NAMAZ E NABI ﷺ (part 02 ) Imam ke pechey Sureh Fathia Padhna

NAMAZ E NABI ﷺ (part 02 ) Imam ke pechey Sureh Fathia Padhna

1۩  ‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Jo namaz me surah Fatiha nahi padhta hai uski namaz nahi hoti.

Sahih al-Bukhari 756.

2۩ ‘Ubada bin As-Samit r.a. riwayat karte hain ki ham namaz e fajar me Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke piche the. Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Quran padha pas Aap pe padhna bhari hogaya, jab namaz se farig huwe to farmaya, “Shayad tum apne imam ke piche padha karte ho?” Ham ne kaha “Haa” Ae Allah ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм. Aap ne farmaya “siwaye sureh Fatiha ke aur koch na padha karo kyu ki us shaksh ki namaz nahi hoti jo sureh Fatiha na padhe.”

Sunan Tirmizi hadees no: 311,  ibn e Khuzaima-1581,  ibn e Hibban-460, 461. 

3۩  Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya,
“Jis Ne Namaz Padhi Aur Isme Surah Fatiha Na Padhi To Uski Namaz Naaqis Hai (Puri Nahi)  Teen Baar Farmaya,”.
Abu Huraira r.z. Se Kaha Gay Ke Hum Imam Ke Peeche Hote Hai To?
Ap Ne Farmaya Aahista Padha Karo Kyunki maine Rasul ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм se suna hai ke Allah tala ne farmaya namaz mere aur bande ke darmiyan aadhi taqseem hogai hai, aur mera banda jo bhi maange ga use wahi milega. chunancha banda jab ALHAMDULILLAHI RABBIL AALAMIN kahta hai to Allah tala kahte hian, Hamdani abdi (mere bande ne meri tarif ki) aur jab AR RAHMANIR RAHIM kahta hai to Allah kahta hai, (banda ne meri khubi aur buzurgi bayan ki aur kabhi farmata hai ke banda ne apne kamo ko mere supurd kar diya) phir jab wo IYYA KANA BUDU WAIYYA KANASTAIN, kahta hai to Allah farmata hai (ye mere aur bande ke beech hai aur mere banda ko jo wo mange mile ga) aur jab wo IHDINAS SIRAATAL MUSTAQIM …….. walazzuwaalin kahta hai to Allah tala farmata hai ye mere bande ke liye hai aur jo wo mange ise wahi milega.

Sahih Muslim, kitabu salat baab wajoob qirat fatiha, Hadis 878.

4۩ Yazeed bin shareek (tabiyee) r.h. se riwayat hai k unhownay Umar r.a se imam k pichay qiraat k barey mai pocha to unhownay farmaya surah fatiha padho .Unhownay kaha agar app (imam) b hoo? To farmaya agarchay mai (imaam) bhi hoo. Unhownay kaha agar app qiraat bil jahar (loud) kar rahey hoo? To farmayah agar mai qiraat bil jahar kar raha hoo.(toh bhi padho).

MUSTADRAK AL HAAKIM. HADITH- 873.

Hazrat aayesha,
hazrat anas,
hazrat abu qataada,
aur hazrat abdullah bin umar rizwanullahi t,aala alayhim se riwayat hai,
.
Hazrat ubada bin saamit raziyallahu anh ki ye hadees hasan hai 2sre raaviyon se,
,
hazrat ubaada bin saamit raziyallahu anh se yon riwayat hai ki rasool e khuda sallallahu alayhi wasallam ne farmaya ,
.
Jisne sore fatiha nahi padhi uski namaz nahi,
.
Is baab me ye riwayat pehli riwayat se ziyada sahi hai,
.
Imam ke peeche quran padhne meaksar ulmaa ka is hadees par amal hai
jin me sahaaba o taabaeen daakhil hain,
.
Imam malik bin anas, imam nubarak, imam shafai, imam ahmad, aur imam ishaaq rahmahumullahu alayhim ka bhi yahi qaul hai, ji imam ke peeche{sore fatiha}padhna chaahiye,
.
Tirmizi sharif, jild 1, safha 65, hadees 274, namaz ka byan,
abu daoud sharif,
mishkat sharif!

IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA AUR BAAZ AIMMA E AHNAF KE AQWAAL:

1- Allama aini hanafi sharah bukhari me likhte hain

” baaz fuqaha e hanfiya har namaz me chaahe wah sirri ho ya jahri imam ke peeche alhamdu (surah fatiha) padhne ko ehtiyaatan mustahab(bahtar) bataate hain, baaz fuqaha sirf sirri namaz me, aur makka aur madina aur mulk e shaam ke fuqaha ka isi par amal hai”

(gausul gamaam)

2- allama abdul haiy lakhnawi rh likhte hain

” imam muhammad rh (imam abu hanifa ke shargird) se marwi hai ki unhone imam ke peeche surah fatiha padhne ko sirri namaz me mustahab(behtar) bataya hai, aur isi tarah imam abu hanifa rh se riwayat kiya gaya hai aur isi to hamare bahut se masaikh ne akhtiyaar kiya hai”

(umdatul qari)

3- imam shorani rh farmate hain

” imam abu hanifa rh aur imam muhammad rh ka aakhiri qaul yahi hai ki imam ke peeche surah fatiha padhi jaaye, na padhne ka Qaul pahle ka hai, jisse unhone ahtiyaatan ruju kar liya hai”

(gausul gamaam)

4- khwaja nizamuddeen awliya rh imam ke peeche surah fatiha padhte they aur farmate they

” nabi(sws) se sahih sanad se saabit ho chuka hai ki jisne surah fatiha na padhi uski namaz nahi hoti, ek baar jab aapne ye hadith pesh ki to wahan qaazi ruknuddeen bhi maujood they wah kahne lage tujhko hadith se kya kaam abu hanifa ka koi qaul pesh kar

hz nizamuddeen rh ne farmaya: subhaanallah! Main nabi ki hadith pesh karta hun aur tum mujhse abu hanifa ki riwayat talab karte ho, phir aapne farmaya:- fuqaha ki is bahaduri par tajjub hai ki hadith ka kaise inkaar karte hain aur kahte hain ki fiqhi riwaayat rasool(sws) ki hadith par muqaddam hain”

(nuzhatul khwatir)

5- maulana rasheed ahmad gangohi rh likhte hain

” jab aap(sws) ko qirat me munaz’at aur siql huwa aur logon ka padhna malum huwa to aap(sws) ne huqm farmaya, Agarche tum jaldi jaldi saktaat e imam me hi padhte ho taa ham padha kare siwaaye fatiha ke kyonki surah fatiha ke begair namaz nahi hoti”

(sabeelur rasheed)

6- sheikh abdul qadir jilani rh likhte hain

” surah fatiha ka padhna farz aur namaz ka ruqn hai, surah fatiha ke na padhne se namaz baatil ho jaati hai”

(gunyatuttaleebeen)

6- mulla jeevan ne tafseer e ahmadi me likha hai

” agar jamaat e soofiya aur mashaikheen e hanafiya ko dekhoge to tumhe malum hoga ki ye log imam ke peeche alhamdu(surah fatiha) padhne ko mustahab bataate they jaisa ke imam muhammad rh ehtiyaatan mustahab bataate they”

(tafseer e ahmadi)

Allah Ke Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{ Bukharh , kitab ul Azan Hadees no 231 , 6310 }

Namaz or Surah al Fatiha , Fatiha tul Kitab , Ummul Kitab ,

Kuch log Daleel dete hai ke Namaz mein Surah Fatiya lazeem nahi hai ,

chalo dekh te hai us Hadees ka pash manzar kya hai or log kya maante hai,

1- Abu Bakr raz se riwayat hai unhonebayan kiya ke main Nabi saw ke saath Namaz mein samil hua us waqt Aap saw Ruku mein the , Abu Bakr ne saaf mein pahoncne se pahle hi Ruku kar liya or ussi halat mein chal kar saaf mein pahonche Nabi saw ko yeh baat batai gayi to Aap saw ne farmaya Allah tera shauk pura kare , Zindagi mein aisa na karna ,

{ Bukhari , kitab ul Aazan , Hadees no 783 }

Kuch log is Hadees se Nukta nikalte hai ke agar Namaz mein Ruku ki halat mein Imaam ke saath samil ho to usse Rakaat sumar karenge , kyon ke Abu Bakr raz , ne Rakaat nahi dohrai , na hiAap saw ne unhe aisa karne ka hukm diya , or is se ye bhi maloom hua ke Kiyam zaruri hai na ki Fatiha , yeh khayal durust nahi kyon ke ,

