Tauheed Feeh Sifaat [Oneness Of The Name And Attributes Of Allah]

Tauheed Feeh Sifaat [Oneness Of The Name And Attributes Of Allah]

tawheed

Tauheed Feeh Sifaat [Oneness Of The Name And Attributes Of Allah] }
{ Kayenaat Ki Har Chiz Ka Haqiqi Maalik Aur Badshah Sirf Allah-Taala Hi Hai }
wahi Allah hai jis ke siwa koi ibaadat ke layeq nahi, badshah-e-Haqeeqi, har aaib se paak, salamti dene wala, aman dene wala, nigahbaan galib zabardast badai wala, Allah Mushriko ke Shirk se paak hai.
{ Al-Quraan, Surah-No- 59, Surah-Tul-Hashr , Aayat-No : 23 }
Aur in logon ne jaisi qadar Allah-Taala ki karni chhiye thi nahi ki, sari zameen Qayamat ke din iske mutthi me hogi aur Tamaam Aasmaan iske dahene hanth (Right hand) me lapete hue honge, wo paak aur balatar hai har is chiz se jise log iska Shareek banaye.
{ Al-Quraan, Surah-No- 39, Surah- Tul-Zamar, Aayat-No : 67 }
Hazrat-Abdullah-Bin-Masood {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ke Ulma-e-Yahood me se ek shakhs Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke pass aaya aur kaha Aye Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ! hum Tauraat me pate hain ke Allah-Taala Asmaano ko ek ungli (finger) par rakh lega aur zameen ko ek ungli par, Darakht (tree) ko ek ungli par, Pani aur Mitti ko ek ungli par aur tamaam makhlooq ko ek ungli par, phir farmaye ga main hi Badshah hu, Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} is par hans diye aur apke samne ke danth (tooth) dekhai dene lage, apka ye hansna is Yahodi Aalim ke tasdeeq me tha, phir aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne *Surah-Tul-Zamar ki Aayat-No—67* tilawat farmai:- [ Aur in logon ne jaisi qadar Allah-Taala ki karni chhiye thi nahi ki, sari zameen Qayamat ke din iske mutthi me hogi aur Tamaam Aasmaan iske dahene hanth (Right hand) me lapete hue honge, wo paak aur balatar hai har is chiz se jise log iska Shareek banaye ]
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 06, Book:65 (Kitaab-ul-Tafseer), Hadees-no: 4811}
{ Kayenaat Mein Hukumat Aur Hukum Dene Ke Tamaam Ikhtiyaraat Sirf Allah Hi Ke Pass Hai }
Hukum dena sirf Allah hi ka haq hai, iska farmaan hai ke tum sab iske siwa kisi aur ki ibaadat na karo, yahi Deen durost hai lekin Aksar log nahi jante,
{ Al-Quraan, Surah-No- 12, Surah- Tul-Yousuf, Aayat-No : 40 }
Hum begair tere Rab ke hukum ke utar nahi sakte, hamare aage piche aur inke darmiyaan ki sab chizein ussi ki malkiyat me hain, tera Parwardigaar bholne wala nahi.
{ Al-Quraan, Surah-No- 19, Surah- Al-Maryam, Aayat-No : 64 }
Hazrat-Ibe-Abbas {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne Jibrail {Alaihi salam} se farmaya: jaisa ke ab aap hamari mulaqaat ko aaya karte hain, is se jiyada aap humse milne ke liye kyon nahi aaya karte? is par “Surah-Al-Maryam ki Aayat-No—64” nazil hui [ Hum begair tere Rab ke hukum ke utar nahi sakte, hamare aage piche aur inke darmiyaan ki sab chizein ussi ki malkiyat me hain, tera Parwardigaar bholne wala nahi ] ye Aayat Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke mutalbe ka jawaab tha jo apne Hazrat-Jibrail {Alaihi salam} se kiya tha.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 04, Book: 59 (Kitaab-ul-Bida-e-Khalaq), Hadees-no: 3218}
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 06, Book: 65 (Kitaab-ul-Tafseer), Hadees-no: 4731}
