Kya Nabi ﷺ Ku Ilm E Gaib Tha ?

Kya Nabi ﷺ Ku Ilm E Gaib Tha ? 

000-copy

Nabi sallallahu Alaihi wasallam Ilm e Ghaib Nahi , Siwaye jo Allah Bataye , Daleel , 

Quran Say Daleel

1- Kahdo Nabi saw ke main tumse ye nahi kahta ke mere pass Allah ka khazane hain or na ye ke main Ghaib jaanta hun , or na tumse ye kahta hunke main farishta hun , main to sirf us hukm par chalta hun jo mujhe Allah ki taraf se ata hai , kahdo ke bhala andha or aankh wala barabar hote hain ? , to phir tum ghaur kyon nahi karte ?

, Surah 6 al-An’am , Aayat no 50 ,

2- Kahdo Nabi saw ke main apne fayede or nuqsan ka kuch bhi akhtiyar nahi rakhta magar jo Allah chahe , or agar main Ghaib ki baatein jaanta hota to bohat se fayede jama kar leta or mujh ko koi taklif na pahonchti , main to momino ko dar or khushkhabri sunane wala hun

, Surah 7 al-A’raf , Aayat no 188 ,

3-Main na tumse yeh kahta hun ke mere paas Allah ke khazane hain or na yeh kahta hun main Ghaib jaanta hun or na yeh kahta hun ke main farishta hun

, Surah 11 Hood , Aayat no 31 ,

4-Yeh log Aap se Qiyamat ke bare mein poochhte hain ke uske waqey hone ka waqt kab hai , kahdo ke iska Ilm to mere Rab hi ko hai wahi use uske waqt par zahir kardega , woh aasman or zameen mein ek bhari waqt hogi,or magahan tum par aajayegi , yeh Aap se is tarha daryaf karte hain ke goya Aap usse bakhoobwaqif ho , kaho ke iska Ilm to Allah hiko hai lekin aksar log ye nahi jaante

, Surah 7 al-A’raf , Aayat no 187 ,

5- Kahdo Nabi saw ke main koi naya Rasool saw nahi aaya , or main nahi jaanta ke mere saath kya sulook kiya jayega main to usi ki pairvi karta hunjo mujh par vahy aati hai or mera kaam to alaania hidayat karna hai

, Surah 46 al-Ahqaf , Aayat no 9 ,

6-Jo kuch unke aage hai or jo kuch unke peeche hai Allah usko jaanta haior woh log apne ilm se Allah ke Ilm par ahata nahi kar sakte

, Surah 20 Ta’ha , Aayat no 110 ,

7- Kahdo Nabi saw ke mere Rab uper se haq utaarta hai or Allah Ghaib ki baaton ko jaanne wala hai

Surah 31 Saba , Aayat no 48 ,

8-Yeh halat minjumla Ghaib ki khabron ke hain jo hum tumhari taraf bhejte hain or isse pehle um Aaphi unko jaante thay or na Aap ki qaum hi usse waqif thi to sabr karo ke anjam perhezgaaron hi ka bhala hai

, Surah 11 Hood , Aayat no 49 ,

9-Aye Nabi saw hum is Quran ke zariye se jo humne Aap ki taraf bheja hai Aap ko ek nihayat achchha qissa sunate hain or Aap isse pahle bekhabar thay

, Surah 12 Yusuf , Aayat no 3 ,

10-Aye Nabi saw yeh akhbaar Ghaib mein se hain jo hum Aap ki taraf bhejte hain , or jab biradran e yusuf ne apni baat par ittifaq kiya tha or woh fareb kar rahe thay to Aap unke paas na thay

, Surah 12 Yusuf , Aayat no 102 ,

11- Aur jab humne Musa as ki taraf hukm bheja to Aap saw toor ki Gharub ki taraf nahi thay or na is waqiye ke dekhne walo mein thay

Surah 28 al-Qasas , Aayat no 44 ,

13-Aur na Aap us waqt jab ke Humne Musa as ko aawaz di toor ke kinare thay , balke Aap ka bheja jana Aap ke Rab ki rahmat hai taake Aap un logonko jinke paas Aap se pehle koi hidayat karne wala nahi aaye hidayatkaro taake nasihat pakden