A- Nabi saw ne unhe Rakaat dohrane ka hukm diya tha ya nahi ? Ya unhone khud se Rakaat lautaya tha ya nahi ? Is ke bare mein Hadees khamosh hai , is topic mein jo bhi kaha jata hai woh sirf khayal or guman ki bunyad par kaha jata hai ,

B- is se ulat aisi wayeh tark mauzud hai , jo takat rakhne wale ke liye Kiyam or Surah Fatiha ko lazeem karardeti hai ,

C- Aur Niyam yeh hai ke jab shak o subha ke mukable mein wazeh or yakin aamne saamne aa jaye to shak ko chhor diya jayega or yakin par amal kiya jayega ,

D- Seedhi si baat hai ke is Hadees ka markazi nukta Abu Bakr raz ka yeh amal hai ke pahle woh Ruku ki halat mein Imaam ke saath samil hue , phir isi halat mein aage badte hue saaf mein dakhil hue , Aap saw ne unhe aisi amal se roka tha , jamat mein samil hone ka shauk apni jagah par , magar is shauk ko pura karne ka yeh tarika bair haal durust or accha na tha,

E- is liye is hadees ko is ke asal nukte se hatan kar Kiyam or Surah Fatiah se khali rakaat ke jawaaz par lana durusth malool nahi hota hai ,

is silsile mein ek Daleel yeh bhi samne aayi hai ke Namaz mein Surah Fatiha padh ne ka mauka or jagaha chuke Kiyam hai , is liye sirf wahi Namazi Surah Fatiha padhega jisne Imaam ko Kiyam ki halat mein paya or jisne usse Ruku ke halat mein paya us ke haq mein Surah Fatiha ki Kiraat shakit ho jayegi , kyon ke us ke liye us ki kiraat ka mauka or jagah baki na raha , yeh daleel bhi durust nahi , Aqal or Naaqal dono is baat ka inkaar karte hai jaise ,

1- Imaam Bukhari ne Sahi Bukhari Kitab ul Aazan mein ek Baad 95 yun Bhandha hai , Namaz mein Surah Fatiha padhna har Namazi par wazib hai chahe Imaam ho ya muktadi , mukim ho ya musafir , Namaz Shirri hoya Jahri ,

2- Nabi saw ne farmaya jis ne Namaz mein Surah Fatiah nahi padhi us ki Namaz hi nahi , is se maloom hua ke agar ek rakaat mein bhi Surah Fatiha rah jaye to sari Namaz nahi hoti , Kyon ke Surah Fatiha padh na Namaz ka Rukan hai or Rukan kisi bhi jagah par rahe jaye , Namaz naakis ho jati hai jaisa ke Muslim sarif mein Abu Huraira raz se riwayat hai ke Nabi saw ne 3 martaba farmaya jisne Namaz mein Surah Fatiha nahi padhi us ki Namaz naakis adhuri or na mukammal hai , bilkul aisa jaise ek Pregnant uthni waqt se kuch pahle apna bacha giradeto woh kisi kaam ka nahi hota , isi ko Arabi mein Khiddaz kahte hai , is se maloom hua ke kisi shakhs ne ek Rakaat mein Surah Fatiha nahi padhi us ko kam se kam woh Rakaat to adhuri hogi , or yeh to mumkin hi nahike kisi shakhs ki ek Rakaat to adhuri ho or baaki Namaz mukammal ho ,

3- Hadees ka lafz La Salath mein La nafi jees ka hai jo is baat par dalalat karta hai ke jeens Rakaat mein Surah Fatiha nahi padhi gayi woh Rakaat Namaz ki jeens se nahi hai is liye adhuri hui ,

4- Nabi saw ne farmaya La Turzzio Salatan La Yuk’raa Fatiah tilKitab ,

{Ibn Hibban , Daru kutni}

Is Hadees mein La Turzzio ka Matlab hai , La Taqfi wala Tasihud,yani jo Shakhs Namaz mein Surah Fatiha nahi padhta us ki Namaz na to sahi hogi or na hi usse kifayaat karegi ab jis rakaatmein Surah Fatiha nahi padhi gayi , kam se kam woh Rakaat to sahi na rahi , is liye usse sahi karne ke liye zaruri hai ke woh Rakaat Surah Fatihasamet Dowara padhi jaye ,

