NAMAZ E NABI ﷺ (part 01 ) Seene Par Haat Bhandna

NAMAZ E NABI ﷺ (part 01 )  Seene Par Haat Bhandna

1- Wail bin Huzr raz kahte hai ke main Nabi saw ke saath Namaz padhi, to Aap saw ne Daayan Haat ko Baayan Haat par rakh kar Seene par Bhandha ,

{Ibn Khuzema ,1/243 , 479}

Isse Imaam Khuzemane sahi kaha hai ,

2- Haalb raz farmate hai ke Main Nabisaw ko Kiyaam mein seene par Haat rakhe hue dekha ,

{Musnad Ahmad , 5/226}

Hafiz Ibn Bar or Aalama Aazeemabaadi ne isse sahi kaha hai ,

3-Wail bin Huzr raz , Nabi saw ka Namaz ka tarika bayan karte hue farmate hai ke Aap saw ne Daayan Haat ko Baayan Haat ke hateli pust par uske jood or kalayi par rakha ,

{Nasai , Hadees no 490 , Ibn Hibban Hadees no 485

Ibn Khuzema Hadees 480}

Ibne Hibban or Ibn Khuzema ne sahi kaha hai,

Hamme bhi Daayan Haat Baayan Haatpar is tarah rakhna chahiye ke Daayan Haat Baayan Haat ke pust , jood or kalayi par aajaye or dono ko Seene par Bhanda jaye take tamam riwayat parAmal ho sake ,

4- Sahal bin Saad raz se riwayat hai ke Nabi saw ki taraf se ye hukm diya jata tha ke Namaz mein Daayan Haat Baayen Kalayi jarah par rakho

{Bukhari , kitab ul Aazan ,Hadees no 740}

Rahi Ali raz ki riwayat ke Sunnat yeh hai ke Hateli ko Hateli par rakh kar Naaf ke neche rakhajaye,

Abu Daood,kitab us SalatHadees no 756}

To issi Imaam Bahqi or Hafiz Ibn Hazar ne jaeef kaha hai ,

or Imaam Nawabi farmate hai ke is ke jaeef hone par sab ka ittefaaq hai ,

  1. Wayil ibn Hajar(ra) kehte hai ke mai ne Rasul(saw) ke saath namaz padi, Aap(saw) ne Apna daaya(right) haath baaye(left) haath par rakh kar seene(chest) par baandh liya.

>Sahih ibn Khuzaimah; J:1, S:243

  1. Wayil bin Hajar(ra) kehte hai ke mai Rasul(saw) ke paas hazir hua, Aap(saw) Masjid ki taraf khade huye mehrab me dakhil huye, phir Aap(saw) ne Allahu Akbar ke saath haath uthaya, phir Aap(saw) ne daaya haath baaye haath par rakh kar seene par baandh liya.

>Baihaqi; J:2, S:30

  1. Qabisa bin Halab apne baap se riwayat karte hai ke unho ne kaha mai ne Rasul(saw) ko salaam ke baaddaayein baayein phairte huye dekha aur mai ne aap ko Seene par haath baandh te huye dekha.

>Musnad Ahmad; J:2, S:51

  1. Tawus(ra) kehte hai ke Rasulullah(saw) Apna daaya haath baaye haath par rakhte, phir donohaato ko seene par baandh lete.

>Muraseel Abu Dawood; Safa:4

  1. Ali(ra) Surah Kousar me”wan nahar”ki tafsir bayan karte huye farmate hai ke daaye haath ko baaye haath ki kalaayi ke darmiyan rakhna, phir dono haato ko namaz me seene par rakhna muraad hai.

>Tafsir Fatahul bayan; Jild:10, Safa:462

>Tafsir-e-Tabri ; Jild:10, Safa:326>

Ahkamul Quran ibnul Arbi; Jild:4, Safa:1975

  1. Abdullah bin Abbas(ra) farmate hai ke”wan nahar”se muraad namaz me daaya haath baaye haath par, phir seene par baandhna hai.

>Baihaqi; Jild:2, Safa:31

  1. MohammAd bin Kaab farmate hai ke namaz me daaya haath baaye haath par rakh kar seene par baandhna murad hai.

Tafsir Fatahul bayan; J:10, S:461

ULAMAH-E-AHNAAF KA FAISLA:

  1. Shamsuddin Mirza Mazhar Jaan Jaanan Hanfi ka faisla seene par haathbaandh ne ka hai.

>Taqsaar; S:113

  1. Allamah Mohammad Hayaat Hanfi farmate hai ke namaz me seene par haath baandh ne ke liye mazboot bunyaad aur wazeh daleel maujood hai. Lihaza jo Rasul(saw) se sabit ho, jin hone ye farmaya ho ke tum me se koi bhi imandaar nahi ho sakta, jab tak apni khwahishat ko Rasul(saw) kilaayi huyi shariyat ke taabey na kare, balki musalman ke layaq hai ke wo isseene par haath baandh ne ki sunnat par amal kare.>

Bahrur Rayiq; S:330

  1. Sahebul Hidaya ne naaf ke neeche haath baandh ne ke saboot me jo riwayat bayan ki hai, us par hanfi mazhab ke naamwar fiqhiya AllamahAyni Hanfi likhte hai ke ye Ali(ra) ka qaul hai, Rasul(saw) ki hadees nahi hai, yani iski sanad Rasul(saw) tak sahi nahi hai.

>Umdatul Qaari;

Sharha Bukhari: Juz:5, Safa:679

Yani ye Hadees-e-Rasul toh hai hi nahiaur Ali(ra) ka qaul hai bhi ya nahi, iske mutaluq Allamah Ayni Hanfi, Jarah aur tanqid karte huye likhte haike jo kuch Ali(ra) se riwayat kiya gaya hai, us par tanqid ki gayi hai, isliye ke iski Sanad me Abdur rahmanbin Ishaq koofi hai. Imaam Ahmed bin Hambal kehte hai ke ye shaks Munkarul Hadees hai.

>Umdatul Qari; Sharha Sahih Bukhari:Juz:5, Safa:279

Allah Ke Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho

{Bukharh , kitab ul AzanHadees no 231 , 6310}

Mard or Aurat ki Namaz mein koi Fark nahi hai , Allah Ke Rasool saw ne farmaya Namaz ussi tarah pado jistarah tum mujhe padte hue dekhte ho ,

{Bukharh , kitab ul AzanHadees no 231} 

Yani hubahu , meri yani Nabi saw tarike ke mutabik tamam Aurtein or tamam Mard Namaz padhe

, phir apni taraf se yeh hukm lagana ke Aurtein Seene par Haat Bhandhe orMard Naaf ke neche , or isi tarah Aurtein Sajdah karte waqtzameen par koi or tarika ikhtiyar kare or Mard koi or yani yeh Deen mein dakhal andazi hai , yaad rahe Takbeer e Tahrima se suru kar ke AsSalamu Alaykum Warrahmtullah , kahne tak Aurtein or Mard ke liye ek tarika or ek hi halat ki Namaz hai,sab ka Kiyam , Ruku , Kaoma , Sajdah , Jalsha e Isterahat Kaada or har har jagah par padhne ki Du’aen ek si hai ,

Seene Par Haat Bhandne ki Dalayel in pictures

 

Seene Par Haat Bhandne ki daleel  urdu books 

https://www.scribd.com/document/330570628/Mukhtasar-Saheeh-Namaz-e-Nabvi

https://www.scribd.com/collections/17562719/Salah-Namaz-ke-Masail

https://www.scribd.com/document/330570002/Hadya-Tu-Al-Muslimeen-Nimaz-K-Aham-Masail

 

Seene Par Haat Bhandna in videos file 

https://www.youtube.com/watch?v=vW33nBYTwMQ (full topic )

 

 

♻Join Our Page’s Our website’s Our Channel And Whatsapp Grop’s

👉For Latest Updates New Upload Videos , Articles , Islamic Urdu scholars Latest Audios And Jummah Khutbah’s

♻ For Join Us Islamic Messages Related Quran And Sunnah in Whatsapp

📞+91 9515457055
📞+965 55845587

📲Subscribe Our Channel 📺
https://www.youtube.com/channel/UCikw…

📮Join Telegram Channel
https://telegram.me/DaRuLHuDa_AiGc

♻ Join Our Facebook Page
https://mobile.facebook.com/DaRuLHuDa…

⬇Download Urdu Books📚
https://www.scribd.com/user/309616358…

https://twitter.com/DaRuLHuDaAiGc

Zikr E ilahi Aur Uske Fawayed

bd577b86-6ea2-4686-bd1c-eff2eba43aa7.jpg

 

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatahu

📢 Jummah Khutbah 📢

📅 Date : 08 April 2016

👤 Speaker : Shaykh AbulQasim Madani Hafizaullah

📋 Topic : Zikr E ilahi Aur Uske Fawayed

📀Album : Jummah Khutbah

◀Jummah Khutbahs link⬇
http://1drv.ms/1F8VAJw

◀Shaykh Other’s Duro’s ⬇
http://1drv.ms/1LKTwio

📮Teligram Channel @ShaykhAbulQasimMadani

🎪Masjid Bader Nasser Al Mutairaat, Block-2, Ardiya
🌎 Map: https://goo.gl/maps/PCPaDRKNnNx

🎵Download ⬇

✨ JazakhallahuKhair ✨

 

ALLAH ARSH PAR HAI

 

download.jpg

ALLAH ARSH PAR HAI (QURAN SE DALEEL)

 

Bismillahirrahmanirraheem

1. Beshaq Tumhara Rab Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Wo Din Ko Raat Se Is Tarha Chipa Deta Hai K Raat Din Ko Jaldi Se Aa Leti Hai Aur Suraj Aur Chaand Aur Dusre Sitaro Ko Is Tarha Banaya K Wo Sab Allah K Hukm K Tabay Hai, To Kya Us K Liye Hi Nhi Hai Khaliq Hona Aur Hakim Hona Badi Hi Khubiyo Wala Tamaam Jahano Ka Rabb.(Surah Aaraaf Surah No. 7 Ayat No. 54)

2. Beshaq Tumhara Rabb Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua (Waha Se Tamaam) Kaam Ki Tadbeer Karta Hai Koi Uski Ijazat K Bagair (Uske Saamne) Shifa’at Karne Wala Nhi Hai, Aesa Hai Tum Sab Ka Rabb Lihaza Uski Ibadat Karo Kya Tum Phir Bhi Soochte Nhi. (Surah Younus Surah No. 10 Ayat No. 3)

3. Allah Wo Hai Jin Ne Aasmano Ko Bagair Satoono K Buland Kiya (Jesa K) Tum Is (Aasmani Dunya) Ko Dekh Rahe Ho Phir Allah Arsh Par Qayam Hua Aur Suraj Aur Chand Ko Is Tarha Apne Ma’tahat Kiya K Wo Ek Muqarrar Shuda Waqt Tak K Liye Chal Rahe Hai Allah Hi Kaam Ki Tadbeer Karta Hai (Aur) Wazahat K Sath Nishaniya Bata Raha Hai Takey Tum Loog Apne Rabb Se Milne Par Yakeen Kar Lo. (Surah Ra’ad Surah No. 13 Ayat No. 2)

4. Rahman (Wo Hai Jo) Arsh Par Qayam Hai. (Surah Taha Surah No. 20 Ayat No. 5)

5. Rahman Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Aur Jo Kuch Bhi In K Darmiyan Hai (Sab) Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Pas Aap Us K Baare Mai Kisi Khabargeer Se Hi Puchey. (Surah Furqaan Surah No. 25 Ayat No. 59)

6. Allah Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Aur Jo Kuch Bhi In K Darmiyan Hai (Sab) Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua (Allah K Saamne) Allah K Elawa Tum Sabka Koi Madadgaar Nahi Aur Na Hi Koi Sifarish Karne Wala Kya Tum Loog Yaad Nhi Rakhte.(Surah Sajda Surah No. 32 Ayat No. 4)

7. Allah Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Wo Janta Hai Jo Kuch Zameen Mai Dakhil Hota Hai Aur Jo Kuch Zameen Se Nikalta Hai, Aur Jo Kuch Aasmano Se Utarta Hai Aur Aasman Mai Chadta Hai Aur Tum Lood Jaha Kahi Bhi Ho Wo Tum Loogo K Sath Hai Aur Jo Kuch Tum Loog Karte Ho Allah Wo Sab Dekhta Hai.(Surah Hadeed Surah No. 57 Ayat No. 4)

Is Mandarja Bala Aayat E Mubaraka Mai Hamare Is Rawa Mouzu Ki Daleel K Sath Sath Ek Aur Baat Ki Bhi Wazahat Hai, Jis K Bare Mai Aksar Loog Galat Fehmi Ka Shikaar Hote Hai, Aur Wo Hai Allah Ki “Ma’iyat” Yani Uska Sath Hona Jis K Bare Mai Amuman Ye Khayal Kiya Jata Hai K Allah Subhanahu Wa Ta’ala Apni Zaate Mubarak K Zariye Kisi K Sath Hota Hai, Jo Ki Durust Nhi Hai Kyunki Allah Ne Khud Hi Apni “Ma’iyat” Ki Kefiyat Bayan Farmate Hue Irshad Farmaya: WALLAHU BIMA TAMALOONA BASEER Aur Jo Kuch Tum Loog Karte Ho Allah Wo Sab Dekhta Hai Yani Allah Ka Sath Hona Uske Ilm Wa Kudrat, Simaat Wa Basarat K Zariye Hai, Na K Uski Zaat E Mubarak K Wajood Paak K Sath Kisi K Sath Hona Hai.