, Surah 28 al-Qasas , Aayat no 46 ,

14-Kahdo Nabi saw ke jo log aasmano or zameen mein hain Allah ke siwa Ghaib ki baatein nahi jaante or na yeh jaante hain ke kab zinda karke uthaye jayenge

, Surah 27 an-Naml , Aayat no 65 ,

15-Aur kahte hain ke us par uske Rab ki taraf se koi nishani kyon nazil nahi hui ? Khado Nabi saw ke Ghaib ka Ilmto Sirf Allah hi ko hai so tum intezar karo main bhi tumhare saath intezar karta hun   , Surah 10 Yunus , Aayat no 20 ,

16-Aur Aap saw ke irdh gird ke baz dehati munafiq hain or baz madine wale bhi nifaaq mein ade hue hain Aap unhe nahi jaante hum jaante hain , Hum unko dohra azaab denge , phir woh bade azaab ki taraf lautaye jayenge

, Surah 9 at-Tauba , Aayat no 101 ,

17-Aur Allah ne Aap saw se pahle bohat se Rasool bheje , unme kuch to aise hain jinke haalaat Aap se bayan kar diya gaya hain or kuch aise hain jinke haalaat bayaan nahi kiye, or kisiRasool ka muqaddar na tha ke Allah ke hukm ke baghair koi nishani laye , phir jab Allah ka hukm aa pahoncha to insaaf ke saat faisla kar diya gaya , or ahle baatil nuqsan mein pad gaye

, Surah 40 al-Mu’min , Aayat no 78 ,

18-Aur bohat se Rasool hain jinke halaat Hum Aap saw se peshtar bayan kar chuke hain or bohat se Rasool hain jinke halaat Aap saw se bayaan nahi kiya , or Musa as se to Allah baatein bhi kien

, Surah 4 an-Nisaa , Aayat no 164 ,

19- Woh din yaad rakhne ke layaq haijis din Allah Rasoolon ko jama karega phir unse poochhega ke Aap logo ko kya jawab mila tha woh arz karenge ke hame kuch maloom nahi , tu hi Ghaib ki baaton se waqif hai

, Surah 5 al-Ma’idah , Aayat no 109 ,

20- Bhala jis waqt yaqoob wafat paane lage to Aap saw us waqt mojood na thay , jab unhone agne beton se poochha ke mere baad tum kis ki Ibaadat karoge, tn unhone kaha ke aapke mabood or aapkd baap dada Ibrahim or Ismail or Ishaq ke mabood ki Ibaadat karenge jo mabood yakta hai or hum usi ke hukm bardar hain

, Surah 2 al-Baqarah , Aayat no 133 ,

21-Aur Allah ke pass Ghaib ki kunjiya hain jinko Allah ke siwa koi nahi jaanta or Allah ko jangalon or daryaon ki sab chizon ka Ilm hai or koi patta nahi jhadta magar Allah usko jaanta hai or zameen ke andheron mein koi dana or koi hari ya sookhi chiz nahi hai magar kitab roshan mein likhi hui hai

Surah 6 al-An’am , Aayat no 59 ,

 

22-To Allah jo sachcha badshah hai aali qadr hai or Quran ki vahy jo Aap ki taraf bheji jati hai uske poora honese pahle Quran ko padhne ke liye jaldina kiya karo or Du’a karo ke mere Rab mujhe or zyada Ilm de

, Surah 20 Ta’ha , Aayat no 114 ,

23-Syedha Aaisha RaziallahuAnha fermatin hain jo shakhs ye gumaan rakhta hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam kal ko pesh aaney waaley halaat ka Ilm rakhtey hain, is ne Allahper bohat bara Bohtaan baandha,kyon ke Irshaad Baari Ta’la hai:”Kahdo Nabi saw ko jo log Aasmano aur Zameen main hain Allahke siwa Ghaib baatein nahi jaante or na yeh jaante hai ke kab zinda karke uthaye jayenge ,