5- Hadees Kudsi hai , Allah ne farmaya mein ne apne or bhande ke darmiyan Namaz ko Aadha Aadha bhat diya hai ,Hadees ke mutabik yeh Namaz mein Surah Fatiha hai jis ka pahla aadha Allah paak ki Hamd o Saana o Buzurgi, badai , Tawheed or Ibaadat par mustammil hai , jab ke doosra aadha bandhe ki Du’aon par mustammil hai , jab bhanda Namaz mein Surah Fatiha padh raha hota hai , Allah un Du’aon ko Qabool karne ka Elaan farmata hai , lekin jo Namazi ek Rakaat mein Surah Fatiha nahi padhta us ki woh Rakaat Allah ki is bhadi Innaam se khali rahti hai ,

6- Quat or Takaat war aadmi ke liye Namaz mein Kiyam karna zaruri hai , jis tarha Ruku ya Sajdha ki bina Namaznahi hoti , isi Tarha Kiyam ya Surah Fatiha ke bagair bhi us ki Namaz nahi hoti , is liye yeh kahna julm hai ke jisne Imaam ko Ruku ki Halat mein paya us ke haq mein Surah Fatiha ki Kiraat shakit ho jayegi , kyon ke us ke liye us ki Kiraat ka mauka mahal baki nahi rahat , balke is ke ullath yun kahna chahiye chuke us shakhs ke Namaz mein se Do aham Rukn Kiyan o Surah Fatiha rah gaya hai , is liye usse yeh Rakaat do bara padhni chahiye ,

7- Abu Bakr raz ki Hadees mein La Taaud ke jo shabd aaya hai un ke 3 matlab ho sakte hai ,

1- ek to wahi yani aainda aisa na karna , 2- La Tuuid yani tum Rakaat na dohraao , Tumhari Namaz ho gayi , 3- La Taa’du yani dhod kar na aaya karo ,

Ab niyam yeh hai ke jis Daleel mein kaitarah ki maana leye ja shakta hai us Daleel ko kisi khas mas’ala ke liye daleel ke taur par pesh karna durust nahi ,

Isliye mazboot daleel ko chhor kar kai maana nikalne wali daleel La Taaud sedaleel pakadna sahi nahi hai ,

8- Nabi saw ka parashid farman hai jo Namaz tu Imaam ke saat pale usse us ke saat padh , or jo rah jaye us ki Qaja kar ,

{ Muslim , kitab ul Masajid Hadees na 602 }

To jo shakhs ek Rakaat ka Kiyam nahi pa saka , jahiri baat hai ke us Rakaat ko do baara padhe ,

9- Nabi saw ne yeh bhi farmaya jo shakhs mujhe Kiyam , Ruku ya Sajdah ki halat mein paye to woh ussi hakat mein mere saat samil ho jaye ,

{Fathul Baari,kitab ul Azan Hadees no 2/269 }

Is se maloom hua ke kisi Muktadi kn jaeez nahi ke woh Imaam ke mukhalifat kare , yani Imaam to Ruku kar raha ho or Muktadi Kiraat kar rahaho ,

10- Allah ne Farmaya , Rasool saw jo kuch tumhe den usse le lo ,

Surah Hashr Aayat no 7

Aur Allah Ke Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{ Bukharh , kitab ul Azan Hadees no 231 , 6310 }

Aur yeh baat Suraj ki tarah wazeh hai ki Aap saw ne aisi Namaz nahi padhi or na apni Ummati ko sikhai hai jis ki kisi Rakaat mein Kiyam or Surah Fatihana ho , Upar bayan kiye gaye dalael ki roshni mein maloom hua ke Kiyam or Surah Fatiha ke bina Namaz nahi hogi

iMAM KE PEECHE SURAH FATIHA NA PADHNE WAALON KI DALEEL KA                   MUKHTASAR SA JAYEZA:

1- Hz ali (ra) se riwayat hai ki ek shakhs ne rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha ki: main imam ke peeche qir’at karun ya chhup rahun ? Aapne farmaya: qir’at na kar balki chup rah kyonki tera chup rahna tujhko kifaayat karega”

(kitabul qir’aya lil baiheqi)

JAWAB:

ye hadith nihayat dhaeff hai, kyonki iski sanad me haaris aawar kazzab hai, muhammad bin saalim bahut dhaeff aur shabiful matruk hain, qais bin rabi’a dhaeff hain aur ghassan bin rabi’a dhaeff hain…

2- hz abdullah bin masud (ra) se riwayat hai ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya: kya hai mujhko ki main manaza’at kiya jaata hun jab koi shakhs imam ke peeche namaz padhe toh chahiye ki chup rahe isliye ki imam ki qir’at uske liye qir’at hai aur imam ki namaz uske liye namaz hai “