8. Jo Koi Izzat Chahta Hai To (Wo Ye Jaan Le K) Tamaam Tar Izzat Allah K Liye Hai (Yani Izzat Dene Wala Wahi Hai) Paak Batey Us (Allah) Ki Taraf Chadti Hai Aur Nek Amal Apne Karne Wale Ko Buland Karta Hai Aur Jo Loog Buraiya Karte Hai Unke Liye Shadeed Azaab Hai Aur Unki Buri Haali Hi Nestey Nabood Hogi. (Surah Fatir Surah No. 35 Ayat No. 10)

9. Sawal Karne Wale Ne Azaab K Bare Mai Sawal Kiya Jo Wakai Hone Wala Hai Kafiro K Liye Us Azaab Ko Door Karne Wala Koi Bhi Nahi Allah Ki Taraf Se (Allah Hi Hai) Jo (Aasmano Ki) Sidhiyo Ka Malik Hai Us (Allah) Ki Taraf Farishte Aur Rooh (Unhe Seediyo K Zariye) Chadhte Hai Ek (Aese) Din Mai Jis Ki Mikdaar (Tumhari Ginti K Mutabik) 50 Hazaar Saal K Barabar Hai. (Surah Ma’arij Surah No. 70 Ayat No. 1 Se 4 Tak)

10. Wo (Allah) Aasman Se Le Kar Zameen (Har) Kaam Ki Tadbeer Farmata Hai Phir Wo (Kaam) Ek Aese Din Mai Jis Ki Mikdaar Tumhari Ginti K Mutabik 1000 Saal Hai Allah Ki Taraf Chadh Jata Hai. (Surah Sajda Surah No. 32 Ayat No. 5)

11. Wo (Yani Farishte) Apne Oopar Se Apne Rabb Se Darte Hai Aur Jo Huqm Unhe Diya Jata Hai Usi K Mutabik (Har) Kaam Karte Hai. (Surah Nahal Surah No. 16 Ayat No. 50)

Allah Ta’ala K Mandarja Bala Farameen Se Saaf Wazey Toor Par Samajh Ata Hai K Allah Apni Tamaam Tar Makhlook K Upar Us Se Juda Aur Buland Hai Kisi Lafz Ki Koi Tashrih Ya Taweel Karne Se Pehle Hame Allah K Ye Darj Zael Farameen Bhi Zehan Mai Rakhne Chahiye Jin Mai Allah Ne Apne Rasool Muhmmad SAW Ko Mukhatib Farma Kar Unke Ummatiyo Ko Unki Aap Saw K Mansab Risalat Ki Zimmedariyo Mai Se Sab Se Aham Zimmedar Batai Hai Aur Hame Ye Samjhaya K Allah K Farameen Mubaraka Ko Allah K Rasool SAW Ki Bayan Karda Qauli Aur Amli Tafseer, Sharah Aur Talimaat K Mutabik Samjha Hai Na K Apni Akal Wa Sooch, Mijaaz Pasand Na Pasand Aur Apne Khud Saakta Jahalat Zuda Falsafo K Mutabik.

 

ALLAH ARSH PAR HAI (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL)
Bismillahirrahmanirraheem

Zikr Shuda Ayaat E Mubaraka K Baad Ab Insha Allah Ahadees E Sharifa Zikr Karta Hu Aeiye Dekhte Hai K Allah K Rasool SAW Ne Allah Ki Is Sifate Uloo Yani Tamaam Tar Makhlooq Se Juda Aur Buland Hone K Bare Mai Kya Farmaya Hai:

1. Muaviya Ibne Hakeemus Sulmi RA Farmate Hai Mere Paas Ek Baandi Hai Jo Uhad (Pahaad) K Saamne Aur Ird Gird Meri Bakriya Charaya Karti Thi Ek Din Mene Dekha K Uski (Nigrani Mai Meri) Jo Bakriya Thi Un Mai Se Ek Ko Bediya Le Gaya, Mai Aadam Ki Aulad Mai Se Ek Aadmi Hu Jis Tarha Baaki Aadmi Gamgeen Hote Hai Mai Bhi Usi Tarha Gamgeen Hota Hu, Lekin Mene (Is Gam Mai) Use Ek Thappad Maar Diya, To Mai Rasool Allah SAW K Paas Aya Kyunki Use Thappad Maarna Mere Liye (Dil Par) Bada (Boojh) Ban Gya Tha, Mene Arz Kiya “Ae Allah K Rasool SAW Kya Mai Use Azaad Kar Du?To Rasool Allah SAW Ne Irshad Farmaya: Us Baandi Ko Mere Paas Lao, To Mai Us Baandi Ko Le Kar Phir Dobara Hazir Hua To Rasool Allah SAW Ne Us Se Daryaft Farmaya Allah Kaha Hai? Us Baandi Ne Jawaban Arz Kiya “Aasmano Par”, Phir Daryaft Farmaya “Mai Kon Hu?”, Us Baandi Ne Jawaban Arz Kiya “Aap Allah K Rasool Hai” To Rasool Allah SAW Ne Mujhe Huqm Farmaya Ise Azaad Kar Do Ye Emaan Wali Hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 537)

2. Abu Huraira RA Se Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Jab Raat Ka Akhiri Teesra Pehar Hota Hai To Hamara Rabb Allah Tabark Wa Ta’ala Har Raat Mai Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai Aur Farmata Hai “Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujh Se Dua Kare K Mai Uski Dua Kabool Karu, Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujhse Koi Sawal Kare K Mai Uska Sawaal Pura Karu, Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujhse Magfirat Talab Kare K Mai Uski Magfirat Karu”. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees No. 758)

3. Abu Huraira RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Raat K Farishte Aur Din K Farishte Tum Loogo Mai Ek Dusre K Pichey Aatey Hai Aur Namaz E Asr Aur Namaz E Fajr K Waqt Ikatthey Ho Jate Hai (Yani Farishto Ka Ek Garoh Fajr K Waqt Ata Hai Aur Asr Tak Rehta Hai, Ye Din K Farishte Hai Aur Dusra Garoh Asr K Waqt Ata Hai Aur Fajr Tak Rehta Hai Ye Raat K Farishte Hai) Phir Wo Farishte Jinhone Tumhare Darmiyan Raat Guzari Hoti Hai (Yani Asr K Waqt Aane Wale Farishte) Uper (Allah Ki Taraf) Chadhte Hai To (Waha) Unka Rabb Unse Puchta Hai, Jabke Wo Bando K Baare Mai Farishto Se Jayada Janta Hai, Tumne Mere Bando Ko Kis Haal Mai Choda? To Farishte Kehte Hai Jab Humne Unhe Choda To Wo Loog Namaz Padh Rahe They Aur Jab Hum Unke Paas Gaye To Wo Namaz Padh Rahe They. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 632, Sahih Bukhari Hadees No. 555, Sahih Ibne Khuzaima Hadees No. 321, Sahih Ibne Hibban Hadees No. 1736, Muatta Imam Malik Hadees No. 416, Musnad Ahmad, Sunan Nasai Kitabus Salaat Hadees No. 489)

4. Abu Huraira RA Se Hi Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Beshaq Allah K Kuch Aese Farishte Hai Jo (Zameen Mai) Chalte Phirte Hi Rehte Hai, Aur (Allah K) Zikr Ki Majliso Ki Talaash Mai Rehte Hai, Jab Wo Koi Aesi Majlis Paate Hai Jis Mai (Allah Ka) Zikr Ho Raha Ho To Wo Zikr Karne Walo K Sath Baith Jate Hai Aur Ek Dusre Ko Apne Paro Se Dhanp Lete Hai, Yaha Tak K Unke Aur Dunya Wale Aasman K Saari Jagah Mai Wo Farishte Phir Jate Hai, Aur Phir Jab Alag Hote Hai To Aasman Ki Taraf Chadhte Aur Buland Hote Hai, Rasool Allah SAW Ne Mazeed Farmaya: To (Waha) Allah Farishto Se Puchta Hai K Tum Sab Kaha Se Aye Ho? Jabke Allah Farishto K Bare Mai Khud Unse Jayada Janta Hai, To Farishte Jawaban Arz Karte Hai, Hum Aapke Un Bando K Paas Se Aye Hai Jo Zameen Mai Aap Ki Pakizagi, Aapki Ki Badhai, Aur Aapki Wahdaniyat Aur Aap Ki Tareef Bayan Karte Hai, Aur Aap Se Sawaal Karte Hai. (Sahih Muslim Kitab Zikr Wa Dua Hadees No. 7015)

5. Abu Saeed Khudri RA Yaman Se Layi Jane Wali Zakat Ki Takseem Ka Ek Waqiya Bayan Karte Hue Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Kya Tum Loog Mujhe Amanatdaar Nhi Jaante Jabke Mai Uski Taraf Se Amanatdaar Hu Jo Aasman Par Hai, Aur Mujhe Subah Wa Shaam Se Khabar Aati Hai. (Sahih Bukhari Kitabul Magazi Hadees No. 4351, Sahih Muslim Kitabuz Zakaat Hadees No. 2500)

6. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jisne Paak (Halaal) Kamayi Se Khajoor K Barabar Bhi Sadqa Kiya Aur (Yaad Rakho K) Allah Ki Taraf Pakeeza (Cheez) K Elawa Aur Kuch Nahi Chadhta To Allah Us Sadqa Ko Apne Sidhey Hath Mai Qabool Farmata Hai Aur Us Sadqa Ko Sadqa Karne Wale K Liye Badhata Hai Yaha Tak Wo Pahaad K Barabar Ho Jata Hai. (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed Hadees No. 7430)

7. Abu Huraira RA Se Hi Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Uski Kasam Jis K Haath Mai Meri Jaan Hai Jab Koi Khawind Apni Beewi Ko Apne Bistar Par Bulaye Aur Wo Beewi Inkaar Kare To Wo Jo Aasman Par Hai Us Aurat Se Us Waqt Tak Naraaz Rehta Hai Jab Tak Us Aurat Ka Khawind Us Se Raazi Nhi Hota. (Sahih Muslim Kitabul Nikah Hadees No. 1436)

8. Abdullah Bin Umar Wa Bin Aaas Raziallahu Anhuma Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Reham Karne Walo Par Rehmaan Reham Karta Hai, Tum Us Par Reham Karo Jo Zameen Par Hai, Tum Par Wo Reham Karega Jo Aasman Par Hai. (Sunan Tirmizi Hadees No. 1924, Sunan Abu Dawood Kitabul Adab Hadees No. 4931, Musannaf Ibne Abi Shaiba Kitabul Adab Hadees No. 925)

9. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jab Allah Takhleeq Mukammal Kar Chuka To Usne Kitab Mai Likha K Mere Rehmat Mere Gussey Par Galib Hogi Wo Kitab Allah K Paas Hai Arsh K Uper. (Sahih Bukhari Kitabul Bad Ul Khalk Hadees No. 3194, Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees No. 2751)

Allah K Rasool Allah SAW Saaf Bata Rahe Hai K Allah Arsh K Uper Hai, Har Jagah Nhi, Aaiye Dekhte Hai K Arsh Kaha Hai, Kahi Aesa To Nhi K Arsh Yahi Kahi Ho Aur Allah Bhi???

10. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jo Allah Aur Uske Rasool Par Emaan Laya Aur Namaz Ada Karta Raha Aur Ramzan K Rooze Rakhta Raha To Allah Par (Uska) Ye Haqq Hai K Allah Use Jannat Mai Dakhil Kare Khawah Usne Allah Ki Raah Mai Jihaad Kiya Ho Ya Apni Basti Mai Hi Zindagi Guzari Ho To Sahaba RA Ne Kaha: Ae Allah K Rasool Allah SAW Kya Hum Loogo Ko Ye Khushkhabri Suna De? To Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Allah Ne Allah Ki Raah Mai Jihaad Karne Walo K Liye Jannat Mai Ek Soo Darjaat Bana Rakhey Hai, Har 2 Darjaat K Darmiyaan Itna Fasila Hai Jitna Zameen Aur Aasman K Darmiyan Hai, Lihaza Jab Tum Allah Se Sawaal Karo To Firdoos Mango Kyunki Wo Jannat Ka Darmiyani Aur Sab Se Buland Muqaam Hai, Mai Samajhta Hu K Us K Uper Rehman Ka Arsh Hai Jis Mai Se Jannat K Darya Phoot Te Hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Hadees No. 2790)

11. Jareer RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Jo Un Par Reham Nahi Karta Jo Zameen Par Hai Us Par Wo Reham Nhi Karta Jo Aasman Par Hai. (Tabraani Hadees No. 2494, Tagzibut Tahzeeb Hadees No. 3411, Sahih Tagzibut Tahzeeb Hadees No. 2255)

12. Salman Faarsi RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Tumhara Rabb Bahut Haya Karne Wala Aur Buzurgi Wala Hai, Jab Uska Koi Banda Uski Taraf Apne Dono Haath Buland Karta Hai To Allah Uski Baat Se Haya Karta Hai K Us Bande K Haatho Ko Khali Na Moodey. (Sunan Abu Dawood Hadees No. 1485, Sunan Tirmizi Hadees No. 3556)

Jab Banda Apne Haath Uthata Hai To Uske Haath Aasman Ki Taraf Hote Hai, Agar Allah Har Jagah Mojood Hai To Aagey Pichey Daaye Baaye Kisi Bhi Taraf Haath Phela Kar Dua Karli Jaani Chahiye, Aasman Ki Taraf Uper Ki Taraf Haath Kyu Uthaaye Jaate Hai???

13. Abdullah Ibne Umar RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Mazloom Ki Baddua Se Daro Kyunki Wo Chingari Ki Tarha Aasman Ki Taraf Chadhti Hai. (Mustadrak E Hakim Hadees No. 81 Is Hadees Ko Imam Hakim Ne Kaha Hai K Ye Muslim Ki Shart Par Sahih Hai)

14. Nawaas Bin Sa’maan Kalbi RA Fitna E Dajjal K Aur Yajooj Majooj K Nikalne Aur Qatal Ki Khabro Par Mushtamil Ek Lambi Hadees Bayan Karte Hue Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Phir Yajooj Majooj Chal Padege Aur Khamr Naami Pahaad K Paas Ja Pahunchege, Aur Ye Pahaad Baitul Muqaddas Wala Pahaad Hai..

1.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: ((أَيْنَ اللَّهُ؟)) Allah kahan hai? Toh Londe ne araz kiye: ((فِى السَّمَاءِ)) Asman par hai, Aap ﷺ ne farmaya: Main koon hoon? Londe ne kaha: Allah k Rasool, Aap ﷺ ne farmaya: Isay aazad kardo yeh mumin awrat hai.

{Sahih Muslim, Kitab-ul-Tawheed, Hadith no.537}

2.Rasoolullah ﷺ ne yom-e-arfa k khutba mein farmaya: Tum Logu say Meray bare mein pucha jayega, Kya ka’hogay? Unhu (Sahaba) ne jawab diya: Hum gawahi deyegay kii bila’shuba Aap ne (deen) pancha diya, amanat ada kar diye aur Aap ne ummat ki har tarha ghair’khahi kiye, Is par Aap ne Apne Ungushte shahadat say ishara farmaya, Aap isay asmaan ki taraf bulund karte thy aur (phir) Ungushte shahadat ka rukh logu ki taraf karte thy (aur farmate thy): Ae Allah! Tu Gowah Rahna, Tu Gowah Rahna, Tu Gowah Rahna, Aap ne teen (3) marta aisa kiya.

{Sahih Muslim, Kitab-ul-Hajj, Hadith no.1217}

3.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Kya tum Mujay ameen nahi samujte aur Main Us (Allah) ka ameen hoon jo asmaan par hai, Meray pass subha aur sham asmaan ki khabaray aate hai.

{Sahih Bukhari, Kitab-ul-Magazi, Hadith no.4351}

4.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Mujay Us Zaat ki kasam Jis k haath mein mere jaan hai! Jo mard apne biwi ko apnay bistar par bulata hai phir wo inkaar kar dete hai toh Wo jo asmaan par hai Us awrat   par naraaz ho jata hai jab tak mard us say raazi naho jaye.

