko mat do, ye log tumare MAAL
aur DEEN ke dushman hai.
DALEEL->
Aye imaan walo! bahoot saare
Molvi, Mujawar, logon ka MAAL
najayaz taur par kha jaate hai aur
unko Allah ke raaste se gumrah
kar dete hai.
>Surah Tauba:34
Nabi(saw) ne farmaya: Allah ka
ghazab un qaumo par nazil hota
hai, jo Apne Ambiya ki KABRO ko
SAJDA-GAAH banaa lete hai.
>Muatta Malik:9/88

Nabi(saw) ne manaa kiya hai ke 3
Masajid ke ilawa kisi aur mukaam
ki taraf sawaab ki niyyat se safar
ka samaan baand kar hijrat na ki
jaye aur wo 3 Masajid hai:
1. MASJIDIL HARAM
2. MASJIDIL AQSA
3. MASJIDIL NABVI
>Bukhari:1189
Jo log badi badi Dargaho aur aise
Qabrastan jaha KABRE OONCHI
banayi gayi ho, wahan sawaab ki
niyyat se safar ka samaan baandh
kar hijrat kar ke jaate hai, ziyarat
ke liye jaate hai, aise log Pyare
Rasul ke hukm ki na-farmani karte hai.
KYA MUSALMAN BHI SHIRK KAR
SAKTE HAI?
JAWAAB: HAAN
DALEEL->
Bahoot saare log Allah par imaan
rakhne ke baad bhi SHIRK karte
hai, MUSHRIK hai.
>Surah Yusuf:106
Allah farmata hai ke tum ko”LAA ILAHA ILLALLAH”ke bare me ilm hona chahiye.
>Surah Mohammad:19
Allah us gunah ko nahi bakhshega
ke kisi ko Uska SHAREEK banaya
jaye aur uske siwa doosre gunah,
jisko chahe maaf kar deta hai.
>Surah Nisaa:48
Abu Bakr(ra) se marvi hai ke Nabi (saw) ne farmaya:
kya Mai tum ko
sab se bada kabira gunah na
bataon?
Aap(saw) ne aisa 3 baar
farmaya,
toh hum ne khaha:
Aye Allah ke Nabi! kyu nahi,
Aap hume zaroor batayein toh Aap (saw) ne farmaya:
Allah ke saath kisi cheez ko SHAREEK karna.
>Bukhari:2511
Har cheez ki ek na ek zid hoti hai
aur TAWHEED ki zid SHIRK hai.
Aye Nabi! Tumhari taraf aur tum
se pehle guzre huye tamaam
Ambiya ki taraf ye WAHIH bheji ja
chuki hai ke agar tum ne SHIRK
kiya toh tumhara kiya karaya
AMAAL ZAAYA ho jayega aur tum
QASARA pane walo me se ho
jaoge.>Surah Zumar:65
SHIRK wo gunah hai, jiske bare
me Allah ne ye yelaan kar diya hai ke jiski Maut bhi SHIRK par aayi,
aise MUSHRIK ke liye JANNAT
HARAM hai, aise MUSHRIK ka
tikhana AAG hai.
DALEEL->
Jisne Allah ke saath SHIRK kiya, us
par Allah ne JANNAT ko HARAM kar
diya hai aur uska tikhana
JAHANNAM hai, waha ye hamesha
rahega aur ZALIMO ka koi
madadgar na hoga.
>Surah Maida:72
Nabi aur Ahle imaan ke liye jayaz
nahi ke wo MUSHRIKO ke liye
maghfirat ki DUA kare, chahe wo
inke rishtedaar hi kyu na ho, jab
ke in par ye baat waazeh ho chuki
hai ke wo JAHANNAMI hai.
>Surah Tauba:113
SHIRK hi ko Qur’an ke andar sab
se bada ZULM khaha gaya hai.
DALEEL->
Luqmaan(as) ne Apne bete ko is
baat ki wasiyat ki ke”Aye Mere
Bachche! Allah ke saath SHIRK na
karna, ye SHIRK bahoot bada ZULM hai”
.>Surah Luqmaan:13
Madad sirf Allah ki taraf se hoti
hai. Kisi Nabi, Wali, Kabar ya Bot se
Madad maangna SHIRK hai.
DALEEL->
Aur Madad sirf Allah hi ki taraf se hai
.>Surah Anfal:10

Leave a comment