Surah 27 an-Naml , Aayat 65 , Muslim , Hadess no 177 ,

Kya Nabi ﷺ Ku Ilm E Gaib Tha ?   Sahi Hadith’s Li Roshni Main 

Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ka aasmaanoon per tashreef lai jaana aur Jibreal (‘alaihi ssalaam) se baar baar pochna yeh koon hein. paanch dafa poocha yeh koon hein. phir mujhay Jibreal (‘alaihi ssalaam) sidra-tul-muntahaa tak lai gayay jis k rangon ka mujhay ilm nahin k kaisay hein.
[Sahih Bukhari, Kitaab As-Salaah, Hadith#349’4233 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#163]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaaya: “mein nay khuwaab mein daikha k aik aadmi bait-ullah ka tawaaf ker raha hai. maine poocha yeh koon buzurg hein to farishtoon nay bataaya k yeh Maseeh ibn Maryam (‘alaiha ssalaam) hein phir meine aik shakhs ko tawaaf kertay daikha maine poocha yeh koon hein? farishtoon nay bataaya yeh dajjaal hai.”
[Sahih Bukhari, Hadith#6999 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Ul-Emaan, Hadith#169]

— Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) nay farmaya k jo shakhs bhi tum se yeh 3 baatein bayan karay wo jhoota hai k:1. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay apnay Rab ko daikha2. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) aanay waalay kal ki bat jaantay hein aur3. jo kahay k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay tabligh-e-deen mein koi baat chupaee thi.
[Sahih Bukhari, Kitaab Al-Tafseer (Surah wa-Najam), Hadith#4855 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Al-Emaan, Hadith#177]

fatah makkah k moq’ay per Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki khidmat mein Hazrat Umm-u-Haani (may Allah be please with her) hazir huein. wo bayan kerti hein k Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ghusl ker rahay thay aur aap ki baiti Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) parda kiay huay thein, maine Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko salaam kia. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay poocha koon hai? maine bataya k mein Umm-u-Haani hoon.
[Sahih Bukhari, Kitab Al-Ghusl, Hadith#280]

— aik safar mein Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) ka haar gum ho gayay. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) aur loog Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k saath thaher gayay. Hazrat A’isha (may Allah be please with her) k walid-majid bohat khafa huay, baad mein uss oont ko khara kia gaya jis per Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) sawaar thein to haar usi k neechay se mil gaya.
[Sahih Bukhari, Hadith#334’3672 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Hadith#367]

Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k marz-ul-wafaat mein jab aap ka marz berh gayay to aap baar baar bay-hoosh huay, jab hoosh aata to farmatay kia logoon nay namaaz perh li hai? arz kia jaata nahein, loog Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ka intizaar ker rahay hein. aisa 3 baar hua.
[Sahih Bukari, Kitaab Ul-Azaan, Hadith#687 ‘ Sahih Muslim, Kitaab Us-Salaah, Hadith#418]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay 40 ya 70 quran k aalim sahaba ki aik jamat mushrikeen k paas bhaiji thi, unhoon nay un ko shaheed ker daala. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) bohat ranjeeda aur ghamgeen huay.
[Sahih Bukhari, Kitaab Ul-Witr, Hadith#1001’1300]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) soyay rahay, Hazrat Abu Bakar (may Allah be please with him), Hazrat Umar (may Allah be pleased with him) bhi soyay rahay, sooraj poori tarha nikal aaya aur subh ki namaaz waqt per na perh sakay.
[Sahih Bukhari, Hadith#595 ‘ Sahih Muslim, Hadith#680’681]

— Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) farmati hein k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) mairay paas ayay. us waqt aik aurat mairay paas baithi thi. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay yeh daryaaft farmaya: “yeh koon hai?” maine arz kia falaa_n aurat hai.
[Bukhari: 1151]

Hazrat A’shia (may Allah be pleased with her) nay bayan kia k jab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) badal ka koi aisa tukra daikhtay jis se barish ki umeed hoti to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k chehra-e-mubarak ka rang badal jata aur farmaatay mein nahein jaanta mumkin hai yeh badal bhi waisa hi ho jis k baaray mein qoom-e-‘aad ne kaha tha k yah badal hum per barasnay wala hai, halaankay us mein dard-naak azaab tha.
[Bukhari: 3206]

— aik dafa sooraj-girehen hua to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) bohat ghabraa ker uthay, iss dar se k kahein qayamat na qaim ho jayay.
[Bukhari: 1059 ‘ Muslim: 912]