{Sahih Muslim, Kitab-ul-Nikah, Hadith no.1436}

5.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Qayamat k din say bayhosh hojayegay (phir Main sab say phelay hosh mein awuga) toh dekhuga kii Musa arsh k payon mein say ek paya pakaday khaday hai (ya’ani Wo Muj say phelay hosh mein aajayegay).

{Sahih Bukhari, Kitab-ul-Tawheed, Hadith no.7427}

6.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Jab Allah Ta’alah say mangna ho toh firdoos maango kyunkii wo jannat ka sab say darmeyani hisa aur jannat k sab say buland darjay par hai, Yahiya Bin Saliha ne kaha kii main samujta hoon yon kaha kii us k upar Rahman Ka Arsh hai……..

{Sahih Bukhari, Kitab-ul-Jahad, Hadith no.2790}

7.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Ra’ham karne walu par Rahman raham farmata hai, Tum zameen walu par rahum karo tum par jo asmaan par hai rahum farmayega.

{Tirmidhi: 4/323, Hadith no.1924, Mustadrik Lil Hakim: 4/159, Sanad Sahih}

Imam Tirmdhi (Rahimahullah) ne is hadith ko Hasan Sahih kaha hai.

Imam Hakim (Rahimahullah) ne is hadith ko sahih kaha hai.

Imam Zahabi (Rahimahullah) ne b Imam Hakim ki muwafaqat kar k is hadith ko sahih karar diya hai.

Agar koi kahta hai is mein Sufiyan mudalis hai toh iska jawab hai kii Sufiyan ne sama ki sarahat kar diye hai.

{Masnad Humaidi, 1/503, Hadith no.602}

8.Rasoolullah ﷺ ne farmaya: (Nikh roh say) kaha jata hai:    ((مَرْحَبًا بِالنَّفْسِ الطَّيِّبَةِ)) pakizah nafas ko khush aamadeed ((فَلَا يَزَالُ يُقَالُ لَهَا حَتَّى يُنْتَهَى بِهَا إِلَى السَّمَاءِ الَّتِي فِيهَا اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ )) is tarha kaha jata hai hata kii us roh ko asmaan tak puhancha deya jata hai jis par Allah Ta’alah hai.

{Masnad Ahmad, 8/414, Hadith no.8754, Sanad Sahih}

Sheikh Ahmad Shakir (Rahimahullah) ne is hadith ko Sahih karar diya hai. {Masnad Ahmad, 8/414, Hadith no.8754}

Sheikh Shoaib al Aranoot (Rahimahullah) ne is hadith k bare mein farmaya: Is hadith ki sanad Imam Bukhari aur Imam Muslim ki sharat par sahih hai.{Masnad Ahmad, 2/364, Hadith no.8754}

Sheikh Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ne b is hadith ko sahih kaha hai.
{Al-Hadith no.116, Safa no.14}

About these ads

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E SAHABA RA SE DALEEL)

Quran Aur Ahadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam K Baad Hum Aqwaal E Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen Ki Taraf Aatey Hai

1. Abdullah Ibne Umar RA Kehte Hai “Rasool Allah SAW Ki Wafaat K Baad Rasool Allah SAW K Pehle Bila Fazl Khalifa Amirul Momineen Abu Bakr RA Allah K Rasool Allah SAW K Hujre Mai Aye Aur Jhuk Kar Aap Rasool Allah SAW Ki Maiyyat E Mubarak Ko Peshani Par Boosa Diya Aur Farmaya: Aap Par Mere Maa Baap Qurbaan Ho Aap Zindagi Mai Bhi Pakeeza They Aur Mar Kar Bhi Pakeeza Hai Aur Phir Bahar Tashreef Laye Aur Sahaba RA Se Khitab Farmate Hue Irshad Farmaya:

Ae Loogo Agar To Muhammad SAW Tumhare Mabood They Jin Ki Tum Ibadat Karte They To Phir Jaan Lo K Tumhare (Wo) Mabood Muhammad SAW Foout Ho Gye Hai, Aur Agar Tum Loogo Ka Mabood Wo Hai Jo Aasmano Par Hai To Phir Tumhara Mabood Nhi Mara”.

(Imam Bukhari Ki Tarikhul Kabeer Hadees No. 623, Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees No. 37021, Imam Zahabi Aur Imam Sakhawi Ne Ise Sahih Kaha Hai)

2. Kaeis Rh Kehte Hai “Jab Amirul Momineen Hazrat E Umar RA Shaam Gaye To Apni Oothni (Camel) Par Sawar They, Loogo Ne Usne Kaha Agar Aap Ghode Par Sawar Hote To Accha Tha Kyunki Aap Se Milne K Liye Bade Bade Loog Aye Hai To Hazrat E Umar RA Ne Farmaya: Kya Mai Tum Loogo Ko Yaha Se Dikhai Nhi De Raha, Balke Fesley To Waha Se Hote Hai Aur Ye Kehte Hue Apni Ungli Se Aasman Ki Taraf Ishara Kiya”.

(Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees No. 33844 Aur 34443 Al Albani Ne Kaha Is Ki Sanad Bukhari Aur Muslim Ki Shara’it K Mutabik Sahih Hai)

3. Hafiz Qaazi Abu Ahmad Bin Ahmad Isaal Al Subhaani Rh Ne Riwayat Ki K Abdullah Ibne Mas’ood RA Ne Kaha: Allah Paak Hai Aur Khalis Taareef Allah Hi K Liye Hai Aur Allah Sabse Bada Hai, To In Alfaaz Ko Lekar Ek Farishta Allah Azz Wa Jal Ki Taraf Chadhta Hai, Aur Jin Jin Farishto K Paas Se Wo Farishta Guzarta Hai Wo Farishte Ye Alfaaz Kehne Wale K Liye Magfirat Ki Dua Karte Hai Yaha Tak K In Alfaaz Se Rehman Ka Chehra Khush Ho Jata Hai. (Imam Shamsuddeen Zahabi Ne “Al Aluwul Alil Gaffar” Mai Kaha K Is Riwayat Ki Sanad Sahih Hai)

4. Imam Usman Bin Saeed Daarmi “Al Radd Alal Jahmiyah” Mai Sahih Sanad K Saath Abdullah Bin Mas’ood RA Ka Ye Qaul Nakal Kiya: Kabhi Kisi Bande Ko Tijarat Wa Haqoomat Ki Khawahish Hoti Hai Aur Jab Wo Kaam Uske Liye Asaan Hone Lage To Allah Ta’ala Uski Taraf Saato Aasmano K Uper Se Dekhta Hai Aur Farishto Se Kehta Hai: In Kaamo Ko Is Bande Se Door Kardo Agar Ye Kaam Mene Is K Liye Muhaiyya Kar Diye To Ye Kaam Ise Jahannam Mai Dakhil Karne Ka Sabab Ban Jayenge. (Imam Ibne Qayyim Rh Ne Bhi Al Jayoosh Al Islamiya Mai Is Riwayat Ki Sanad Ko Durust Karaar Diya)

5. Ibne Abi Mulaika Rh Se Riwayat Hai K Emaan Walo Ki Walida Mohtarma, Rasool Allah SAW Ki Pakeeza Aur Mehbooba Begam Hazrat E Aisha RA Ki Maut Ki Beemari K Waqt Abdullah Ibne Abbas RA Ne Unke Paas Aaney Ki Ijazat Talab Ki To Ummul Momineen Aisha RA Ne Farmaya “Mujhe Us Se Koi Kaam Nhi” To Abdur Rahman Bin Abu Bakr RA (Ummmul Momineen Aisha RA K Bade Bhai) Ne Kaha Ammi Jaan Ibne Abbas Aapke Neek Baito Mai Se Hai Aur Aap Ki Iyaadat K Liye Aya Hai, To Hazrat E Aisha RA Ne Abdullah Ibne Abbas RA Ko Aney Ki Ijazat Di, Abdullah Ibne Abbas RA Ne Aaney K Baad Aisha RA Ki Mijaaz Pursi Ki Aur Unki Hoosla Afzayi Karte Hue Kaha: Aur Aap (To Wo Hai Jis) Ki Pakeezagi (Ki Gawahi) Allah Ne 7 Aasmano K Uper Se Nazil Ki Jise Jibraeel AS Le Kar Aye. (Mustadrak E Hakim Hadees No. 6726, Musnad Ahmad Hadees No. 2496 Is Hadees Ko Imam Hakim Aur Imam Zahbi Ne Sahih Kaha)

6. Anas RA Ka Kehna Hai K (Emaan Walo Ki Walida Mohtarma) Zainab (Binte Jahash RA) Rasool Allah SAW Ki Dusri Begam Fakhr K Sath Kaha Karti Thi: Tum Loogo Ko Tumhare Khandaan Walo Ne Biyaha Hai Aur Meri Shadi Allah Ne 7 Aasmano K Uper Se Ki
Dusri Riwayat Mai Hai K Farmaya Karti Thi: Allah Ta’ala Ne Mera Nikah Aasman Par Kiya. (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed Hadees No. 7420 Aur 7421)

Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen K Aqwaal Se Bhi Yahi Sabit Hua K Allah Arh Par Hai

Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen K Aqwaal E Mubaraka K Baad Ab Insha Allah Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Se Paish Karunga, Aur Inka Agaaz Ummat K 4 Bade Maroof Aur Marooj Mazahib K Imamo Rahimahullah Se Shuru Karunga

 

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E AA’IMMA (CHAARO IMAMO) SE DALEEL)
Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Mai Sab Se Pehle Ummat K Chaar Bade Sahib E Mazhab Imamo Rahimahulla K Aqwaal Paish Kar Raha Hu, Khayal Rahe K Ye Aqwaal In Charo Bade Imamo Rh K Zamene Ki Tarteeb K Mutabik Hai, Kisi Ka Zikr Pehle Ya Kisi Ka Baad Mai Hone Se Uski Darja Bandi Maksood Nahi.

1. IMAM NOMAAN BIN SAABIT ABU HANIFA RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 150 HIJRI

Abu Ismaeel Ansari Apni Kitab “AL FAROOQ” Mai Abu Mutiul Hakam Bin Abdullah Balkhi Hanfi Jinhone Fiqh E Hanfi Ki Motabar Tareen Kitab “FIQHUL AKBAR” Likhi, Jise Galt Aam Toor Par Imam Abu Hanifa Rh Se Mansoob Kiya Jata Hai, In Abu Mutee K Bare Mai Likha K Unhone Imam Abu Hanifa Rh Se Pucha:

“Jo Ye Kahe K Mai Nhi Janta K Mera Rabb Zameen Par Hai Ya Aasman Par To Aesa Kehne Wale K Baare Mai Kya Huqm Hai?”,

To Imam Abu Hanifa Rh Ne Farmaya:

To Usne Kufr Kiya Kyunki Allah Kehta Hai Rehman Arsh Par Qayam Hua Aur Uska Arsh Saato Aasmano K Uper Hai, Mene Phir Pucha ”

Agar Wo Ye Kahe K Mai Nhi Janta K Allah Ka Arsh Aasman Par Ya Zameen Par Hai (To Phir Uska Kya Huqm Hai)?”,

To Imam Abu Hanifa Rh Ne Farmaya:

Aesa Kehne Wala Kafir Hai Kyunki Usne Is Baat Se Inkaar Kiya K Allah Ka Arsh Aasmano K Uper Hai Aur Jo Is Baat Se Inkaar Kare Wo Kafir Hai.

(Mukhtasar Alawul Alliyil Gaffar Rakam 118, Safa No. 136 Mualiff Imam Shamsuddin Zahabi Rh Nashir Maktaba Islamiya Bairoot Labnaan Dusri Isha’at, Sharah Aqeedatut Tahaviya Safa No. 288 Nashir Maktaba Islamiya, Bairoot Labnaan 9vi Isha’at)

Imam Abu Hanifa Rh Ka Zikr Aya Hai To Pehle Unse Mansoob Fiqh K Imamo Ki Baat Nakal Karta Chalu,

1.1. IMAM ABU JAFAR AHMAD BIN MUHAMMAD TAHAVI HANFI RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 321 HIJRI

Apni Mashoor Kitab “AQIDATUT TAHAVIYA” Mai Kehte Hai: Allah Arsh Aur Uske Alawa Bhi Har Ek Cheez Gani Hai Aur Har Cheez Uske Ahaatey Mai Hai Aur Wo Har Cheez Se Uper Hai Aur Uski Makhlook Uska Ahaata Karne Se Kaasir Hai.

1.2. IMAM SADARUDDIN MUHAMMAD BIN ALAUDEEN RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 792 HIJRI

Jo Ibne Abil’az Hanfi K Naam Se Mashoor Hai Is “AQIDATUT TAHAVIYA” Ki Sharah Mai Imam Tahavi Rh Ki Is Mandarja Bala Baat Ki Sharah Mai Likhte Hai K: Ye Baat Puri Tarha Se Saabit Hai K Allah Ki Zaat Makhlook Se Mili Hui Nhi (Balke Alag Aur Juda Hai) Aur Na Allah Ne Makhlokaat Ko Apne Andar Banaya Hai (Yani Allah Ka Har Cheez Par Muheet Hone Ka Ye Matlab Nhi K Makhlokaat Uske Andar Hai Balke Wo Muheez Hai Apne Ilm K Zariye, Iske Dala’il Abhi Ayenge Insha Allah)

Phir Uske Baad Allah Ta’ala K Apni Makhlook Se Juda, Buland Aur Uper Hone K Dalail Mai Warid Hone Wali Nasoos K Baare Mai Bayan Karte Hai K Ye Nasoos Takreeban 20 Iksaam Mai Hai, Aur Phir Inhi Iksaam Ko Bayan Karte Hue 16 Kisam (16 No.) K Bayan Mai Likha: Fir’oon Ne Kaha Ae Haaman Mere Liye Imarat Banao Takey Mai Raasto Tak Pahunch Saku, Aasman K Raasto Tak (Aur Unke Zariye Uper Jakar) Musa AS K Mabood Ko Jhaank Kar Dekh Lu Aur Beshaq Mai Ise (Yani Musa As Ko) Jhoota Samjhta Hu. (Surah Momin Surah No. 40 Ayat No. 36 Aur 37) Hawala (Sharah Aqidatut Tahaviya Safa No. 287 Nashir Maktaba Islamiya, Bairoot, Labnaan 9vi Isha’at)

2. IMAM MALIK IBNE ANAS RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 179 HIJRI

Mahdi Bin Jafar Bin Abudllah Kehte Hai K Imam Malik Ibne Anas Rh K Paas Ek Aadmi Aya Aur Usne Kaha: Ae Abu Abdullah Rahman Arsh Par Qayam Hua Kese Qayam Hua?
Is Sawal Par Imam Malik Rh Itne Gussey Mai Aye K Mene Unhe Kabhi Itne Gusse Mai Nhi Dekha K Gusse Ki Shiddat Se Imam Sahab Paseena Paseena Ho Gye, Aur Imam Rh Bilkul Khamosh Ho Gye, Loog Intezaar Karne Lage K Ab Imam Sahab Kya Kahenge