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 08, Book: 98 (Kitaab-ul-Tauheed), Hadees-no: 7455 }
{ Jamia-Tirmizi, Vol-no: 02, Book:(Kitaab- ul-Tafseer), Hadees-no: 1083}
{ Kayenaat (univers) Ke Nizaam Ko Chalane Wala Aur Kayenaat (univers) Ke Sare Kamo Ka Intejam Karne Wala Sirf Allah-Taala Hi Hai Isliye Zamane (waqt) Ko Bura Na Kaho}
Allah wo hai jisne Aasmano ko begair aise satono ke buland kiya jinhe tum dekh sako, phir arsh par jalwa afroz hua aur suraj aur chand ko kaam par laga diya, har chiz ek muyyan mudat tak ke liye harkat me hai, wahi dunya ke kamon ka intejam karta hai, (aur) apne nishanaat ko khol khol kar biyaan karta hai taake tum apne Rab se mulaqaat ka yaqeen karo.
{ Al-Quraan, Surah-No- 13, Surah-Ar-Ra’d, Aayat-No :03 }
Abu-Hurairah {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {Sallallahu Alaihi wasallam} ne farmaya Allah-Taala farmata hai ki insaan zamane (waqt ko) ko bura kahta hai jabki main hi zamana hu aur mere hi haath mein raat aur din hai.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 07, Book:78 (Kitaab-ul-Aadab), Hadees-no: 6181}
{ Zameen Aur Aasmano Ke Tamaam Khazano Ka Maalik Sirf Allah-Taala Hi Hai }
Aye nabi ! kah dijiye: main tumse nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, aur na main Gaib janta hu aur na main tumse ye khata hu ke main Farishta hu, main to issi chiz ki pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati hai, kah dijiye kya andha aur dekhne wala barabar ho sakte hain? phir kya tum gaur nahi karte?
{ Al-Quraan, Surah-No- 06, Surah-Al-An’am, Aayat-No : 50}
Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Allah ka hanth bhara hua hai, isse din raat ki bakhshish bhi kam nahi karti, apne farmaya kya tumhe maloom ke jab usne Aasmaan aur Zameen paida kiye hain isme kitna kharch kiya hai, phir bhi (Allah ke khazane) me kuch bhi kami nahi hui.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 08, Book: 98 (Kitaab-ul-Tauheed), Hadees-no: 4411}
{ Qayamat Ke Roz Shifarish Karne Ki Ejazat Dene Ya Na Dene, Shifarish Qabool Karne Ya Na Karne Ka Ikhtiyaar Sirf Allah-Taala Hi Ko Hoga }
Kya in logon ne Allah-Taala ke siwa auron ko Shifarish karne wala muqarar kar rakha hai, to kah de ke kya us sorat mein bhi jab ke wo kisi chiz ke malik nahi aur na hi koi Aaqal rakhte hain? kah de ke tamaam Shifarish ka mukhtaar Allah-Taala hi hai (jise chahe shifarish ki ejazat de jise chahe na de, jiski shifarish chahe qabool kare jiski chahe qabool na kare) Aasmaan aur zameen ki Badshahat ussi ki hai, phir ussi ki taraf tum sab (marne ke baad) lautaye jaoge.
{ Al-Quraan, Surah-No- 39, Surah-Al-Zumar, Aayat-No : 43,44}
Kaun hai jo iski janaab me iski ejazat ke begair sifarish kar sake,
{Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah-Al-Baqrah, Aayat-No : 255 }
Aur wo apne Hukumat me kisi (nabi ya wali ko) shareek nahi karta.
{ Al-Quraan, Surah-No- 18, Surah-Al-Khaf, Aayat-No : 26 }
Aur Allah jaisa chahta hai hukum karta hai koi iske hukum ko rad karne wala nahi.
{Al-Quraan, Surah-No- 13, Surah-Al-Ra’d, Aayat-No : 41 }