— jab Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki baiti Hazrat Zainab (may Allah be pleased with her) ki wafaat hue to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) tashreef layay aur farmaya: “ghusl se farigh honay per mujhay khabar daina.” phir ghusl se farigh honay k baad Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko khabar di gae.
[Bukhari: 1254’1258 ‘ Muslim:939]

— aik sahabi ya sahabiah faut ho gae laikin Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ko uss ki wafaat ki khabar kisi nay na di. aik din Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay khud yaad farmaya k wo shakhs dikhae nahein daita. sahaba (may Allah be pleased with them all) nay kaha uss ka to intiqaal ho gaya. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “phir tum nay mujhay khabar kiun na di, chalo mujhay uss ki qabar bata do.”
[Bukhari: 458 ‘ Muslim: 956]

— Hazrat AbuZar Ghaffari (may Allah be pleased with him) nay daikha Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) raat ko akailay chal rahay thay, Hazrat AbuZar (may Allah be pleased with him) Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) k peechay chalnay lagay. uss k baad Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) muray, AbuZar (may Allah be pleased with him) ko daikha aur daryaft farmaya: “koon hai?” janab AbuZar (may Allah be pleased with him) nay arz kia AbuZar.
[Bukhari: 6443]

— 2 auratein Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) k darwazay per ayein, un k saamnay se Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) guzray. unhoon ne Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) se kaha humaray liay yeh masala Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) se poochein aur humara naam na laina. Hazrat Bilal (may Allah be pleased with him) andar gayay aur Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) se arz kia k 2 auratein yeh masala daryaft kerti hein. to Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “yeh donoo koon hein?” Bilal (may Allah be pleased with him) nay arz kia Zainab naam ki hein. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “koon si zainab?”.
[Bukhari: 1466 ‘ Muslim: 1000]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “mein apnay ghar jata hoon, wahaan mujhay mairay bistar per khajoor pari hue milti hai, mein usay khaanay k liay utha laita hoon laikin phir yeh dar hota hai k kahein yeh sadqa ki khajoor na ho to mein usay phaink daita hoon.”
[Bukhari: 2432 ‘ Muslim: 1070]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) ki khidmat mein koi khaanay ki cheez layee jaati to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) daryaft farmatay yeh tuhfa hai ya sadqa. agar kaha jata k sadqa hai to Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) apnay ashaab se farmatay k khaoo.
[Bukhari: 2576 ‘ Muslim:1077]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya: “mujhay laila-tul-qadr dikhae gae laikin phir bhulwa di gae.”
[Bukhari: 2016 ‘ Muslim: 1167]

— hajj k moq’ay per Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) makkah mein Hazrat A’isha (may Allah be pleased with her) j yahaan tashreef layay, wo ro rahi thein. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay daryaft farmaya k kiun ro rahi ho? maine arz kia Allah ki qasam! meine iss saal hajj nahein kia. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay poocha shayad k to haiza ho gae hai? maine kaha haan!.
[Bukhari: 305]

— hajj k moq’ay per Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay sahaba ikraam (may Allah be pleased with them all) se farmaya: “tum halaal ho jao, agar mujhay wo baat pehlay maloom ho jati jo baad mein maloom hue to mein qurbani ka janwar saath na lata.” [Bukhari: 1568 ‘ Muslim: 1216]

— fatah makkah k din aik shakhs ne aa ker khabar di k ibn Khattal ghalaaf-e-kaaba k pardoon se latak raha hai. Aap (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay farmaya k ussay qatal ker do.
[Bukhari: 3044 ‘ Muslim: 1357]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihe wasallam) nay Hazrat Abd-ul-Rahman bin ‘Ouf per zardi ka nishaan daikha to poocha ye kiya hai? unhon nay arz kia k maine nikah kia hai.
[Bukhari: 5155 ‘ Muslim: 1426]