Kaafi Dair K Baad Imam Malik Rh Ne Farmaya: Allah Ka Arsh Par Qayam Hona (Yani Istawaa Farmana) Anjaani Khabar Nhi, Aur (Allah K Istawaa Farmane Ki) Kefiyat Aqal Mai Aane Wali Nhi (Kyunki Uski Hamare Paas Us Kefiyat K Baare Mai Koi Khabar Nhi Na Allah Ki Taraf Se Aur Na Hi Us K Rasool SAW Ki Taraf Se) Aur Is Par Emaan Lana Farz Hai, Aur Is Kefiyat K Baare Mai Sawaal Karna Bida’at Hai, Aur Mujhe Ye Andesha Hai K Tum Gumrah Ho. Phir Imam Malik Rh Ne Us Aadmi Ko Masjid E Nabwi Se Nikaal Dene Ka Huqm Diya Aur Usko Nikaal Diya Gaya. (Asbaat E Sifatul Uloo, Riwayat 104 Mu’allif Imam Mofiquddin Abdullah Bin Ahmad Bin Kadama Muqaddasi)

Imam Zahbi Rh Ne Kaha K Ye Qaul Imam Malik Rh Se Sabit Hai Is K Alawa Ye Kaul Imam Malik Rh K Ek Aur Ustaad Se Bi Sabit Hai, In Sha Allah Tabayi K Zikr Mai Unka Zikr Karunga.
Abdullah Bin Naafae Rahimahullah Ka Kehna Hai K Imam Malik Rh Ne Farmaya: Allah Aasmano Par Hai Aur Uska Ilm Har Jagah Hai Aur Uske Ilm Se Koi Cheez Kharij Nhi (Aetaqaad Ahlus Sunnah Muallif Imam Habtullah Lalkayi, Tamheed Muallif Imam Ibne Abdul Barr)

3. IMAM MUHAMMAD BIN IDREES SHAFAE RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 204 HIJRI

Abi Shaiba Aur Abi Soor Rahimahullah Kehte Hai K Imam Shafae Rh Ne Farmaya: Mene Imam Malik Rh Aur Imam Sufyaan Suri Rh Aur Deegar Tabayi (In Ka Zikr In Sha Allah Agey Ayega) Ko Jis Tarha Sunnat Ki Jis Baat Par Paya Mai Bhi Us Par Hi Qayam Hua Aur Wo Baat Ye Hai K: Is Baat Ki Shahadat Di Jaye K Allah K Alawa Koi Saccha Aur Haqeeqi Mabood Nhi Aur Muhammad SAW Allah K Rasool Hai, Aur Allah Aasmano Se Uper Apne Arsh Se Uper Hai, Jise Chahta Hai Apni Makhlooq K Kareeb Hota Hai, Aur Mujhe Chahta Hai Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai Aur Aqeedeh K Degar Muamalaat Ka Zikr Kiya. (Ijtamaul Jevoosh Al Islamiya, Muallif Imam Ibne Qayyim Al Jauzi Rh Nashir Darul Kutub Ilmiya Bairoot Pehli Isha’at)(Mukhtasar Alawul Alliyil Gaffar Rakam 196, Muallif, Muhaqqiq, Nashir Aur Isha’at Tafseel Pehle Likhi Ja Chuki Hai)

4. IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH TAREEK E WAFAAT 241 HIJRI
Yousuf Bin Musa Al Bagdadi Kehte Hai K, Unhe Abdullah Bin Ahmad Bin Hambal Rh Ne Bataya K Unke Walid Imam Ahmad Bin Hambal Rh Se Pucha Gaya: Kya Allah Azz Wa Jal Saato Aasman K Uper Apne Arsh Se Uper, Apni Tamaam Makhlooq Se Uper Hai, Aur Uski Kudrat Wa Ilm Har Jagah Hai?

To Imam Ahmad Bin Hambal Rh Ne Farmaya: Ji Han Allah Arsh Par Hai Aur Us (K Ilm) Se Kuch Kharij Nhi, Imam Allama Ibne Qayyim Al Jauzi Rh Ne Ijtimaul Jewush Al Islamiya Mai Likha K Is Riwayat Ko Imam Imam Abu Bakr Khalaal Rh Ne “ASSUNNAH” Mai Sahih Sanad K Sath Nakal Kiya

Wazeh Rahe K Is Aqeedeh K Bare Mai In Aa’imma E Kiraam Ki Taraf Se Sirf Yahi Aqwaal Mayassar Nhi, Balke Aur Bhi Sahih Sabit Shuda Aqwaal Milte Hai, Mene Sirf Ikhtisaar K Paish E Nazar Ye Chand Aqwaal Nakal Kiye Hai

Charo Bade Sahib E Mazhab Imamao Rahimahullah K Farameen K Baad Ab In Sha Allah Degar Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Paish Karunga.

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E TABAYI AUR TABA TABAYI RAHIMAHULLAH SE DALEEL)-

Charo Imamo Rh K Aqwaal K Baad Degar Tabayi Aur Taba Tabayi K Aqwaal Paish E Khidmat Hai, Jis Tarha Charo Imamo Ka Zikr Karte Hue Unki Tareekh E Wafaat Likhi Thi In Sha Allah Isi Tarha Ab Jin Jin Buzurgaan E Deen Ka Zikr Karunga Unki Tareekh E Wafaat Bhi Zikr Karunga

1. Masrook Bin Ajdaa Al Hamdaani Koofi Rahimahullah (Tabayi Tareekh E Wafaat 62 Hijri)
Inhone Bahut Se Sahaba RA Se Sunnat E Rasool SAW Afzal Salaat Wa Tasleem Ka Ilm Hasil Kiya Aur Aagey Pahunchaya, Jab Ye Emaan Walo Ki Maa Aisha RA Se Koi Hadees Riwayat Karte To Kaha Karte: Mujhe Siddeque Ki Beti Siddeqa, Allah K Habeeb Ki Habeebiya, Jis Ki Baraat 7 Aasmano K Uper Se Hue, Ne Bataya: Aur Phir Hadees Bayan Karte Imam Ibne Qayyim Rh Ne “IJTAMA JAYUSH AL ISLAMIYA” Mai Is Qaul Ko Sahih Karaar Diya.

2. Sufyan Suri Rahimahullah (Tabayi Tareekh E Wafaat 161 Hijri)

Kehte Hai K Mai Rabiyya Bin Abu Abdur Rahman Rahimahullah (Tabayi Tareek E Wafaat 163 Hijri) K Paas Tha K Ek Aadmi Ne Unse Pucha “Rahman Arsh Par Istawa Kese Hue Hai, Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai?” To Unhone Jawab Diya: Istawa Kya Hai Ye Sab Ko Maloom Hai, Aur (Allah K) Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai Ye Hame Nhi Maloom Lekin Is Par Eman Lana Farz Hai Aur Is Kefiyat K Baare Mai Sawal Karna Bidaat Hai, Imam Zahbi Rh Ne Kaha “ALAWUL ALLIYIL GAFFAR” Mai Ye Riwayat Nakal Ki, Aur Imam Al Albani Rh Ne Is Ko Sahih Sanad Karar Diya.

3. Ibne Ayeena Abu Imran Rahimahullah (Taba Tabayi Tareek E Wafaat 198 Hijri)

Kehte Hai K Mai Rabiyya Bin Abu Abdur Rahman Rahimahullah (Tabayi Tareek E Wafaat 163 Hijri) K Paas Tha K Ek Aadmi Ne Unse Pucha “Rahman Arsh Par Istawa Kese Hue Hai, Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai?”

To Unhone Jawab Diya: Istawa Kya Hai Ye Sab Ko Maloom Hai, Aur (Allah K) Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai Ye Hame Nhi Maloom Aur Ye Paigham Allah Ki Tarf Se Hai, Aur Rasool Allah SAW K Zimmey Mai Uski Tableeg Thi (So Wo Unhone Kardi) Aur Hamare Zimmey Is Ki Tasdeeq Karna Hai (Jo Hum Karte Hai) Imam Habtullah Bin Hasan Al Lalkayi Abu Mansoor Rh Tareekh E Wafaat 418 Hijri Ne “ETAQAAD AHLUS SUNNAH” Mai Sahih Sanad K Sath Riwayat Kiya.

4. Imam E Tafseer Al Zihaak Bin Mazahim Halali Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 106 Hijri)

Ki Taraf Se Bayan Karte Hue Kehte Hai K Unhone Kaha: Allah Apne Arsh Par Hai Aur Uska Ilm Un (Yani Uski Makhlookaat) K Sath Hai (Imam Allama Qazi Subhan Abu Ahmad Asaal Aur Imam Habdullah Al Lalkayi Rh Ne Sahih Sanad K Sath Nakal Kiya)

5. Siddeque Ibne Muntasir Kehte Hai K Mene Sulemaan Tameemi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 172 Hijri)
Ko Kehte Hue Suna: Agar Mujhse Ye Pucha Jaye K Allah Kaha Hai To Mai Ye Kahunga K Wo Aasman Par Hai, Imam Zahbi Rh Ki “ALAWUL ALLIYAL GAFFAR” Daleel Rakam 114, Imam Al Albani Rh Ka Kehna Hai K (Ye Kaul) Imam Habtullah Al Lalkayi Rh Ne Sahih Sanad K Sath Riwayat Kiya.

6. Imam Abdur Rahman Bin Umar Al Ouzayi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 157 Hijri)

Kehte Hai: Hum Tabayi Ki Mojoodgi Mai Bhi Ye Hi Kaha Karte They K: Allah Apne Arsh K Uper Hai Aur Allah Ki Jo Bhi Sifaat Sunnat E Shareefa Mai Warid Hue Hai Hum Un Par (Bila Taweel) Emaan Rakhte Hai. (Imam Beheqi Rh Ne “ASMA WA SIFAAT” Mai Imam Hakim Rh Ki Riwayat Se Nakal Kiya)

7. Waleed Bin Muslim Rahimahullah Kehte Hai K Mene Imam Abdur Rahman Bin Umar Al Ouzayi Rh Aur Imam Malik Bin Anas Rh (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri) Aur Imam Sufyan Suri Rh (Taba Tabayi Tareek E Wafaat 161 Hijri) Aur Imam Al Lais Bin Saad Fehmi Misri Rh (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 175 Hijri) Rahimahullah Jameean Se Un Ahadees K Baare Mai Pucha Jin Mai Allah Ki Mukhtalif Sifaat Ka Zikr Hai To Unhone Kaha: Is Par Aese Hi Emaan Rakho Jesa K Ahadees Mai Aya Hai. (MUKHTASAR ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Zahbi Rh)

8. Imam Hammaad Bin Zaid Darham Basri Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri)

Suleman Bin Harb Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 224 Hijri) Kehte Hai K Mene Hammaad Bin Zaid Ko Kehte Hue Suna: Tabayi Aur Sunnat K Imamo Balke Sahaba RA, Aur Allah Aur Uske Rasool SAW Aur Tamaam Emaan Walo Ka Kehna Ye Hi Hai K, Allah Aasman Par Hai Aur Apne Arsh K Uper Hai, Aur Allah Apne Tamaam Aasmano Se Uper Aur Bulanad Hai, Aur Wo Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai, Aur Unka Ye Kehna Quran O Hadees K Dala’il Ki Bunyaad Par Hai Jabke Firqa E Jahmiya Wale Ye Kehte Hai K Allah Har Jagah Mojood Hai Aur Allah Unke Is Batil Qaul Se Paak Hai Balke Uska Ilm Har Waqt Hamare Saath Hai.

(ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahbi Rh)

9. Imam Muhammad Bin Is’haaq Bin Yasaar Imam Magaazi (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 150 Hijri)

Salma Bin Fazal Ka Kehna Hai Muhammad Is’haaq Ne Kaha: Jesa K Allah Ne Apne Baare Mai Bataya Hai K Sab Se Pehle Sirf Paani Tha Aur Uske Uper Allah Ka Arsh Tha Aur Wo Zul Jalaal Wal Ikraam Arsh K Uper Tha, Apni Tamaam Makhlooq Se Buland Aur Uske Uper Koi Cheez Na Thi, Aur Uske Alawa Koi Cheez Na Thi, Phir Allah Ne Rooshni Aur Andhera Banaye, Phir Dhuye Se Saato Aasmano Ki Kamaan Banayi Aur Phir Zameen Ko Bichaya, Phir Aasmano Ki Taraf Mutawajjah Hua Aur Unko Aapas Mai Jooda Aur Unki Takmeel 2 Din Mai Ki, Aur Zameen Aur Aasmano Ki Takhleeq Se 7 Dino Mai Farig Hua, Aur Phir Pehle Ki Tarha Apne Arsh Par Qayam Hua. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahabi Rh)

10. Imam Mujahid Abdullah Bin Mubarak Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 215 Hijri)

Kehte Hai K Mene Abdullah Ibne Mubarak Rh Se Pucha: Hum Apne Rabb Ko Kese Pehchane? To Unhone Jawab Diya: Allah Saato Aasman Par Apne Arsh K Uper Hai, Hum Jahmiya Ki Tarha Ye Nhi Kehte K Allah Har Jagah Yaha Zameen Par Hai. (AL RADD ALA AL MAREESI, Imam Daarmi Rh)

11. Imam Abu Ma’aaz Khalid Bin Suleman Bakhli Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 199 Hijri)

Imam Ubaidullah Bin Saeed Kadama Al Surkhi Rahimahullah Ka Kehna Hai K Unhone Imam Abu Ma’aaz Rh Ko Fargaana K Muqaam Par Kehte Hue Suna: Jahum (Bin Safwaan Jahamiya Fiqey Ka Baani) Tirmaz Ki Guzargah Par Tha Aur Uski Baat Cheet Badi Fasahat Wali Thi, Lekin Na Wo Sahibe Ilm They Aur Na Hi Ilm Walo K Saath Unka Uthna Bethna Tha, Lihaza Wo Loogo (Ko Apne Raaste Pe Laane K Liye Un) K Sath Chikni Chapti Baatey Kiya Karta, Loogo Ne Use Kaha: Jis Rabb Ki Tum Ibadat Karte Ho Hame Uski Sifaat Batao: To Wo (Jaham Bin Safwaan) Apne Ghar Mai Dakhil Ho Gya Aur Kayi Din K Baad Bahar Nikla Aur Loogo Ko Jawab Diya K Wo Jese K Ye Hawa Har Cheez K Sath Hai, Aur Har Cheez Mai Hai Aur Koi Cheez Us Se Khali Nhi To Abu Ma’aaz Ne Kaha: Allah Ka Dushman Jhoot Bolta Hai, Allah To Apne Arsh Par Hai Jesa K Khud Allah Ne Apne Baare Mai Bataya Hai.

(ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahbi Rh, ASMA WA SIFAAT, Imam Behequi Rh)

12. Imam Abdullah Bin Maslimatah Bin Kaanib Maroof Al Kaanibi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 221 Hijri)

Banaan Bin Ahmad Rh Kehte Hai K Imam Kaanibi Rh Ne Jahmi Fiqey K Ek Aadmi Ko Ye Kehte Hue Suna K Rahman Arsh Par Hai To Imam Kaanibi Ne Kaha: Jo Is Baat Par Yaqeen Nahi Rakhta K Rahman Arsh Par Qayam Hai, Jesa K Ab Aam Loog Is Par Yaqeen Nhi Rakhtey To Aesa Karne Wala Jahannami Hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahbi Rh)

13. Imam Abu Bakr Abdullah Bin Zubari Al Humaidi Mufti Ahle Makka Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri)

Bashar Bin Musa Rh Ka Kehna Hai K Al Humaidi Rh Ne Kaha: Hum Sunnat K Usoolo Ko Jis Tarha Paate Hai Un Par Usi Tarha Qayam Hai Aur Wo Ye Hai K, Quran Wa Hadees Mai Jo Kuch Aya Hai Hum Na To Us Mai Koi Kami Baishi Karte Hai Aur Na Hi Us Ki Koi Tafseer Karte Hai, Quran Wa Sunnat Jaha Rukhte Hai Hum Bhi Wahi Ruk Jaate Hai, Aur Hum Ye Kehte Hai K Rahman Apne Arsh K Uper Qayam Hai Aur Jo Aesa Nahi Samajhta Wo Batil Parast Jahannami Hai.

(MUFASSAL ETAKAAD, Sheikhul Islam Ibne Taimiya Rh)

14. Imam Hishaam Bin Ubaidullah Raazi Hanfi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri)

Ali Bin Hasan Bin Yazeed Al Salmi Apne Walid Se Riwayat Karte Hai K “Ek Aadmi Ko Jahannami Aqaid Ka Hamil Hone Ki Wajah Se Tauba Karne Ki Mohlat Dete

Laanati Aamaal Audio Lecture 01

abul qasim madani   final trail .jpg

Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

🎉 New Series 🎉

💿 Album : Laanati Aamaal

📅 Date: 18 th march 2016

⌚ : Baad Namaz E Magrib

👤Speaker: Shaykh AbulQasim Madani Hafizahullah

📋Topic: Laanati Aamaal aur unki Tabah’kariyan

🎙Audios Lectures : 0⃣1⃣

📝 Topic Covered

👉 ” Laanat ” Ka Mafhoom
👉 Allah Ke Deen Ku Chupana
👉 Kufar Aur Shirk Ki Haalat par Mout
👉 Allah Par Jhout Bandhna
👉 Allah Ke Sath kiye Ahad Ku tood Dena
👉 Pak Daaman Auratoun Par ilzam Lagana
👉 Wo Log Jo Jahannam Ki Taraf Bulaty Hain
👉 Jo Allah Aur Rasool ﷺ Ku Takleef Dety Hain
👉 Jo Rishtydari Toodty Hain

📌 Tafseel Ke Liya Audio Samat Farmaiye 📌

◀Previous Duro’s Link⬇
http://1drv.ms/1LKTwio

🎪 Location: Masjid e Salhiya (Awladona masjid) maliya-Kuwait city
http://goo.gl/maps/ThvNI

🎵 Download ⬇

DOWNLOAD

👥Please share with your contact’s And Friend’s 👥

💐💐Jazaak’Allahu Khair💐💐

KABRO KI POOJA / PARASTISH

img-open-shirk-astaghfirullahmp4-810-1

 

“KABRO KI POOJA / PARASTISH”
”KABRO KA AHTARAM / MAGHAR SAJDA HI HARAM”
Aur tumhare RABB ne faisla
farmaya hai ke Uske siwa kisi ki
ibadat na karo.
>Surah Israa:23
Aur us shakhs se bad kar koun
gumrah ho sakta hai, jo aiso ko
pukare, jo Qayamat tak usey
jawaab na de sake aur inko unke
pukaar ne hi ki qabar na ho.
>Surah Ahqaf:5
Allah ke siwa jin jin ko bhi tum
pukaar te ho, wo ek makkhi bhi
paida nahi kar sakte, agarchey ke
wo sab iske liye jamaa ho jaye.
>Surah Hajj:73
Rasul(saw) ne farmaya: Jo shakhs
ghairullah ko pukaarta aur us se
dua aur pukaar karta mar jaye,
toh wo JAHANNAM me jayega.
>Bukhari:4497
Aur Zinde aur Murde barabar nahi
ho sakte, Allah jisko chahata hai
suna deta hai aur Aye Nabi! Tu un
logo ko nahi suna sakta jo KABRO
me hai.
>Surah Fatir:22
Aye Nabi! Beshak Tu MURDO ko
nahi suna sakta.
>Surah Room:52
Aap(saw) ne Ali ibn Abu Talib(ra)
se farmaya: Jo koi Mujassama
dekho toh use MITAA do, koi
OONCHI KABAR dekho toh use
BARABAR kardo.
>Muslim:969
Aap(saw) ne un logo ke upar
LAANAT ki hai, jo log KABRO par
jakar chiraag jala te hai.
>Abu Dawood:3230
Aap(saw) ne KABRO par Masjid
(Sajda karne ki jagah) bana ne
walo par LAANAT farmayi hai.
>Abu Dawood:3288
Rasul(saw) ne KABAR par BAITH
ne se, KABRO ko PAKKHI karne se,
KABRO ko OONCHA karne se,
KABRO par kuch TAMEER karne se
aur KABRO par likhe huye PATTAR
laga ne se manaa farmaya hai.
>Abu Dawood:3225
Rasul(saw) ne farmaya: Jo shakhs
kisi KABAR ka MUJAAWAR bane, us
se behtar hai ke wo AAG ke
angaarey par baith jaye aur AAG
uske jisam aur uske kapdo ko
jalaa kar raaqh kar daale.
>Muslim:2119
Rasul(saw) ne farmaya: Meri
ummat ke bad-tareen log wo
honge, jo KABRO ki ibaadat
karenge, jinki zindagi hi me unke
upar qayamat aayegi.
>Musnad Ahmad:3844
Aap(saw) ne farmaya: Allah ki
LAANAT ho Yahudiyo aur Isayiyo
ke upar, jinho ne apne Ambiya ki
KABRO ko SAJDA-GAAH banaa liya.
>Bukhari:435
Aap(saw) ne farmaya: Aye meri
ummat ke logo! Qabardaar ho jao,
tum se pehle jo log guzre hai, wo
apne Ambiya o Awliya ki KABRO
ko ibadat gaah banaa lete te.
Qabardar tum KABRO ko ibadat
gaah na banana, Mai(saw) tumhe
aisa karne se manaa karta hoon.
>Muslim:1188
Aap(saw) ne dua ki ke aye Allah
Meri KABAR ko Tu bot na banana
ke uski ibadat ki jaye.
>Muatta Malik:9/88
Aap(saw) ne hukm diya ke Meri
KABAR par barbaar laut kar na
aana aur na mela lagana.
>Musnad Ahmad:2/367
Aisha(ra) bayan karti hai ke Umm
Salama(ra) aur Umm Habiba(ra) ne
Hafsha ki sar-zameen ki taraf
hijrat ki, waha unho ne Isayiyo ka
ek girja dekha, jiske andar kuch
tasavir latak rahi thi, is baat ka
taskira unho ne wapsi par Nabi
(saw) ke saam’ne kiya.
Aap(saw) ne farmaya: ye wo log
hai, jab in me se koi nek aadmi
mar jata toh ye uski TASVIR latka
lete aur uski KABAR ko SAJDA-
GAAH banaa lete, aise log Allah ke
nasdeeq BAD-TAREEN maqlooq hai.
>Bukhari:427
Jo log Awliya, Buzargo ki KABRO
ko sajda-gaah bana lete hai aur
unki tasavir latka lete hai, aise log
Allah ke nasdeeq bad-tareen
maqlooq hai.
Rasul(saw) ne Apne Sahaba se
farmaya ke tum Meri KABAR ko
SAJDA-GAAH na banana.
>Muatta Malik, p.65
Aap(saw) ne farmaya: Jis ghar ke
andar kutta ya tasvir ho, waha
rehmat ka farishta dakhil nahi
hota.>Bukhari:4 ¬ /539
Mazaro ya Dargaho ki tasviro ko
gharo me latkana SHIRK hai, PEERO
ya BUZARGO ki KABRO ki tasviro ko
latkana bhi SHIRK hai. Gharo me
jaan-daaro ki tasviro ko latka ne
se rehmat ka farishta hi dakhil
nahi hota.
Aap(saw) ne KABRO par
imaaratein(darg ¬ ah, khankhwah,
Masjid) khadi karne(baand’ne) ¬ se
MANAA kiya hai.
>Muslim:970
Aap(saw) ne un logo ke upar
LAANAT farmaya hai, jo Kabro par
jakar CHIRAAG jalaa te hai.
>Abu Dawood:3238
SHIRK sab se bada GUNAH hai,
SHIRK se Allah ko sab se zyada
nafrat hai. SHIRK karne wala
MUSHRIK hai, SHIRK karne wala
Allah aur Uske Rasul ka dushman hai.
Log khule aam SHIRK kar ke Allah
ke azaab ko dawat de rahe hai,
isliye in KABRO ko zameen ke
barabar kardo. Un Awliya ko
Dargaho ki koi zarurat nahi, balki
ye paisa muhataj musalmano me do.
Apna paisa Molviyo aur Mujawaro
ko mat do, ye log tumare MAAL
aur DEEN ke dushman hai.
DALEEL->
Aye imaan walo! bahoot saare
Molvi, Mujawar, logon ka MAAL
najayaz taur par kha jaate hai aur
unko Allah ke raaste se gumrah
kar dete hai.
>Surah Tauba:34
Nabi(saw) ne farmaya: Allah ka
ghazab un qaumo par nazil hota
hai, jo Apne Ambiya ki KABRO ko
SAJDA-GAAH banaa lete hai.
>Muatta Malik:9/88

Nabi(saw) ne manaa kiya hai ke 3
Masajid ke ilawa kisi aur mukaam
ki taraf sawaab ki niyyat se safar
ka samaan baand kar hijrat na ki
jaye aur wo 3 Masajid hai:
1. MASJIDIL HARAM
2. MASJIDIL AQSA
3. MASJIDIL NABVI
>Bukhari:1189
Jo log badi badi Dargaho aur aise
Qabrastan jaha KABRE OONCHI
banayi gayi ho, wahan sawaab ki
niyyat se safar ka samaan baandh
kar hijrat kar ke jaate hai, ziyarat
ke liye jaate hai, aise log Pyare
Rasul ke hukm ki na-farmani karte hai.
KYA MUSALMAN BHI SHIRK KAR
SAKTE HAI?
JAWAAB: HAAN
DALEEL->
Bahoot saare log Allah par imaan
rakhne ke baad bhi SHIRK karte
hai, MUSHRIK hai.
>Surah Yusuf:106
Allah farmata hai ke tum ko”LAA ILAHA ILLALLAH”ke bare me ilm hona chahiye.
>Surah Mohammad:19
Allah us gunah ko nahi bakhshega
ke kisi ko Uska SHAREEK banaya
jaye aur uske siwa doosre gunah,
jisko chahe maaf kar deta hai.
>Surah Nisaa:48
Abu Bakr(ra) se marvi hai ke Nabi (saw) ne farmaya:
kya Mai tum ko
sab se bada kabira gunah na
bataon?
Aap(saw) ne aisa 3 baar
farmaya,
toh hum ne khaha:
Aye Allah ke Nabi! kyu nahi,
Aap hume zaroor batayein toh Aap (saw) ne farmaya:
Allah ke saath kisi cheez ko SHAREEK karna.
>Bukhari:2511
Har cheez ki ek na ek zid hoti hai
aur TAWHEED ki zid SHIRK hai.
Aye Nabi! Tumhari taraf aur tum
se pehle guzre huye tamaam
Ambiya ki taraf ye WAHIH bheji ja
chuki hai ke agar tum ne SHIRK
kiya toh tumhara kiya karaya
AMAAL ZAAYA ho jayega aur tum
QASARA pane walo me se ho
jaoge.>Surah Zumar:65
SHIRK wo gunah hai, jiske bare
me Allah ne ye yelaan kar diya hai ke jiski Maut bhi SHIRK par aayi,
aise MUSHRIK ke liye JANNAT
HARAM hai, aise MUSHRIK ka
tikhana AAG hai.
DALEEL->
Jisne Allah ke saath SHIRK kiya, us
par Allah ne JANNAT ko HARAM kar
diya hai aur uska tikhana
JAHANNAM hai, waha ye hamesha
rahega aur ZALIMO ka koi
madadgar na hoga.
>Surah Maida:72
Nabi aur Ahle imaan ke liye jayaz
nahi ke wo MUSHRIKO ke liye
maghfirat ki DUA kare, chahe wo
inke rishtedaar hi kyu na ho, jab
ke in par ye baat waazeh ho chuki
hai ke wo JAHANNAMI hai.
>Surah Tauba:113
SHIRK hi ko Qur’an ke andar sab
se bada ZULM khaha gaya hai.
DALEEL->
Luqmaan(as) ne Apne bete ko is
baat ki wasiyat ki ke”Aye Mere
Bachche! Allah ke saath SHIRK na
karna, ye SHIRK bahoot bada ZULM hai”
.>Surah Luqmaan:13
Madad sirf Allah ki taraf se hoti
hai. Kisi Nabi, Wali, Kabar ya Bot se
Madad maangna SHIRK hai.
DALEEL->
Aur Madad sirf Allah hi ki taraf se hai
.>Surah Anfal:10