Anas {Radi-Allahu ‘anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Allah-Taala qayamat ke din ussi tarah jaise hum dunya me jama hote hain, momino ko jama karega (wo garmi wagairah se pareshan ho kar) kahenge kaash hum kisi ki Sifarish apne maalik ke pass lejate taake humein apni is halat se Aaram milta, chunacha sab mil kar Aadam {Alaihi salam} ke pass aayengey, inse kahenge Aadam ! aap logon ka haal nahi dekhte kis bala me giraftaar hain, apko Allah-Taala ne(khas) apne hanth se banaya aur Farishton se apko sajdah karaya aur har chiz ke naam apko batlaye ( har zubaan me bolna baat karna sikhaya) kuch Shifarish kijiye take humko is jagha se nijat ho kar aaram mile, Aadam {Alaihi salam} kahenge main is layaq nahi, unko wo gunah yaad aajayega jo unho ne kiya tha (mamno darakht me se khana) magar tum log aisa karo Nooh {Alaihi salam} ke pass jao wo pahle paigamber hain jinko Allah-Taala ne zameen walon ki taraf bheja tha, akhir wo log sab Nooh {Alaihi salam} ke pass ayenge, wo bhi yahi jawab denge, main us layeq nahi apni khata jo unho ne kiya (dunya) me ki thi yaad karengey, kahenge tumlog aisa karo ibrahim paigamber ke pass jao jo Allah ke khalil hain ( unke pass jayenge) wo bhi apni khatayen yaad kar ke kahengey main us layeq nahi tum Musaa paigamber ke pass jao Allah ne unko Tauraat enayat farmai, unse bool kar batein kiye, ye log Musaa {Alaihi salam} ke pass aayengey wo bhi yahi kahengey main us layeq nahi aur apni khata jo unho ne dunya me ki thi yaad karengey magar tum aisa karo Esaa paigamber ke pass jao wo Allah ke bandey, uske Rasool, uske khas kalimah aur khas rooh hain, ye log Esaa {Alaihi salam} ke pass ayengey wo kahenge main us layeq nahi tum aisa karo Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke pass jao wo Allah ke aise bandey hain jinki agli pichli khatayein sab bakhsh di gai hain, akhir sab log jama ho kar mere pass ayengey, main chalonga aur apne parwardigaar ki bargah mein hazir hone ki ejazat magonga, mujhe ejazat milegi, main apne parwardigaar ko dekhte hi sajde mein gir padhonga aur jab tak usko manzoor hai wo mujh ko sajde me hi rahne dega, uske baad hukum hoga “Mohammad” apna sar uthao aur arz karo tumhari arz soni jayegi, tumhari darkhwat manzoor hogi, yumhari Shifarish qabool hogi,us waqt main apne maalik ki aisi aisi tareefein karonga jo wo mujhko sikha chuka hai (ya sikhlayega) phir logon ki shifarish shuru kar donga, Shifarish ki ek had muqarar kar di jayegi, main unko Jannat me lejaonga, phir wapas aakar apne parwardigaar ke pass hazir honga aur usko dekhte hi sajde me gir padhonga jab tak parwardigaar chahega mujhko sajde mein pada rahne dega, uskey baad irshad hoga “Aye Mohammad” apna sar uthao jo tum kahoge suna jayega aur Shifarish karoge to qabool hogi phir main apne pawardigaar ki aisi tareefein karonga jo Allah ne mujhko sikhaya (ya sikhlayega) uske baad Shifarish karonga lekin shifarish ki ek had muqarar kar di jayegi, main unko jannat me lejaonga …..phir wapas aakar apne parwardigaar ke pass hazir honga aur usko dekhte hi sajde me gir padhonga jab tak parwardigaar chahega mujhko sajde mein pada rahne dega, uskey baad irshad hoga “Aye Mohammad” apna sar uthao jo tum kahoge suna jayega aur Shifarish karoge to qabool hogi phir main apne pawardigaar ki aisi tareefein karonga jo Allah ne mujhko sikhaya (ya sikhlayega) uske baad Shifarish karonga lekin shifarish ki ek had muqarar kar di jayegi, main unko jannat me lejaonga phir wapas apne parwardigaar ke pass hazir honga arz karonga ya paak parwardigaar ! ab dozakh mein aisey hi log rah gaye hain jo Quraan ke mutabiq hamesha hamesha Dozakh mein rahne wale hain (yani kafir aur Mushrik)