— Ghazwa-e-Khaibar k waqt Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas Hazrat Dihya (may Allah be pleased with him) aayay aur arz ki k mujhay koi baandi inaayat kijeyay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya jao baandi lay lo. Unhon nay safiya bint-e-huyayye ko lay liya. Phir aik shakhs Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur arz ki k aay Allah k Rasool! Safiya to sardaar ki baiti hai, unhein Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Dihya (may Allah be pleased with him) ko day diya, wo to sirf aap hi k liay munaasib thein. Iss per Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya k Dihya ko safiya k saath bulao. Wo laayay gayay, jab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay unhein daikha to farmaaya k qaidyon mein say koi aur baandi lay lo. Phir Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Hazrat Safiya (may Allah be pleased with her) ko azaad ker diya aur unhein apnay nikah mein lay lia.
[Bukhari: 371 ‘ Muslim:1365]

— Sahaaba Ikraam (may Allah be pleased with them all) nay qaidi auraton say ‘azl kia phir unhon nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say iss ka hukam poocha to Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “kiya tum waqa’e aisa kertay ho?” teen martaba ye farmaaya.
[Bukhari: 5210 ‘ Muslim: 1438]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) k ghar tashreef laayay to wahan aik sahib baithay huay thay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya Aisha! Ye koon hai? mein nay arz kia ye maira razae bhai hai.
[Bukhari: 2647 ‘ Muslim: 1455]

— Hazrat Jabir bin Abdullaah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein nay shaadi ki to Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay mujh say daryaaft farmaaya k kis say shaadi ki hai? mein nay arz kia aik baiwa aurat say. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya kanwaari say kiun na ki? Mein nay arz kia mairay waalid shaheed ho gayay aur unhon nay kae larkian choori hein, iss liay maine ye pasand nahein kia k un k paas unhi jaisi larki biyah laoon, iss liay mein nay aik aisi aurat say shaadi ki hai jo un ki daikh-bhaal ker sakay.
[Bukhari: 2097 ‘ Muslim]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k saamnay aik sahaabi nay shikaayat ki k uss nay apni beewi ko aik ghair mard k saath tanhai mein paaya aur Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say arz kia k iss muamlay ka faisla farma dein. Phir Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay dua ki k aay Allah! Iss muamlay ko saaf ker day chunaachay uss aurat nay bacha ussi mard ki shakal ka jna jis k mutalliq shoohar nay dawa kia tha k ussay unhon nay apni beewi k saath paaya tha. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay miyaan-beewi k darmian la’an karaaya.
[Bukhari: 5316 ‘ Muslim: 1497]

— Hazrat Jabir bin Abdullah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein aik martaba bemaar para, Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) aur Abu Bakr (may Allah be pleased with him) paidal mairi ‘ayaadat ko tashreef laayay. Mein nay arz kia aay Allah k Rasool! Mein apnay maal mein kiya karon, kis tarha iss ka faisla karon? Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay mujhay koi jawab na diya, yahan tak k meeraas ki ayat nazil hue.
[Bukhari: 4577 ‘ Muslim: 1616]

— Hazrat Nauman bin Basheer (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k un k waalid unhein Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein laayay aur arz kia k mein nay apnay iss baitay ko aik ghulam batoor-e-hiba diya hai. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya kiya aisa hi ghulam doosray larkon ko bhi diya hai. unhon nay jawab diya k nahein to Aap nay farmaaya phir wapis lay lay.
[Bukhari: 2586 ‘ Muslim: 1623]

— Aik qabeelay k 8 afraad Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas aayay aur aap say islam per bai’t ki, wo bemaar per gayay to aap nay un say kaha humaaray charwaahay k saath uunton mein chalay jao, uunton ka doodh aur paishaab piyo. Wo gayay, uunton ka doodh aur paishaab piya aur sehat-mand ho gayay. Phir unhon nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k charwaahay ko qatal ker diya aur jaanwar bhaga ker lay gayay. Iss ki itlaa’ tab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko pohanchi to aap nay un ki talaash mein aadmi bhaijay, wo pakray gayay aur laayay gayay. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay un ko saza di.
[Bukhari: 3018 ‘ Muslim: 1671]

— Jang-e-Badar k din 2 larkon nay apni talwaarein sanbhaalein aur abu-jahl per jhapat paray aur hamla ker k uss ko qatal ker daala. Iss k baad Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir ho ker Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam_ ko khabar di. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay poocha k tum donon mein say kis nay usay maara? Donon nojawaanon nay kaha k maine qatal kia hai to Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay un say poocha kiya tum nay apni talwaarein saaf ker li hein. unhon nay arz kiya k nahein, phir Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay donon talwaaron ko daikha aur farmaaya k tum donon hi nay usay maara hai.
[Bukhari: 3141 ‘ Muslim:1752]