GHAIR ALLAH SE MADAD MAANGNA

shirk

GHAIR ALLAH SE MADAD MAANGNA
BARELWI AQEEDAH
allah taala ke nek bande allah taala ki ata se madad farmate hain, allah taala ke nek bandon ko allah taala ki zaat ka muzahera jaan kar unse madad talab karna jaye hai
BARELWI DALAIL
” beshaq allah unka madadgaar hai aur jibreel aur nek amaal waale aur uske baad farishte”
(surah tahreem ayat 4)
” tumhare madadgaar nahi magar allah aur uska rasool aur imaan waale”
(surah maida 55)
” aiy imaan waalon sabr aur namaz se madad chhaho”
” aiy iman waalo deen e khuda ke madadgaar ho, jaisa isa ibn maryam ne hawarion se kaha tha kaun hai jo allah ki taraf hokar meri madad kare”
(surah saff ayat no 14 para 28)
JAWAB:
allah taala ka irdhaad hai:-
” beshak allah ye maaf na karega ke uske saath shareeq kiya jaaye aur uske elaawah wah jise chaahe bakhs dega ”
(surah nisa 48)
yahan is baat ko zahen nasheen kar len ke bila’shubah ye bhi hukumat e ilaahi hai ke usne is TAWHEED E WAHYAT ka daaiee koi aisa NABI nahi bheja jiske bahut se dushman na banaaye hon, jaisa ke farmaan e ilaahi hai
” aur isi tarah ham ne nabi ke liye jinno aur insaano se shaitaan shifat dushman banaaye, jo ek dusre ke dil me dhokah wa fareb kaari ke liye malmua ki hui baatein daalte rahte they”
(surah anaam 112)
allah ke deen (seeraat e mustaqeem) par chalne ke liye us raah par baithe hue ahle ilm ke Dalail, dushman e deen se saamna huwa karta hai, toh aapka farz hai ke taalimaat e nabwi se wabasta ho jaayen, taake un shyaateen ka muqaabla kar saken jinke qaid aur sarghane iblees laeen ne ra bb e zul zallal se kaha tha:
” main (unhe gumraah karne ke liye) teri seedhi raah par baithoonga, phir unke paas unke aage se, peeche se, daayen taraf se, aur baayen jaanib se aaunga, aur tu unme se aksariyat ko shukr karne waale nahi paayega”
(surah aaraaf 16, 17)
lekin jab aapne allah ki taraf ruju kar liya, uske dalail wa baraaheen ki taraf mutawajjoh ho gaye toh phir koi khauff wa khatrah aur fikr wa gham na karen, kyonke qur’an wa hadith ke saamne hasab e irshad e ilaahi hai
” shaitaan ki chaalein badi kamzor wa be’buniyaad hoti hain ”
(surah nisa 74)
ahle tawheed me se sirf ek aadmi bhi un mushrikeen ke hazaaron ahle ilm par ghaalib aa jaayega, jaisa ke allah ka irshaad hai
” yaqinan hamaare (mukhlis bandon ke) lashkar hi un par ghaalib hain”
(surah suffaat 173)
ahle baatil koi bhi daleel hujjat pesh karen, qur’aan paak me uske tod ka saamaan maujood hai, chunanche allah ne farmaya:
” wah koi baat bhi laayen ham aapko haq baat pahuncha dete hain, aur bahut accha khol kar bayaan kar dete hain”
Ab ham aapke saamne kitaab e ilaahi ke wah maqaamaat zikr kiye dete hain jo maujoodah mushrikeen ki un baaton ka jawaab hai jo unhone apne liye daleel wa hujjat qaraar de rakhe hain, ham kahte hai ke ahle baatil ka jawaab do tarah se hai
1- mujammal 2- mufassal
MUJAMMAL JAWAB:
Kisi bhi saaheb e aqal wa daanish shakhs ke liye bahut buland aur intehaai mufeed baat allah taala ka ye irshaad giraami hai
” wahi hai jisne aap(sws) par kitab naazil farmayi, iski baaz aayat zaahir al maana(mohkam, bahut sareeh) hain jo kitaab ki jad aur asal hain, aur baaz aayat mutshaabeh (milti julti) hain, pas jin logon ke dilo me mail (kazi) hai wah fitna pardaazi aur aqli taaweelaat ke liye un mutshaabeh aayaat ki pairwi karte hain, haalaanke unki TAWEEL allah ke siwa koi nahi jaanta”
(sura imran 7)
aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) Ek sahih hadith me farmate hain
” jab tum un logon ko dekho jo mutshaabehaat ki pairwi karte hon toh unse bacho kyonke unhi logon ka allah ne zikr farmaya hai”
(bukhaari, muslim, abu dawood)
iski misaal is tarah hai ke jab koi mushrik aapse kahe ke allah ne farmaya hai:
” sun lo ke jab allah ke dost hain, unhe na kuch khauff hoga aur na wah ghamzada honge”
” bila’shubah shafaa’at haq hai aur beshak allah ke yahan ambiya ki khaas qadr hai ”
ya wah nabi e akram rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki koi hadith apne baatil nazariyaat ke jawaaz ke liye pesh kare aur aap uski zikr kardah wah baat ka maana wa matlab nahi samjhte toh aap is tarah jawaab den ke:-” allah taala ne apni kitaab qur’aan majeed me un logon ka zikr farmaya hai jo kaz faham wa kaj ro hain aur mohkam (bahot sareeh) aayaat ko chhod kar mutshaabehaat (milti julti) ki pairwi karte hain, aur maine allah ka jo farmaan Zikr kiya hai use wah bhi bataayen ke mushrikeen e makka tawheed e rubuwiyyat ke qayel they magar unka kufr malaika (angel), ambiya aur awliya se ghalat wa beja talluq ki wajah se tha, aur ye bhi bataayen ke wah kahte they:
” ye toh allah ke yahan hamaare shifaarishi hain ”
ye wah baat aur aayat hai jiska maana saaf hai jiska maana badalne ki kisi me zurrat nahi ”
qur’aan paak aur hadith e rasool (rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ) se jo kuch zikr kiya hai, main toh uska matlab nahi samjhta magar ye bilkul saaf baat hai ke allah ke qalaam me tazaad(ikhtelaaf) ya tanaaqis nahi hai, aur na hi hadith e rasool [rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh)] qalaam ullah ke mukhaalif hoti hai,
aap is aayat ko mamooli na samjhen, lekin isi samjh wahi sakta hai jise tawfeeq e ilaahi haasil ho, jaisa ke allah ka irshaad hai
” nahi Samjhaai jaati ye baat magar un logon ko jo sabr karte hain aur unhe seekha sakta use magar jo bade naseeb waala hai ”
(surah fussilaat 35)
MUFASSAL JAWAB:
Allah ke dushmano ko deen e ambiya wa rasool (as) par bahut se aitraazaat aur shak wa shubuhaat hain jinki badaulat wah logon ko isse barghalaate aur rokte hain
BARELWI KA KEHNA HAI:
” ham allah ke saath shirk nahi karte balke gawaahi dete hain ke us allah wahdahu la shareek ke elawah na koi paida karta hai, na rizq deta hai, na ko nafa de sakta hai, aur nahi nuksaan pahuncha sakta hai, hatta ke hazrat rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) bhi apni zaat ko nafa wa nuksaan pahunchaane ki taqat nahi rakhte, agarche peer abdul qaadir jeelaani (rh) ya koi dusra ho, LEKIN main gunaah gaar hoon, jabke awliya wa saaliheen ko allah ke yahan bada maqaam haasil hai, lihaaza main unke zariye (waseela) se allah se maangta hoon ”

JAWAAB:
jin mushrikeen ke saath rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne JIHAAD kiya, wah bhi is baat ke iqraari they, jiska aapne zikr kiya hai, wah bhi maante they ke unke ye but(idol) koi kaam nahi sawaarte, unhen toh unki jaah hashmat waali shifaarish chaahiye thi, aur uske mutaallik kitabullah ki aayat padh kar masla ki wazaahat karen”
barelwi kahte hain ke ye aayat toh un logon ke baare me utri hai jo buton ko poojte they, awliya allah aur buzurgon ko aap but kis tarah bana rahe hain ya ambiya ko faut shuda kaise kah sakte hain ??
JAWAAB:
baaz Kaafir toh buton ko pukaarte they aur unme se baaz to aisi bhi they jo awliya kiraam ko pukaarte they jinke mutaallik farmaan e illaahi hai
” ye log jin ko pukaarte hai aur apne rabb ki taraf WASEELA dhoondhte hain, un mese bahut nazdeek kaun hai ?”
(surah bani israel 57)
wah hz isa (as) aur unki maa ko pukaarte they… Allah taala ne farmaaya
“nahi maseeh ibn maryam magar paighambar, unse pahle bahut se paighambar ghuzre hain, unki maa siddeeqiyah (waliyah) thin, wah dono khaana khaate they, dekh ham un logon ke liye nishaaniyan kaise bayaan karte hain, phir dekh ke ye kahan se paltaaye jaate hain, kah dijiye ke kya tum siwaaye allah ke aisi cheezon ki ibaadat karte ho jo tumhaare nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi rakhti, aur allah hi sunne waala aur jaanne waala hai”
(surah maida 75-76)
aur allah taala ka irshasd hai
” aur jis din (allah) un sabko ikattha karega phir farishton ko Kahega ke ye tumhaari ibaadat karte they, wah kahenge:- tu paak hai, tu hi hamaara kaarsaaz hai, inki bajaaye, balke ye jinno ki ibaadat karte they aur unki aksariyat jinno par imaan rakhti thi ”
(surah saba 40, 41)

aur allah taalla ne farmaya:
” aur jab allah ne kaha ke aiy isa bin maryam ! Kya tune logon ko kaha tha ke mujhe aur meri maa ko allah ke elawa apna mabood banaayen ? Isa kahenge:-aiy paak parwardigaar ! Mujhe wah baat kahne ki kya padi hai jiska kahne ka mujhe koi haq nahi, agar maine ye baat kahi hui hai toh tu jaanta hai kyonki tu mere dil ke raazon ka waaqif bhi hai aur main tere dil ki kisi baat ko nahi jaanta, beshak tu hi ghaib ka ilm rakhne waala hai ”
(surah maida 116)
ab aapko ilm ho gaya ke jisne but ki taraf ruju kiya usne kufr kiya, jisne saaliheen aur buzurgon ki taraf ruju kiya usne bhi kufr kiya,
aur rasoollullah sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ne unke saath jihaad kiya tha,
BARELWI AQEEDA:
BARELWION KA KAHNA HAI:- kaafir to un buton se muraaden maangte they, jabke main shahaadat deta hun ke bila’shubah nafa dene aur nuksaan pahunchaane waala kaarsaaz sirf allah hi hai, aur usi se hi maangta hun, nek logon ko bas me toh kuch nahi…. Main allah ke yahan unki sirf shifaarish ki ummeed par unka qasad karta hun
JAWAB:
Ye hu bahu kuffaar wali baat hai,
allah taala ka irshad hai:-
” jinhone allah ke bajaaye awliya (aur peeron) ko poojna shuru kiya wah bhi kahte hain ke ham unhe isliye poojte hai taake ye hamen allah ke muqarrabeen bana den”
(surah zumar 3)
aur irshaad e rabbani hai:
” aur wah kahte hain ke ye (but, wali, peer ) allah ke yahan hamare shifaarishi hain ”
(surah younus 18)