(kanzul ummal)

JAWAB:

ye hadith dhaeff hai aur na’qabil e aitbar hai, riwayatan bhi aur diraayatan bhi, riwayatan dhaeff hone ki wajah yah hai ki iski sanad me ek raawi ahmad bin muhammad ajlaani MAJHOOL hai, uska kuch pata nahi ki wah kaun hai aur kaisa hai,

aur diraayatan dhaeff hone ki wajah yah hai ki is hadith me maujood jumla ” fa’inna qiraa’tahu lahu qira’ah” ka matlab ye hai ki imam ki qir’at muqtadi ke liye kafi hai, muqtadi ko khud qir’at karne ki zarurat nahi,

isi tarah is hadith me maujood ye jumla ” wa salaatahu lahu salaah ” ka zaahir matlab ye hai ki imam ki namaz muqtadi ke liye kaafi hai, muqtadi ko iqtada ke baad arkaan e namaz ada karne ki zarurat nahi, jabki ise koi tasleem nahi karta…

 

3- hz anas (ra) se riwayat hai ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki: jo shakhs imam ke peeche qir’at karega uske muh me aag bhari jaayegi”

(kitab uz ju’aaza ibn habban )

JAWAB:

Ye hadith maudoo hai, maamoon bin ahmad ne isko gadha hai, ibne habban ne farmaya tha ki maamun bin ahmad dajjalon me se ek dajjal tha aur hafiz ab naeem ne likha hai ki khabees tha, jhooti jhooti hadithen siqaat se riwayat karta tha,

(takhreej e zaylai)

4- hz zaid bin saabit (ra) se riwayat hai ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ki : jo shakhs imam ke peeche qir’at karega uska namaz nahi “

(kitab uz ju’aafa ibn habban )

JAWAB:

Ye hadith bhi maudoo hai, iska rawi ahmad bin ali hadith gadne waalon mese hai…

5- nihaaya sharah hidaya ka musannif likhata hai ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ki: jo shakhs imam ke peeche qir’at kare toh uske muh me angaara bhara jaayega”

JAWAB:

ye hadith bhi mahaz baatil aur bilkul be’asal hai, hadith ki kitabon me iska kahin par naam wa nishan nahi hai…

6- hz imran bin hussain (ra) se Riwayat hai ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) logon namaz padha rahe they aur ek shakhs aapke peeche tha, jab aap faarig hue toh farmaya ki: kaun shakhs hai jo meri surat me mujhse munaza’at karta hai, toh aapne un logon ko imam ke peeche qir’at karne se mana kiya”

(dare kutni)

JAwAB:

Ye hadith dheef aur na’qabil e aitbaar hai kyonki iski sanad me hajjaj bin artaat hai aur ye mudallis hai aur inhone is hadith ko qatadah se “an” ke saath riwayat kiya hai aur mudallis ka an’ana ghair maqbool hota hai…

7- allama aini sharah sahih bukhari me likhte hain abdurrazzaq ne apne musanaff me riwayat kiya hai ki mujhe musa bin uqba ne khabar di ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) aur abu bakr aur umar aur usman aur ali (ra) imam ke peeche qir’at se mana karte they

JAWAB:

Ye hadith bhi dhaeff hai aur na’qaabil e aitbaar hai, kyonki iski sanad me muqata hai musa bin uqba Segaare tabain mese hai isko khulefa rashideen (ra) se liqa’aa wa sima’aa nahi hai aur wah hadith ke na’qabil e aitbaar hone par wah ahadith sahiha marfuwa waajeh daleel hai jinka zikr pichle post me hamne kiya hai jinse imam ke peeche qir’at ka wajoob saabit hota hai….