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 08, Book : 98 (Kitaab-ul-Tauheed), Hadees-no: 4410 }
Note:- Allah-Taala tamaam ikhtiyaar ka mutlaq maalik hai kisi ko maaf karne ya na karne, kisi ko Aazan-e-shifaat dene ya na dene, kisi ki sifarish qabool karne ya na karne ka tamaam tar Ikhtiyaar sirf aur sirf Allah-Taala ke pass hai, koi badi se badi mahboob hasti Allah-Azwajal ki pur-jalal Aadalat me apni marzi se sifarish karne ki himmat nahi kar sakegi na hi koi Wali-Allah zabardasti apni sifarish manwa sakega, na hi kisi badi se badi hasti ko Allah-Taala ki bargah me aisa andaaz kalaam ikhtiyar karne ki majaal hogi ke fala ummati ya murid ko zarur Jannat me le gaonga ya mera fala pyaara aur chahta Jannat me na gaya to main bhi nahi jaonga ya main apne fala daman girafta ka parwana bakhsh le kar hi rahunga ect, ( Aauzbillah)
{ Qayamat Ke Roz Jaza (Reward) Ya Saza (Punishment) Dene Ka Ikhtiyar Sirf Allah-Taala Hi Ko Hoga }
Allah ne unlogon ke Liye jinho ne kufr kiya Nooh {Alaihi salam} ki biwi aur Lot {Alaihi salam} ki biwi ki misaal biyaan ki hai, wo dono hamare 2 saleh bandon ke matihat thein, pas un dono ne unse khayanat ki to wo (Nooh Alaihi salam aur lot Alaihi salam ) unko Allah ki pakad se zara bhi bacha na sake aur kaha gaya ke tum dono dakhil hone walon ke sath Aag me dakhil ho jao.
{ Al-Quraan, Surah-No- 66, Surah- Al-Tahrim, Aayat-No : 10}
Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} par jab “Surah-Ash-Shu’ara ki Aayat-No 214” utri [ Apne Qareebi Rishtah Walon Ko Dara De ] to App ne farmaya: Aye Qureesh ke logon ! tum apne jaano ko Allah se mool lo ( neak Amaal ke badle) main Allah ke saamne tumhare kuch kaam nahi aasakta, Aye Abu-Mutalib ke beto ! main tumhare kuch kaam nahi aasakta Allah ke saamne, Aye Abbas bete Abu-Mutalib ke main tere kuch kaam nahi aasakta Allah ke saamne, Aye Sofiya phophi Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki main tumhare kuch kaam nahi aasakta Allah ke saamne, Aye Fatima beti Muhammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} ki tu mere maal me jo chahe maang le par Allah ke saamne main tere kuch kaam nahi aasakta.
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 01, Book: (Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no: 504 }
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 04, Book: 55 (Kitaab-ul-Wasaayaa), Hadees-no: 2753 }
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 06, Book: 65 (Kitaab-ul-Tafseer), Hadees-no: 4771}
{ Gunah Maaf Karne Ya Na Karne Ka Ikhtiyaar Sirf Allah-Taala hi Ko Hai }
( Aye Nabi sallallaahu Alaihe Wasallam! ) tum in (munafiqon) ke liye istagfaar kar ya na kar (ek hi baat hai), agar tu 70 martawa bhi inke liye istagfaar kare to bhi Allah-Taala inhe hargiz na bakhshega, isliye ke unho ne Allah-Taala se aur uske Rasool {sallallaahu Alaihe Wasallam} se kufr kiya hai, aisey fasiq logon ko Allah Kareem hidayat nahi deta.
{ Al-Quraan, Surah-No- 09, Surah- Al-Taubah, Aayat-No: 80 }
Hazrat-Umme-Al-‘Ala’, an Ansariya {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Allah ki Qasam main Allah ka Rasool hu aur iske bawajood mujhe maloom nahi ke (marne ke baad) mere sath kya mamla kiya jayega.
{Sahih-Bukhari, Vol-no: 08, Book: 92 (Kitaab-ul-Al-Tabeer), Hadees-no: 7018 }
{Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 23 (Kitaab-ul-Al-janayez), Hadees-no: 1243}