— Jab Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ghazwa-e-khandaq say wapis huay aur hathyaar rakh ker ghusl kia to Jibreel (‘alaihissalaam) Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas aayay aur wo apnay sar say ghubaar jhaar rahay thay. unhon nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say kaha Aap nay hathyaar rakh diyay, Allah ki qasam! Abhi maine hathyaar nahein utaaray, aap ko un per fooj-kashi kerni hai. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya k kin per? To unhon nay banu-quraizah ki taraf ishaara kia.
[Bukhari: 4117 ‘ Muslim: 1769]

— Jang-e-Badar k din Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya koon daikh ker aayay ga k Abu-Jahl ka kiya hue hai? Hazrat Ibn-e-Mas’ood (may Allah be pleased with him) ma’loom kernay gayay to daikha k ‘Afraa k donon larkon nay usay qatal ker diya tha aur uss ka jism thanda para hai.
[Bukhari: 3962 ‘ Muslim: 1800]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Maimoonah (may Allah be pleased with her) k ghar mein daakhil huay, unhon nay bhuna hua saandha aap ki khidmat mein paish kiya, aisa bohat kam hota tha k aap kisi khaanay k liay uss waqt tak haath berhaaein jab-tak aap ko uss k mutalliq bata na diya jaayay k falaan khaana hai laikin uss din aap nay bhunay huay saandhay k goosht ki taraf haath berhaaya. Itnay mein wahan mojood auraton mein say aik aurat nay kaha k Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko bata kiun nahein daitein k iss waqt aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k saamnay jo tum nay paish kia hai wo saandha hai. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay apna haath saandhay say hata lia. Khalid bin Waleed (may Allah be pleased with him) boolay aay Allah k Rasool! Kiya saandha haraam hai? aap nay farmaaya: “nahein.”
[Bukhari: 5537 ‘ Muslim: 1946]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein aik sahib bhookay haazir huay, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay unhein Azwaaj-e-Mutahharaat k haa_n bhaija (ta-k un ko khaana khila dein) Azwaaj-e-Mutahharaat nay kehla bhaija k humaaray paas paani k siwa kuch nahein hai. iss per Rasool Allah (sallallah ‘alaihi wasallam) nay farmaaya k koon in ki mehmaan-nawaazi karay ga? Aik ansaari sahaabi boolay k mein karon ga.
[Bukhari: 4889’3798 ‘ Muslim: 2054]

— Hazrat Abu Talha (may Allah be pleased with him) Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir huay aur Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko waqi’a ki itlaa’ di. Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Hazrat Abu Talha (may Allah be pleased with him) say daryaaft farmaaya: “tum nay raat ham-bistari bhi ki thi?” unhon nay arz kia je haan! Phir aap nay dua ki to Abu Talha (may Allah be pleased with him) k haa_n bacha paida hua, usay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein laaya gaya. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay bachay ko lia aur daryaaft farmaaya: “iss k saath koi cheez bhi hai?” kaha gaya haan khajoorein hein.
[Bukhari: 5470 ‘ Muslim: 2144]

— Hazrat Jabir (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein haazir hua. Mein nay darwaaza khatkhataaya. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “koon hai?” mein nay kaha mein. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “mein,mein” jaisay aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay iss ko na-pasand farmaaya.
[Bukhari: 6250 ‘ Muslim: 2155]

— Aik aadmi Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k darwaazay k sooraakh say andar jhaanknay laga, uss waqt aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas loohay ka kanghaa tha, jis say aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) sar jhaar rahay thay. jab Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay usay daikha to farmaaya: “agar mujhay maloom hota k tum (jhaanktay huay) maira intizaar ker rahay ho to mein usay tumhaari aankh mein chubho daita.” Phir Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “ijaazat lainay ka jo hukam diya gaya wo isi liay hai k nazar na paray.”
[Bukhari: 6241 ‘ Muslim: 2156]