BARELWI AQEEDA:
BARELWI kahte hain ke:-” main siwaaye allah ke kisi ki ibaadat nahi karta aur nek logon ki panaah lena aur tangi wa takleef me mushkil kushaai ke liye unhe pukaarna koi ibaadat toh nahi”
JAWAB:
Kya aap ye iqraar karte hain ke allah ne aapko khaalisatan sirf apni ibaadat farz ki hai, aur ye uska aap par haq hai ?
Agar aap ibaadat aur uski anwa wa aqsaam ko na jaanta ho toh allah paak ka aapke liye irshaad hai
” sirf apne rabb ko aajizi se aur poshidgi se pukaaro ”
(surah aaraaf 55)
kya aap samjh gaye ke dua aur pukaar allah ki ibaadat hai
Kyonki Dua toh khaalis ibaadat ka maakhaz hai, jab aap samjh gaye ke pukaarna ibaadat hai, aur aane ne shab wa roz wa rija ya khauff wa ummeed me allah ko pukaara aur phir kisi haajat ke waqt kisi nabi ya ghair nabi ko bhi pukaara toh kya aapne allah ki ibaadat me kisi ghair ko shareek kiya ??
aapke haan kahne ke siwa koi chaarah hi nahi,
allah taala ka irshad hai
” allah ke liye namaz padh aur usi ke naam qurbaani de”
( surah kauthar 2)
aur allah ki farmabardaari ki, aur usi ki naam ki qurbaani di, kiya ye ibaadat hai ??
agar aap kisi makhlooq, nabi, jinn, bhoot, ya unke elaawa kisi ke naam ki qurbaani den toh kya aapne allah ki ibaada me ghair ko shareeq kiya ??
Yaqinan shareeq kiya !!1
wah mushrikeen jin ke mutaallik qur’aan pak ki aayat Naazil hui hai, kya wah farishton, saaliheen aur laat wagerah ki ibaadat karte they ???
dar’asal bhaijaan unki ibaadat bhi dua wa zibaah aur ilteja(waseela) ke siwa kuch na thi..
Balke wah yaqeen rakhte they ke ham allah hi ke ghulaam hain, usi ke qabzah qudrat ke maathat hain, aur allah hi kaarsaaz hai, lekin unhone ghair allah ko unki qadr o manzilat ke pesh e nazar shifaarish ke liye pukaara aur usne rafa e haajat ki bheek maangi, unka ye fael bilkul waazeh shirq hai….
BARELWI AQEEDA:
barelwion ka kahna hai ki AHLE HADITH nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa’at ka inkaar karte hain
JAWAAB:
main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shifaa’at ka inkaar nahi karta hun,
balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shafaa’at karne waale aur maqbool e Shafaa’at hain aur main ummeedwaar e shafaa’at hun,
lekin tamaam tar shafaa’at allah ke haath me hai, jaisa ke farmaan e ilaahi hai
” tamaam tar shafaa’at wa shifaarish allah ke akhtiyaar me hai”
(surah zumar 44)
aur allah ke huqm ke beghair kisi ko shifaarish karne ki ijaazat tak nahi, jaisa ke irshaad e baari taala hai
” kaun hai jo uske paas (kisi ki ) shifaarish kare ? Jab tak ke uska huqm wa ijaazat na ho ”
(surah baqarah 225)
aur jab tak allah paak kisi ke baare me shafaa’at karne ki ijaazat na denge, shifaa’at na ki jaa sakegi, jaisa ke rabbul izzat ka farmaan hai
” aur kisi ke liye shafaa’at na karenge, siwaaye uske jiski shafaa’at par allah ki razamandi haasil ho jaaye” (surah ambiya 28)
aur allah ahle tawheed ke siwa kisi dusre aqeedah waale par razamand na hoga, jaisa ke farmaan e ilaahi hai
” agar kisi ne islaam ke elaawa koi dusra deen pasand kiya toh use allah qubool Nahi karega ”
(surah imran 85)
jab tamaam shafaa’at sirf allah taala hi ke akhtiyaar me hai, uski ijaazat ke beghair mumkin hi nahi aur na hi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ya koi dusra kisi ke baare me shafaa’at karega,
yahan tak ke unhe raza e ilaahi ka ishaara na mil jaaye aur raza e ilaahi ahle tawheed ke siwa kisi ko haasil na hogi,
is tarah jab baat khul kar saamne aagayi ke tamaam tar shafaa’at allah ke haath me hai toh usi se hi yun talab karen
” aiy allah ! Mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki shafaa’at se mahroom na kar ”
” aiy allah ! nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko meri shafaa’at ka akhtiyaar aur mera shafaa bana ”
aur aisi hi deegar duwaayen maanga karen
BARELWI AQEEDA:
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa’at di gayi hai, aur main usi me se talab karta hun jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko allah taala ne ata farmaayi hai…
JAWAB:
allah rabbul izzat ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko shafaa’at ata farmaayi magar aapko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se talab e shafaa’at ke aqdaam se mana kar diya hai, chunanche irshaad e rabbani hai:
” allah ke siwa kisi dusre ko mat pukaaro ” ( surah jinn 18)
jab aap allah se dua karte hain ke wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko aap ka shafaai banaaye to uske farmaan
” allah ke saath kisi dusre ko mat pukaaro ”
ki bhi itaat karen,
shafaa’at nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke elaawah baaz ko bhi di gayi hai,
sahih ahadith se saabit hai ke farishte shafaa’at karenge, awliya allah shafaa’at karenge, aur shanne shaoor se pahle wafaat paa jaane waale bacche bhi shafaa’at karenge,
aur kya aap ye kahte hain ki allah ne Unhe shafaa’at ata ki hai, aur main unse wah talab karta hun ?
Agar aap is tarah kahen toh aap nek logon ki ibaadat ke shirk me mulawwis hongn, jiska kitaab e ilaahi me zikr hai,
aur agar aapka jawaab manfi me ho toh aap ka ye qaul
” ke allah ne unhe haq shafaa’at me akhtiyaar diya hai aur main isi ata kardah haq se talab karta hun”
( qaul e mushrik)
baatil ho gaya…..
BARELWI AQEEDA:
main kisi ko allah ka shareek nahi banaata, lekin saaleh buzurgon ko pukaarna aur unse ilteja e rafa e haajat to shirk nahi hai !
JAWAB:
aap iqraar karte hain ke allah taala ne shirk ko zina se bhi badh kar haraam wa gunaah qaraar diya hai aur allah ye shirk kabhi maaf nahi karega,
wah kaunsa kaam hai jise allah ne haraam qaraar diya hai aur jisko wa qattan nahi bakhshega ??
Ye baat mushrik nahi jaanta…..
aap khud ko shirk se Bari kaise samjhte hain, jabke aap shirk ko jaante hi nahi ??
Allah ne aap par ye kaise haraam kiya aur kaha ke wah ise maaf nahi karega ?
Aap na to iske baare me poochte hain aur na hi use jaante hain, kya aap ye samjh baithe hain ke allah ne shirk ko haraam toh kar diya hai magar shirk ki wazaahat nahi ki ??
BARELWI:- shirk buton ki pooja karne waalon ko kahte hain jabke ham buton ko nahi poojte hain,
AHLE HADITH:- mushrikeen e makka lakdion aur pattharon ke mutaallik ye aqeedah rakhte they ke wah paida karte aur rizq dete hain aur jo unhen pukaare unke kaam sunwaate hain ??
Qur’aan paak unke mutaallik is nazariye ko ghalat qaraar deta hai,
BARELWION KA KAHNA HAI KI KUFFAR E MAKKA:- wah lakdi, patthar ya mazaar ka qasad karte they, unhe pukaarte they, unke liye qurbaani dete aur kahte they ke ye hamen allah ka muqarrab banaate hain, unki barkat se allah hamaari mushkilaat hal karta hai aur unhi ki barkat se hamen nematon Se nawazta hai,
AHLE HADIH:- aapne theek kaha, aur pattharo, qabron aur mazaaron wagerah par aap bhi yahi kuch karte hain, agar usne tasleem kar liya ke ye umoor buton ki ibaadat me shaamil hain toh unka yahi iqraar hamara matloob hai,
barelwion kahne ke mutaabik buton ki pooja ka naam shirk hai,
kya aapki muraad ye hai ke shirk usi ke saath makhsoos hai aur saaliheen se mushkil kushaai ki ilteja karna aur unhen pukaarna shirk nahi ???
Uski tardeed to quraan paak ki surah maida 112, surah saba 40-41, surah zumar 3, surah yunus 18, aayaat karti hain, jo pahle zikr ho chuki hain, jo farishton, hz isa (as) aur deegar saaleh buzurgon ko pukaarne waalon ke kufr se mutaallik hain,
yaqinan aapko tasleem karna padeega ke agar kisi ne allah ki ibaadat me nek bandon me se kisi ko shareek kiya toh yahi wah shirk hai jiska qur’aan paak me zikr hai, uska yahi iqraar hamara asal matloob Hai,
BARELWI:Agar wah kahe ke shirk buton ki ibaadat karna hai
AHLE HADITH: buton ki ibadat karne ka kya matlab hai ?? Tafseel se bataayen !…
BARELWI: main ek allah ke siwa kisi ki ibaadat nahi karta
AHLE HADIH: aap allah taala ki ibaadat ka maana aur uski wazaahat karen..
Ibaadat hi wah masla hai, jiski wajah se mushrikeen ham par tarah tarah ke ilzaamaat aieed karte hain, aur isi masle par aise bawaal khada karte hain jaise unke peshro bhaiyyon ne chillaate hue kaha tha..
” kya usne sab buton ke bajaaye sirf ek maabood muqarrar kar diya hai ? Ye toh badi hairaan kun baat hai ”
(surah saad 5)
BARELWI AQEEDA:
” yani awliya allah par kisi qism ka khauff wa khatrah nahi hota aur na hi wah gham o fikr me mubtela hote hain ”
(surah yunus 62)
JAWAB:
ye toh haqiqat hai, lekin unhen pooja toh nahi jaayega,
ham allah ke saath unki ibaadat aur unhe allah ka shareek thahraane ke siwa toh kisi baat ka inkaar nahi karte balke unki muhabbat hudood e shariat me rahte hue unki farmabardari aur unki haqiqi karaamat ka aitraaf waajib hai,
awliya allah ki karaamat ka inkaar ahle bidat wa zalaalat ke elawa koi nahi karta,
aur allah ka deen dono intehaaiyon (yani awliya ki muhabbat me ghulu aur unki ibaadat aur awliya ke saath khafa aur unki karaamaat ke Qulli inkaar ) ke darmiyaan hai,
aur hidaayat dono gumraahiyon ke wast me aur haq dono baatilon ke darmiyaan hai…..

BARELWI AQEEDA
barelwi kahte hain:- jin mushrikeen wa kuffar ke baare me quraan naazil huwa hai wah allah ki wahdaniyat (la ilaaha illallah ) ki shahaadat nahi they they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb karte they, quraan ko jhutlaate they aur use jaadu qaraar dete they, jabke ham shahadat dete hain ke allah ke siwa koi maabood nahi, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, Ham quraan paak ke saccha qalaam e ilaahi hone ki tasdeeq karte hai, akhrawi zindagi par imaan rakhte hain , namaz ada karte hain, aur roze rakhte hai, phir aap hamen un mushrikeen ke saath kaise milaate hain ???
JAWAB:
Tamaam ulema e ummat ka is baat par ittefaaq hai ke agar kisi ne baaz umoor me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tasdeeq aur kuch baaton me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki taqzeeb ki toh wah kaafir hai, daayera islam se khaarij hai,
isi tarah koi quraan pak ke kuch hisse par imaan rakhe aur kuch hisse ka inkaar kare jaise kisi ne tawheed ka iqraar aur namaz ke farz hone se inkaar kiya, ya tawheed aur namaz ka iqraar aur zakaat ka inkaar kiya, ya un sab ka iqraar kiya aur roze ki farziyat ka inkaar kiya, ya kisi ne un tamaam ka toh iqraar kiya magar fareeza e hajj ka inkaar kar diya, aur jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamaane me Kuch log hajj karne par tayyar na hue toh allah taala ne uske baare me ye aayat naazil farmaayi
” un logon par jo zaad e raah (kharch) rakhte hon sirf allah ke liye baitullah ka hajj farz hai aur jisne kufr kiya allah (usi se kiya) saari duniya se mustaghni aur be’niyaaz hai ”
(surah imran 97)
aur jisne in sab faraiz ka iqraar kar liya lekin hayaat e aakharwi ka inkaar kar diya, unke kaafir hone aur uske jaan wa maal musalmaano ke liye bataur e ghanimat halaal hone par bhi ulema e ummat ka ittefaaq hai, jaisa ke irshad e rabbani hai
” jo log allah ke saath aur uske paighambaron ke saath kufr karte hain aur jo log ye chaahte hain ke allah aur uske rasoolon par hamaara imaan hai aur baaz par nahi aur chaahte hain ke imaan aur kufr ke beech koi raah nikaalen, yaqeen maano ke ye sab log asli kaafir hain aur kaafiron ke liye hamne ahaanat aamez (dardnaak) saza taiyyar kar rakhi hai ” (surah nisa 150-151)
jab allah taala apni kitab quraan e pak me saraahat farma chuka hai ke jo shakhs baaz umoor par imaan laaye aur baaz ka inkaar kare wah haqeeqi maano me pakka kaafir aur mazkoorah azaab ka mustahiq hai toh un mushrikeen ka aitraaz aur shubah zaail (khatm) ho gaya,
1- aap khud iqraar karte hain ke jisne rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tamaam baaton me tasdeek ki aur fareeza namaz ka inkaar kiya uske kaafir hone aur uski jaan wa maal halaal hone par ijma hai,
aise hi wah shakhs jisne tamaam umoor ka iqraar kiya magar aakharwi zindagi ka inkaar kiya, usi tarah wah shakhs jisne ramzaan ul mubaarak ke roze ki farziyat ka inkaar kiya aur deegar tamaam baaton ki tasdeeq ki, uske mutaalliq kisi bhi mazhab me koi ikhtelaaf nahi, aur uske baare me toh khud quraan shaahid hai, jaisa ke hamne uper zikr kiya hai,
ye ek taiy shuda aur laazim haqiqat hai ke tawheed hi Wah azeem fareeza hai jisko le kar rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye aur ye fareeza namaz, zakaat, roza, aur hajj sabse bada hai, toh phir ye kis tarah mumkin hai ke in umoor me se kisi ek ka inkaar karne waala toh kaafir ho jaaye agarchah wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke deegar tamaam ahkaam par amal paira ho ? Aur jab tamaam ambiya e rasool ke deen ” tawheed” ka inkaar kare toh kaafir na ho !
Subhaanallah ! Ye kis qadr tajjub angez wa hairat khair jihaalat hai
2- aap ye bhi samjh len ke rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahaba (ra) ne “bani haneefa” ke saath jihaad kiya halaanke wah rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath islam la chuke they, wah shahadat dete they ke allah ke siwa koi maabood barhaq nahi aur rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain, wah azaane dete aur namaz bhi padhte they . Agar wah kahe ke “banu haneefa” musailma kazzab (la) ko nabi samjhte they, toh kahiye ke yahi baat toh hamen matloob hai,
jab koi shakhs kisi ko nabi e kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka maqaam wa martaba de toh wah kaafir hoga, uska khoon wa maal halaal hogaya,
use iqraar e tawheed wa risaalat aur namaz koi faayeda na de sake toh us shakhs ka kya anjaam hoga ? Jisne ‘ khaaliq wa maalik, raaziq’ kisi sahaba ya kisi nabi , ya kisi peer, wali, buzurg ko is maqaam tak pahuncha diya

isliye allah taala ne farmaya:
” isi tarah allah unke dilon par muhar laga deta hai jo ke nahi jaante”
(surah rum 59)
3- wah log jinhe hz ali (ra) ne aag se jalaaya tha, wah sab islam ka dawa karte they, hz ali (ra) ke ashaab wa rafqa mese they, unhone sahaba kiram (ra) se ilm seekha tha, lekin hz ali (ra) ke baare me yousuf aur shams wa qamar jaisi bad’aqeedgi ka shikaar ho gaye they.
Sahaba Kiram (ra) unki takfeer aur unke saath jihaad karne par jaise jama ho gaye ?
Kya aap us zan e baatil aur kham khayaali me mubtela hain ke sahaba kiram (ra) musalmaano ki takfeer kiya karte they ?
4- ” banu abaid ul qadah ” jo ” bani abbas” ke daur me maghrib aur misr (egypt) ke hukmaran they, wah sab shahadat dete they ke allah ke siwa koi mabood nahi, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke rasool hain,
wah islam ke muddai they aur jumah wah paanch waqt ki namaz pabandi se ada karte they, magar jab unhone sharai umoor me mukhaalifat zaahir ki jo hamaari maujooda ghair sharai harkaat se kahin khafeef aur kam tar thi, toh ulema e waqt unke kufr , unke khilaaf jihaad , unke mulk ko ” balad e harb” qaraar dene par mutaffiq ho gaye aur musalmaano ne unke saath jung karke islami mumaalik unke changul se azaad kara liye…
5- : jab pahle log shirk, Takzeeb e rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh), takzeeb e qur’aan aur inkaar e ba’as (marne ke baad qabron se dobara uthaaya jaana) wagerah ki bina par kaafir qaraar nahi diye gaye balke ” MURTAD” tak qaraar diye gaye.. Jaisa ke sab mazaahib ke tamaam ulema ne zikr kiya hai, aur murtad wah hai jo islam laane ke baad kufr ka artikaab kare.
Ulema e kiram ne bahut se umoor bayaan kiye hain jinka artikaab musalmaan ko kaafir aur uska maal wa jaan halaal kar deta hai,
yahan tak ke unhone ba’zaahir maamooli umoor tak ka bhi zikr kiya hai,
maslan, dil ki mawafiqat ke be’ghair sirf zabaan se kalmah kufr kahna, ya hanste hasaate bar sabeel mazaak aisa kalmah ada karna
6- wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai
” allah ke qasmen khaate hain ke unhone nahi kaha, halaanke unhone kalmah e kufr kaha, aur islam laane ke baad kaafir ho gaye”
(surah tawba 74)
Kya aapne nahi suna ke allah paak ne unhe ek kalmah ki bina par kaafir kah diya hai, halaanke wah ahad risaalat me they, rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath jihaad me shareek hote, namazen padhe, zakaat dete, hajj karte aur allah ki wahdaaniyat par yaqeen rakhte they,
isi tarah wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai
” unse pooche ke tum allah, uski nishaaniyon aur uske rasoolon ke saath mazaaq wa tafreeh karte ho ? Bahaane mat banaao, tum apne imaan ke baad kaafir ho gaye ho ”
(surah tauba 65-66)
un logon ke mutaalliq rabbul izzat ne saraahat farma di ke wah imaandaar hone ke baad kaafir ho gaye they, halaanke wah ghazwa e tabook me rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath they, unhone qalmah kufr ada kiya aur kaha ke hamne toh ye sirf ba’taur e mazaak kaha tha…
BARELWI AQEEDA
barelwion ke yahan ek aur aitraaz wa shubah ye bhi hai ke wah kahte hain:-” nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya hai ke qayamat ke din log hazrat adam (as) se ist’ghaasa (yani madad) talab karenge, phir hz noah (as) se, hz ibrahim (as) se, hz musa (as) se, hz isa (as) aur bil’akhir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas jaayenge ”
maujooda mushrikeen ke nazdeek ye waqeya is baat par dalaalat karta hai ke ghair allah se ist’ghaasa karna SHIRK nahi hai…