{ Elm-e-Ghaib (The Knowledge Of Unseen) Sirf Allah-Taala Hi Ko Hai }
Kah dijiye ke Asmaano walon me se Zameen walon me se siwaye Allah ke koi Ghaib nahi janta inhe to ye bhi nahi maloom ke kab utha khada kiye jayenge?
{ Al-Quraan, Surah-No- 27, Surah– Al-Namal, Aayat-No : 65}
Beshak qayamat ka Elm Allah hi ke pass hai aur wahi Barish nazil karta hai aur wahi janta hai jo Maaon (Mothers) ke peton me hai aur koi shaks nahi janta ke wo kal kya kaam karega aur koi shaks nahi janta ke wo kis zameen par marega Beshak Allah khoob janne wala khoob bakhabar hai,
{ Al-Quraan, Surah-No- 31, Surah- Al-Luqman, Aayat-No : 34}
Aap farma dijiye ke main khud apni zaat khas ke liye kisi nafaa ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kisi nuksaan ka magar itna hi ke jitna ALLAH ne chaha ho, Aur agar main “Ghaib” ki bate janta hota to main bahut se nafaa hansil kar leta aur koi nuksaan mujhko na pahunchta main to sirf darane wala aur basharat dene wala hu in logon ko jo Emaan rakhte hain.
{ Al-Quraan, Surah-No- 07, Surah– Al-Aaraaf, Aayat-No : 188}
Main tumse nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, [ suno ! ] main Ghaib ka Elm bhi nahi rakhta, na main ye kahta hu ke main koi Farishta hu, na mera ye qauool hai ke jin par tumhari nigahe zillat se pad rahi hain, inhe Allah-Taala koi niyamat dega hi nahi, inke dil me jo hai isse Allah hi khoob janta hai, agar main aisi baat kahu to yaqinan mera sumaar zalimo me ho jayega.
{ Al-Quraan, Surah-No- 11, Surah-Al-Hud, Aayat-No : 31}
Aye Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} log apse Qayamat ke bare me sawal kaete hain ke iske aane ka waqt kaun sa hai? Kah dijiye: iska Elm to mere Rab hi ke pass hai wahi isse iske waqt par zhahir karega, Wo Aasman aur Zameen me bhari hadsah hogi-wo Qayamat tumhare pass achanak hi aayegi, wo log apse sawal karte hain Jaise aap iske waqt se Bakhubi waqif hain, Kah dijiye iska Elm to sirf Allah ke pass hai lekin aksar log nahi jante.
{ Al-Quraan, Surah-No- 07, Surah– Al-Aaraaf, Aayat-No : 187}
Aye nabi ! kah dijiye: main tumse nahi kahta ke mere pass Allah ke khazane hain, aur na main Ghaib janta hu aur na main tumse ye khata hu ke main Farishta hu, main to issi chiz ki pairwe karta hu jo meri taraf Wahee ki jati hai, kah dijiye kya bina aur nabina(blind & blindless) barabar ho sakte hain phir kya tum gaur nahi karte?
{ Al-Quraan, Surah-No- 06, Surah– Al-Anaam, Aayat-No : 50}
Aur ussi ke pass Ghaib ki kunjiya hai, inhe iske siwa koi nahi janta aur wo janta hai jo kuch khushki aur tari me hai aur koi patta nahi girta jise wo janta na ho aur zameen ke andhero me koi dana aisa nahi photta jise wo janta na ho aur koi tar chiz aur koi khushk chiz aisi nahi jo wazha kitaab me likhi hui na ho.
{ Al-Quraan, Surah-No- 06, Surah– Al-Anaam, Aayat-No : 59}
Ye khabre Ghaib ki khabron me se hain, jin ki Wahee hum apki taraf karte hain, inhe inse pahle aap jante the na apki Qauoom, isliye aap sabar karte rahe [ yaqin mane ] ke anjaamkaar parhezgaron ke liye hai,
{Al-Quraan, Surah-No- 11, Surah-Al-Hud, Aayat-No : 49}
ye Ghaib ki khabro me se hai jise hum teri taraf Wahee se pahunchate hain, tu inke pass na tha jab ke wo apne Qalam dal rahe the ke Maryam ko inme se kaun palega? aur na to inke jhagde ke waqt inke pass tha.
{ Al-Quraan, Surah-No- 03, Surah- Ale-Imraan, Aayat-No : 44}