— Aik yahoodi aurat Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki khidmat mein zehar-mila bakri ka gosht lae, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay uss mein say kuch khaay phir jab uss aurat ko laaya gaya to uss nay zehar ka iqraar ker lia to kaha gaya k kiun na isay qatal ker diya jaaya? Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “nahein.” Hazrat Anas (may Allah be pleased with him) kehtay hein k uss zehar ka asar mein nay humaisha Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k taalo mein mehsoos kiya.
[Bukhari: 2617 ‘ Muslim: 2190]

— Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ka taweel khuwaab jis mein aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay apna khuwab bayan kertay huay subh sahaaba ikraam (may Allah be pleased with them all) say farmaaya: “raat ko mairay paas do aanay waalay aayay, wo mujhay aik laitay huay shakhs k paas lay gayay ………. mein nay un dono say poocha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” mujh say unhon nay kaha aagay berheyay aur hum aik aisay shakhs k paas pohanchay jo peeth k bal laita hua tha ………. mein nay kaha: “Subhaan-Allaah! Ye donon kon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay, phir hum aik tanoor-numa garhay per aayay ………. mein nay un donon say poocha: “ye kon loog hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik nehar per aayay ………. maine un donon say pocha: “ye kon hai?” unhon nay kaha k aagay chaleyay. Phir hum aik nihaayat bad-soorat aadmi k paas pohanchay ………. maine un donon say kaha: “ye kiya hai?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik baagh mein pohanchay ………. maine poocha: “ye koon hai? ye bachay koon hein?” unhon nay kaha aagay chaleyay. Phir hum aik azeem-u-sshaan baagh mein pohanchay ………. phir unhon nay kaha hum aap ko batayein gay.
[Bukhari: 7047 ‘ Muslim: 2275]

— Aik raat madina per (aik awaaz sun ker) bara khoof cha gaya. Loog uss awaaz ki taraf berhay laikin Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) sab say aagay thay aur aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) hi nay waqe’a ki tehqeeq ki.
[Bukhari: 2908’2627 ‘ Muslim: 2307]

— Aik yahoodi Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) k paas hazir hua aur kaha k Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) k ashaab mein say aik nay mujhay tamaancha maara hai. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaya: “kis nay?” uss nay kaha aik ansaari nay.
[Bukhari: 2412 ‘ Muslim: 2374]

— Hazrat Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) nay bayan kia k mein nay Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) say poocha: sab say shareef koon hai? Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “jo sab say perhaizgaar hai.” sahaba nay arz kia: hum Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) say iss k mutalliq nahein poochtay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaya: “phir Allah k Nabi Yusuf bin Nabi ibn-e-Nabi ibn-e-KhaleelilLah.” Sahaba nay kaha: hum iss k mutalliq nahein poochtay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “arab k khaandaanon k mutalliq poochtay ho? Suno! Jahileyyat mein jo shareef thay Islam mein bhi wo shareef hein jab-k deen ki samajh unhein aa jayay.”
[Bukhari: 3383 ‘ Muslim: 2378]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay hazrat Moosa (‘alaihissalaam) aur hazrat Khizar (‘alaihissalaam) ka taweel qissa bayan kertay huay farmaaya: Allah Moosa per raham farmaayay! Humaari tamanna thi k Moosa (‘alaihissalaam) kuch dair aur sabar kertay to mazeed waqi’aat un donon k bayan kiay jaatay.
[Bukhari: 122 ‘ Muslim: 2380]

— Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “mein jannat mein gaya, wahan mein nay aik mahal daikha? Maine poocha ye mahal kis ka hai? farishton nay bataaya ye Umar (may Allah be pleased with him) ka mahal hai.”
[Bukhari: 5226’3679 ‘ Muslim: 2394]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) k ghar tashreef laayay, daikha k Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) ghar mein mojood nahein hein. aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay daryaaft farmaaya: “tumhaaray chacha k baitay kahan hein?” Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) nay bataaya k un k darmiaan kuch na-gawaari paish aa gae aur wo mujh say naraaz ho ker kahein bahir chalay gayay hein aur mairay yahan qeloola bhi nahein kia. Uss k baad Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay aik shakhs say kaha: “Ali (may Allah be pleased with him) ko talaash karo k kahan hai?” wo aayay aur bataaya k masjid mein sooyay huay hein. phir aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) masjid mein tashreef laayay.
[Bukhari: 441 ‘ Muslim: 2409]