8- hz abu huraira (ra) se riwayat hai ki rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ki: jis namaz me surah fatiha na padhi jaaye toh wah naakis aur na’tamaam hai magar wah namaz jo imam ke peeche ho”

(kitabu qira’a lil baiheqi)

JAWAB:

Ye hadith bhi dhaef aur na’qabil e aitbaar hai aur isme lafz ” magar wah namaz jo imam ke peeche ho ” munkar wa mardood hai,

is hadith ke dhaeff hone ki wajah yah hai ki iska madaar abdurrahman bin ishaq par hai, aur ye matrook wa munkarul hadith hai

9- hz abu saeed khudri (ra) se riwayat hai ki maine rasool e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha ki koi shakhs imam Ke peeche agar kuch na padhe toh kya ye usko kaafi hoga, aapne farmaya: haan “

(kitab ul qira’at)

JAWAB:

Abu saeed khudri (ra) ki is hadith ka daromadaar abu haarun abdi par hai aur ye bahut hi bada kazzaab hai, aur abu haarun se is hadith ko rabi’a bin badar riwayat karta hai aur ye matrook hai aur rabi’a bin badar se is hadith ko shaibaan riwayat karta hai aur ye majhool hai, pas jis hadith ka daromadaar kazzab par phir matrook par phir majhool par ho aisi hadith maqbool kaise ho sakti hai….

SURAH FATIHA PAR SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(RH) KA FATAWA

HZ SHEIKH ABDUL QADIR JILANI(RH) KA FATAWA IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA PADHNE KE BAARE ME AAPKI ZABAN ALLAH KE RASOOL (SAW) KI TARAH TARJUMANI KARTAI HAI,

IRSAAD HOTA HAI,

“FA-INNA QIR-ATAHA FARI-ZATUN WAHIYA RUKNON TAB-TUS-SALATU BITARKIHA”

TRANS: SURAH FATIHA PADHNA FARZ HAI AUR YE SURAH NAMAAZ KI BUNIYAD HAI, ISKE NA PADHNE SE NAMAAZ NAAKIS HO JAATI HAI, BHAIYON! BATAO ISSE BADKAR AUR ITMINAN KI SURAT AAP KE LIYE AUR KYA HO SAKTI HAI KI HZ . PEERANE PEER NE( ALLAH KI LAAKHON RAHMATEIN HO) HUZOOR (SAW) KI HADITHON KI TASDEEQ WA TAYID ME KAISA FAISLA KIYA HAI AUR SAAF KAR DIYA HAI KI SURAH FATIHA KE CHHOD DENE SE NAMAAZ NAHI HOTI…..

MASLA  KHALF UL IMAM  AUR BAAZ ULEMA E  AHNAAF KA  QAUL

Hz anas (ra)farmate hain ki” rasoollah ne apne sahaba ko namaaz padhai, namaaz padha kar unki taraf ghoom kar pauccha, kya tum apni namaaz me imam ki qir’at ke saath padhte ho…sab khamosh rahe. Teen baar aapne puccha. Phir jawab diya. Haan huzoor hum aisa karte hain aur farmaya, na kare ! Tum me se har ek ko chahiye ki sirf surah fatiha dheere se padh liya kare, yaani surah fatiha zaroor padh liya karo aur phir khamoshi se qir’at suna karo…

(bukhari)

SHAH WALIULLAH DEHLWI KA FATAWA

” agar imam unchi aawaz se qir’at padhta hai . To muktadi imam ke saktah ke waqt peeche-peeche alhamdu sharif padhta jaaye. Aur agar khmoshi se padhta hai to muktadi ko choot hai(jis tarah padhe) saktah= surah padhte waqt imam jahan thaharta hai

HIDAYAH   KA   FATAWA

hidayah hanafi maslak ki bahut maqbool aur unche darje ki kitaab hai. Iski pahli jild fasl-fil-qir’atme fatiha khalf ul imam ke baare me ye fatawa hai. Wa-yustahsun ala sabilil ihtiyati ahtiyaat ke liye surah fatiha ka imam ke peeche padh lena hi behtar hai

(hidayah) 

Imam ke pechey Sureh Fathia Padhne ki dalayel  Scan Pages

Imam ke pechey Sureh Fathia Padhne ki dalayel Urdu PDF Books Download 

https://www.scribd.com/document/330571289/imam-k-piche-surah-fatiha

https://www.scribd.com/document/330569988/fateha-khalful-imam

https://www.scribd.com/document/330571180/Namaz-e-Nabwi-Jadeed-Edition

 

Imam ke pechey Sureh Fathia Padhne ki dalayel   Videos

 

♻Join Our Page’s Our website’s Our Channel And Whatsapp Grop’s

👉For Latest Updates New Upload Videos , Articles , Islamic Urdu scholars Latest Audios And Jummah Khutbah’s

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

📲Subscribe Our Channel 📺
https://www.youtube.com/channel/UCikw…

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://mobile.facebook.com/DaRuLHuDa…

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358…

✏https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Leave a comment