ye Gaib ki khabron me se hai, jiski hum apki taraf Wahee kar rahe hain, aap inke pass na the jab ke unhon ne apni baat than li thi aur wo faryeb karne lage the.
{ Al-Quraan, Surah-No- 12, Surah-Yousuf, Aayat-No : 102 }
Kah dijiye ke bahut badi khabar hai. Jis se tum be parwah ho rahe ho. mujhe in buland qadar Farishton ki [ baat chit ka ] koi Elm hi nahi jabke wo takrar kar rahe the. Meri taraf faqat yahi Wahee ki jati hai ke main saaf saaf aagah kar dene wala hu.
{ Al-Quraan, Surah-No- 38, Surah-Saad, Aayat-No : 67,68,69,70}
Aur wo wqat bhi qabil-e-zikr hai, jab ke Allah farmayega ke aye Esaa-ibne-Maryam! kya tune in logon se kah diya tha ke mujhko aur meri Maa ko bhi elawa Allah ke mabood qarar de lo! Esaa(a.s) arz karenge main tujhko manzah samjhta hu, mujhko kisi tarah zeba na tha ke main aisi baat karta jiska kahne ka mujhko koi haq nahi, agar maine kaha hoga to tujhko iska Elm hoga- tu to mere Dil ke under ki baat bhi janta hai aur main tere Nafs me jo kuch hai isko nahi janta tamam Gaibon ka janne wala tu hi hai. main to inse aur kuch nahi kaha magar sirf wahi jo tune mujhe kahne ko farmaya tha ke tum Allah ki bandagi ikhtiyaar karo jo mera bhi Rab hai aur tumhara bhi Rab hai, main in par gawah raha jab tak inme raha- phir jab tune mujhko utha liya to tu hi in par matloo raha aur tu har chiz ki puri khabar rakhta hai. agar tu inko saza de to ye tere bande hain aur agar inko maaf farma de to tu zabardast hikmat wala hai.
{ Surah-Al-Mayedah, Aayat- no—116,117,11 8 }
Aisha {Radi Allahu ‘Anha} ne bayan kiya ke agar tum se koi ye kehta hai Mohammed {sallallaahu Alaihe Wasallam} Elim-e-gaib (Knowledge Of Unseen) jante the to galat kehta hai (jhoota hai) kyon ki Allah-Taala khud kehta hai ke Gaib ka ilm Allah ke siva aur kisi ko nahin.
{ Sahih-Bukhari, Vol No:- 08, Book: 98 (Kitaab-ul-Tauheed) Hadees No:- 7380 }
{ Sahih-Bukhari, Vol No:- 06, Book: 65 (Kitaab-ul-Tafseer) Hadees No:- 4855}
{Sahih-Muslim, Vol-no: 01, Book: 01(Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no:- 439}
{Jamia -Tirmizi, Vol-no:0 2, Book:(Kitaab-ul-Tafseer), Hadees-no: 1202}
Hazrat-Abdullah-Bin-Umar {Radi Allahu ‘Anhu} biyan kiya hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: Gaib ki 5 (five) kunjiyan(keys) hain jinhe Allah ke siwa koi nahi janta- Allah ke siwa koi nahi janta ke Madar-e-Raham me kiya hai(yani Ladka hai ya Ladki, Gura hoga ya Kala, Neak hoga ya Bad), Allah ke siwa koi nahi janta ke Kal kya hoga, Allah ke siwa koi nahi janta ke Barish kab hogi, Allah ke siwa koi nahi janta ke kis jagha koi Marega(yani death karega), Allah ke siwa koi nahi janta ke Qayamat kab qayam hogi.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 8, Book: 98(Kitaab-Ul-Tauheed), Hadees-no: 7379 }
{Sahih-Bukhari, Vol-no: 6, Book: 65(Kitaab-Ul-Tafseer), Hadees-no: 4627,4778}
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 2, Book: 15(Kitaab-Ul-Istasqah), Hadees-no: 1039 }
{ Jamia -Tirmizi, Vol-no: 2, Book:(Kitaab- ul-Tafseer), Hadees-no: 1202 }
Hazrat-Abu-Huraira {Radi Allahu ‘Anhu} se riwayat hai ke ek din Mohammad {sallallaahu Alaihe Wasallam} logon me tasreef farmaye hue the, ke apke pass ek shakhs aaya isne pucha Qayamat kab aaye gi? Aap {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya: ke iske bare me jawab dene wala puchne wale se kuch ziyada nahi janta.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 01, Book: 02(Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no: 50 }