— Ghazwa-e-Khandaq k din Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “dushman k lashkar ki khabar mairay paas koon laa sakta hai?” Hazrat Zubair (may Allah be pleased with him) nay kaha k mein.
[Bukhari: 2846’3719’4113 ‘ Muslim: 2415]

— Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hazrat Fatima (may Allah be pleased with her) k ghar k aangan mein baith gayay aur farmaaya: “wo bacha kahan hai?” Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) Hasan (may Allah be pleased with him) k mutalliq pooch rahay thay.
[Bukhari: 5884’2122 ‘ Muslim:2421]

— Rasool Allaah (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki baiti ki wafaat hue (Hazrat umm-e-Klsoom (may Allah be pleased with her) jo Usman (may Allah be pleased with him) ki beewi thein aur 9 hijri mein faut huein) aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) qabar per baithay huay thay, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) ki aankhon mein aanso bhair aayay. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “logo! Koi tum mein say aisa bhi hai jo aaj raat aurat k paas na gaya ho.” Abu Talha (may Allah be pleased with him) nay kaha mein hazir hoon. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “to phir utro.” Wo un ki qabar mein utray.
[Bukhari: 1342]

— Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) per tuhmat ka mukammal qissa aik taweel hadith mein hai. Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay tuhmat k baad Hazrat Ali (may Allah be pleased with him) aur Osaama bin Zaid (may Allah be pleased with him) say ye sulah ki: “kiya mein Aisha ko choor don.” Aagay jaa ker zikar hai k Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) say farmaaya: “mujhay tairi taraf say aisi aisi khabar pohanchi hai, agar tu paak-daaman hai to Allaah tairi paak-daamni khool day ga aur jo tu phans gae hai to Allah say bakhshish maang, tobah ker.” Ye muamla chalta raha. Aakhir Allaah nay wahi utaar ker Hazrat Aisha (may Allah be pleased with her) ko paak-daaman qaraar diya.
[Bukhari: 4141]

— Aik shakhs jo raat ko dafan ker diya gaya, Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) apnay sahaaba samait kharay huay aur Aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay poocha: “ye kis ki qabar hai?”
[Bukhari: 1336]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “qayaamat k din loog bay-hoosh ho jayein gay, mein bhi bay-hoosh ho jaon ga aur sab say pehlay mujh ko hoosh aayay ga, mein kiya daikhon ga k Moosa (‘alaihissalaam) arsh ka koona thaamay kharay hein. ab mein nahein jaanta k wo bhi bay-hoosh ho ker mujh say pehlay hoosh mein aa jayein gay ya un logon mein say hein jin ko Allah nay bay-hooshi say mustasna rakha hai.”
[Bukhari: 6517]

— Usman bin Maz’oon (may Allah be pleased with him) wafaat paa gayay to aap (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay farmaaya: “Allah ki qasam! Mein Allah ka paighambar hoon magar mein ye nahein jaanta k mairay saath kiya ho ga aur tumhaara kiya haak ho ga.
[Bukhari: 7018]

— Rasool Allah (sallallahu ‘alaihi wasallam) nay 10 aadmion ko jasoosi k liay rawaana kia. Un ka sardaar Hazrat Aasim bin Saabit Ansaari (may Allah be pleased with him) ko banaaya, 7 shaheed ho gayay 3 bach gayay. Unhon nay dua ki k ya Allaah! Humaari khabar humaaray Paighambar (sallallahu ‘alaihi wasallam) ko pohancha day. Baad mein baaqi do bhi shaheed ho gayay aur Hazrat Khubaib (may Allah be pleased with him) qaidi ban gayay, phir un ko bhi shaheed ker diya gaya.
[Bukhari: 3045]

 

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

🌐Our Official website 🌐
https://DaRuLHuDaAiGc.wordpress.com

📲Subscribe Our Channel 📺
https://m.youtube.com/channel/UCikwYwA2d-IBLSDwasXfiug

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://m.facebook.com/Darulhudaaigc/

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358/DaRuLHuDa-AiGc

✏https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Leave a comment