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 06, Book: 65(Kitaab-ul-Tafseer), Hadees-no: 4777}
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 01, Book: 02(Kitaab-ul-Emaan), Hadees-no: 99 }
Hazrat-Umme-Al-‘Ala’, an Ansariya {Radi Allahu ‘Anha} se rivayat hai Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya Allah ki Qasam main Allah ka Rasool hu aur iske bawajood mujhe maloom nahi ke (marne ke baad) mere sath kya mamla kiya jayega.
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 08, Book: 92 (Kitaab-ul-Al-Tabeer), Hadees-no: 7018 }
{ Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 23 (Kitaab-ul-Al-janayez), Hadees-no: 1243 }
Note:- Beshaq Hamara Emaan hai ki Allah-Taala hi ko Ghaib ka Elm hai wohi Aalimul Ghaib hai , uskey siwa Ghaib ka Elm koi nahi janta lekin hamara is par bhi Emaan hai ki Allah ne wahi ke jariye Rasoollallah {Sallalllahu alaihi wasallam} ko Ghaib ki kuch bate bata diya tha aur iska subut Quran se milta hai, aur hamara emaan ye bhi hai ki Nabi {sallallaahu Alaihe Wasallam} ko jitna Allah ne wahi ke zarya bataya utna hi maloom hai us se jiyada nahi, Allah ke pass sabse ziyada Ghaib ka Elm hai, wohi Aalimul Ghaib hai, us sey badkar ya uskey barabar koi nahi, magar Allah ne Huzur {Sallallahu Alalihi wasallam} ko wahi ke jariye kuch Ghaib ki bate bata diya tha aur aisa Elm diya tha jaisa kisi makhluq ko nahi mila.
Allah ko har baat ka sabse ziyada Elm hai
{ Har Waqt Har Jagha Bandon Ki Dua Sunne Wala Sirf Allah-Taala Hi Hai, Har jagha Hazir Nazir (Apni Qudrat Aur Elm Ke Sath) Sirf Allah-Taala Hi Hai }
Aur jahan kahi tum ho wo (yani Allah apne Elm se) tumhare sath hai aur jo kuch tum kar rahe ho Allah dekh raha hai.
{ Al-Quraan, Surah-No- 57, Surah-Al-Hadid, Aayat-No : 04 }
( Aye Nabi sallallaahu Alaihe Wasallam! ) jab mere bandey mere bare me sawaal kare to aap kah dijiye ke main bahut qareeb hu, har pukarne wale ki pukaar ko jab kabhi wo mujhe pukare’ qabool karta hu, isliye logon ko bhi chahiye ke wo meri baat maan liya kare aur mujhe par Emaan rakhe’ yahi inki bhalai ka zarya hai.
{ Al-Quraan, Surah-No- 02, Surah- Al-Baqarah, Aayat-No : 186 }
Abu Musa {Radi Allahu ‘Anhu} se rivayat hai hum Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ke sath the ek safar mein log pukaar kar (buland aawaz se) takbir (Allahu-Akbar) kahne lage Aap ne farmaya aye logon! narmi karo apni jaano par (yani Aahistah se zikr karo) kyon ke tum kisi bahre (deaf) ya Ghaib (absent) ko nahi pukaar rahe ho balke usey pukaar rahe ho jo (har jagha se) sunta hai (har waqt apne Elm aur Qudrat ke sabab) tumhare sath hai.
{ Sahih-Muslim, Vol-no: 06, Hadees-no : 6862 }

 

Tauheed Feeh Sifaat [Oneness Of The Name And Attributes Of Allah] Books 

https://www.scribd.com/doc/300322301/Tow-Heed

 

♻Join Our Page’s Our website’s Our Channel And Whatsapp Grop’s

👉For Latest Updates New Upload Videos , Articles , Islamic Urdu scholars Latest Audios And Jummah Khutbah’s

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

📲Subscribe Our Channel 📺
https://m.youtube.com/channel/UCikwYwA2d-IBLSDwasXfiug

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://m.facebook.com/Darulhudaaigc/

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358/DaRuLHuDa-AiGc

✏https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Leave a comment