JAWAB:
” IST’GHAASA” KI HAQIQAT:
Ham allah ke dushmano ke dilon par muhar saabit karne waali zaat e baari taala ke tasbeeh bayaan karte hue kahte hai ke ham is ist’ghaasa se inkaar nahi karte jo kisi makhlooq se talab ki jaaye, ba’sharte ke wah kaam uske bas me ho,
jaisa ke hz musa (as) ke qisse me allah ka irshaad hai
” jo unki qaum mese tha usne dushman ke fard Ke khilaaf unse madad talab ki ”
(surah qasas 15)
ya jis tarah insaan dauraan e jung ya dusre haalaat me apne saathion se aise kaamon me madad talab karta hai, jiski wah taaqat rakhte hain
Hamne toh ” ist’ghaasa e ibaadat” ka inkaar kiya hai, jaisa ke ye log awliya-allah ke mazaaraat ke paas ya door’daraaz se unki adam maujoodgi me aise umoor me madad wa mushkil kushaai ke taalab hote hain jinki qudrat sirf allah hi ke paas hai,
jab ye saabit ho gaya toh qayamat ke roz logon ka ambiya wa rasool se ist’ghaasa karna ke wah allah se dua farmaayen taake logon ka hisaab wa kitaab ho aur ahle jannat us taaweel rukaawat ki pareshaani se raahat wa aaraam paayen,
is qism ka ist’ghaasa dunya wa aakhirat har do jahan me jaayez hai,
duniya me yun ke aap kisi paak baaz zinda aur haqiqi wali ke paas jaayen jo aapko apne paas bithaaye aur aapki baat sune, aap use kahen ke mere liye allah se dua farmaayen, Jis tarah ke ashaab e rasool (ra) aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hayaat e ba’barkaat me yahi sawaal kiya karte they …
Albatta nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke baad hargiz hargiz aisa nahi huwa ke sahaba kiram (ra) ne roza mubaarak ke paas jaakar ye sawaal kiya ho, balke salaf us saaliheen ne toh aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki qabr e mubaarak ke paas khade hokar allah se sawaal karne ko bhi mamnu kaha hai. Taake koi kamzor imaan waala zaeff ul aitqaad ye na samjh le ke shayad usi roza se rafa e haajat ka sawaal kar raha hai…
BARELWI AQEEDA:
barelwion ka ek aitraaz wa shubah ye bhi hain ke :-” jab hz ibraaheem (as) naar e namrood me daale gaye to hz jibreel (as) hz khaleel (as) ke paas aaye aur kaha:-” koi zarurat hai ? Toh hz ibraaheem ne farmaya:- aapki zaat se ho toh koi zarurat nahi, ”
agar jibreel ameen (as) Se ist’ghaasa shirk hota toh wah hz ibraaheem (as) par iski pesh’kash hargiz na karte……!!!
JAWAB:
hz jibreel (as) ne usi kaam me pesh’kash ki jo unke bas me tha,
kyonke hz jibreel (as) irshaad e illahi ki ru se ” shadeed ul quwa” yani bade hi taaqatwar hain,
agar allah unhe ijaazat deta ke naar e namrood, uske qareeb wa jawaar ki zameen aur pahaadon ko ukhaad kar door mashriq wa maghrib me phenk den toh ye unke bas me tha…
Agar allah huqm deta ke hz ibraaheem (as) ko us jagah se uthaa kar kisi door’daraaz maqaam par pahuncha de to ye unki liye mumkin tha,
aur agar unhen irshaad hota ke ibraaheem (as) ko aasmaan ki taraf uthaa len toh wah us par bhi qaadir the,
ye waqeya toh bilkul usi sahab e daulat wa ghani insaan ki pesh’kash jaisa hai jo kisi majboor aur mohtaaj aadmi ko dekhe aur use karz dene ki khwaahish zaahir kare ya hasab e Zarurat use yun hi kuch dena chaahe magar wah pareshaan haal muhtaaz uski pesh’kash qubool karne se maazrat karde, aur sabr ka daaman haath se na chhode, yahan tak ke khud allah taala use rizq ata kare, jisme wah kisi ghair allah ka ahsaan mand na ho,
agar maujooda mushrikeen me koi faham wa faraasat maujood hai toh bataayen ke ye ‘ IST’GHAASA’ ibaadat aur shirk kahan hai ???
BARELWI AQEEDA/DALAIL:
SAALIHEEN BUZURGON SW MADAD TALAB KARNA:
{Quran 2:154}
“AUR JOH LOG KHUDA KI RAAH MAIN MARE JAAYEN UN KI NISBAT YEH NA KEHNA KE WOH MARE HUE HAIN WOH MURDA NAHI BALKE ZINDAA HAIN LEKIN TUM NAHI JAANTE. ”
{Quran 3:169}
Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai.”
Ab Ye Baat Bhi Prove Ho Gae Inn Do Ayaat Se K Jo Allah Ki Rah Me Maare Jaen Unhe Murda Na Kaho Wo Zinda Hain……..
JAWAB:
Lekin Yahan Pe Ek Baat Clear Krna Zaruri Hai K Jo Log Bhi Shaheed Hue Hain Wo Qabro Me Ja Chukay Hain.
Ab Hamein Quran Ki Ayaat Se Decide Krna Hai K Hamein Waseela Kin Ko Bnana Hai
Apne Amaal Ko, Zinda Zahir Logo Ko Ya Phr Jo Qabro Me Ja Chukay Hain Un Ko.
Note: Shaheed Bhi Zinda Hai Or Dunya Me Rehne Wale Bhi Zinda Hain Fark Itna Hai K Ek Qabar Me Hai Or Ek Nai.
AB DEKHEN QURAAN KYA KAHTA HAI
1))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Allah Se Kaha K Hazrat Haroon(A.S) Ko Mera Wazir(Madad Gaar) Bnaen:
{Quran 20:29-30}
Aur Mere Ghar Waloun Main Se Aik Ko Mera Wazeer Yaani Madadgaar Muqarrar Farma.
30
Yaani Mere Bhai Haroon Ko.
Us Waqt Hazrat Haroon(A.S) Qabar Me NAHI Ja Chukay Thay.
2))) Hazrat Suleman(A.S) Ne Apne Samne Bethe Hue Jin Or Insaan Thay Un Se Kaha K Kon Takht Lane Me Meri Madad Kare Ga:
{Quran 27:38-41}
“Sulaimaan Ne Kaha Ke Ae Darbaar Walo! Koi Tum Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka Ka Takhat Mere Paas Le Aaye.”
39
“Jinnat Main Se Aik Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke QabalIs Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is Par Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon.”
40
“Aik Shakhs Jis Ko Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se Pehle Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye Deta Hoon.Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko Apne Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere Parwardigar Ka Fazal Hai Taa-Ake Mujhe Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-E-Naima t Karta Hoon Aur Joh Shukar Karta Hai Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur Joh Nashukri Karta Hai Toh MeraParwardigar Be Parwa Aur Karam Karne Wala Hai.”
41
“Sulaimaan Ne Kaha Ke MalkaKe Imtihaan-E-Aqaa l Ke Liye Is Ke Takhat Ki Soorat Badal Do.Daikhain Ke Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte.”
Us Waqt Wo Shaks Qabar Me NAHI Ja Chuka Tha Jis Se Hazrat Suleman(A.S) Ne Madad Maangi.
3- Allah Momino Ko Hukum De Rahe Hain K Neki K Kaamo Me Ek Dusre Ki Madad Kiya Karo:
{Quran 5:22}
“Naiki Aur Parhaizgai Ke Kamon Main Aik Doosre Ki Madad(Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki Batoun Main Madad Na Kia Karo Aur Khdua Se Darte Raho.Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka AzaabSakht Ha Yahan Un Momino Se Khitaab Nai Ho Raha Hai Jo Qabar Me Ja Chukay Hain.”
4- Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Khana.E.Kaaba Ki Tameer Ko Waseela Bnaya:
{Quran 2:128}
“AE PARWARDIGAAR, HAM KO APNA FARMAANBARDAAR BANAYE RAKHIYO.AUR HAMARI AULAAD MAIN SE BHI AIK GIROH(GROUP) KO APNA MATEE BANATE REHIYO, AUR PARWARDIGAAR HAMAIN HAMARE TAREEQA-E-IBADA T BATA AUR HAMARE HAAL PAR REHEM KE SATH TAWAJOH(ATTENTI ON) FARMA. BESHAK TU TAWAJOH FARMANE WALA MEHERBAAN HAIYahan Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Achay Amal Ko Waseela Bnaya”
5- Hazrat Moosa(A.S) Ne Apni Qoum Ko Sikhaya K Allah Par Yakeen Ko Waseela Bnao:
{Quran 10:86}
“Aur Apni Rehmat Se Qoum-E-Kuffar Se Nijaat Bakhash.”
Yahan Par Emaan Ko Waseela Bnaya Gya.
6- Hazrat Yousuf(A.S) K Bhaiyon Ne Apne Walid Ki Dua Ko Waseela Bnaya:
{Quran 12:98}
“Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigaar Se Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga.Be Shak Wo Bakhashne Wala MeherbaanHai.”
Us Waqt Un K Walid Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.
Inn Sari Ayaat K Baad Ek Bht Hi Simple Si Example Dun Ga Jo K Hum Sab Daily Routine Me Observe Krte Hain:
Hum Jab Bhi Bemar Hote Hain To Doctor K Paas Jate Hain Or UsKo Waseela Bnate Hain Shifa K Liye Lekin Jab Wo Doctor Qabar Me Chala Jata Hai To Kbhi Bhi Us Ki Qabar Pe Ja K Us Ko Waseela Nai Bnate.
Jo Shaheed Qabar Me Ja Chukay Hain Wo Beshak Zinda Hain Lekin Allah K Paas:
{Quran 3:169}
“Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko Rizq Mill Raha Hai.”
Qayamat K Din Wo Apni Qabro Se Dubara Uthaye Jaen Gai:
{Quran 80:21}
“Phir Us Ko Mout Di Phir Qabar Main Dafan Karaya.”
{Qruan 22:77}
“Aur Ye Ke Qiamat Aane Wali Hai.Is Main Kuch Shak Nahi.Aur Ye Ke Khuda Sab Lougon Ko Joh Qabroun MainHain Jala Uthaye Ga.”
23:16
“Phir Qiamat Ke Din Utha Khare Kiye Jao Ge”
Note: “”Qayamat K Din””
Iss K Baad Ek Bht Hi Payari Ayat Allah Ne Naazil Ki Or Wo Hai:
Note:
”Qayamat Tak” “Wo Hamari Pukaar Nai Sun Skte Lekin Jab Qayamat K Din Sunen Gai To Hamare Dushman Ho Jaen Gai.”
Ye Ayat Pat’thar K Devi,Devta (Idols) K Liye Nai Hai Kyun K Qayamat K Din Wo Zinda Nai Hon Gai Wo To Be.Jaan Hain.

ALLAH KE SIVA KOI MADADGAR NAHI

d

ALLAH KE SIVA KOI MADADGAR NAHI.

Bismillah hir Rahman nir Rahim
Beshak hum apne Rasoolon aor imaan walon ki duniya ki zindagi me bhi madad karte hain aor kyamat k din bhi madad karenge jis din aamaal likhne wale farishte gawahi dene khare hunge (SURAH.AL.MU.MINUN.23AYAT:51) . .
Jo log imaan laye unho ne apne imaan me shirk ki milawat nahi ki aman unhi k liye hai aor yahi log hedaayat par hain
(SURAH.AL.ANAM.06.AYAT:82 ) . .
Aor imaan walon ko ALLAH TALA se hi zyada mohabbat hoti hai
(SURAH.AL.BAQARA.02.AYAT:165) . .
Aap farma dijiye ki beshak meri namaz aor meri har ibadat mera jeena aor marna sab kuch ALLAH TALA hi k liye hai jo sare jahan k palne wale hain
(SURAH.AL.ANAM.06.AYAT-2) .
ALLAH TALA ka irshad hai:logon ALLAH TALA k un ahsaanaat ko yaad karo jo ALLAH TALA ne tum par kiye hain-zara socho to sahi ALLAH TALA k ilawa bhi koi KHALIQ hai jo tumko aasmaan wa zameen se rozi pahunchata ho uske siwa koi haqeeqi mabood nahi fir ALLAH TALA ko chor kar tum kahan chale ja rahe ho
(SURAH.FATIR.35.AYAT:3) . .
Aap farma dijiye hume jo cheez bhi pesh aaye gi o ALLAH TALA k hukm se hi pesh aayegi wahi hamare AAQA aor MAOLA hainaor musalmaano ko chahiye ki sirf ALLAH TALA par hi bharosa karen
(SURAH.AT TOWBAH.09.AYAT:51)
aor agar ALLAH TALA tum ko koi takleef pahunchaye to unke siwa usko door karne wala koi nahi hai-aor agar o tum ko koi rahat pahuchana chahen to unke fazal ko koi ferne wala nahi balki o apna fazal apne bandon me se jis ko chahte hain pahunchaate hain-oh badi magferat karne waleaor nehayat meharbaan hain
(SURAH.YUNUS.10.AYAT.:107) . . .
ALLAH TALA BESHAK HAR SHAI PAR QADIR HAI O JIS ZARIYA SE CHAHE HAMARI MADAD FARMA SAKTA HAI AOR KOI ALLAH TALA PAR QADIR NAHI IS LIYE HUME CHAHIYYE KI HUM USKE BATAYE HUYE TAREEQE K MUTABBIK HI CHALEN AOR JAB QURAAN AOR HADEETH KI BAAT AAJAYE TO AQAL PEECHE RAH JAATI HAI
“HAZRAT ABDUL_LAH BIN MASOOD R.A sy rewayt hai k RASOOL S.A.W ne frmaya ! Jo shaks is halet mai mara k’DUA’ mai’ALLAH’k siwa dosray ko shareek krta tha .aag mai dakhil hua”
(SAHI BUKHARI)
IRSHAD NABVI S.A.W ! “Tum mari tareef mai had sy tajawaz na kro’ jaisy nasari (esaai ) ne ABN_A_MARIYM A.S k silsila mai mubalga sy kaam lia’ mai ALLAH ka banda hon is leay mujhy ALLAH ka banda or Rasool kaho”
SAHI BUKHARI H # 3445
“Or ye k masjiday’n sirf ALLAHhe k leay khaas hain ps ALLAH k sath kisi or ko na pukaro”
SURAH’AL.JINN.72. AYAT’18
Ay logo’n ! Tum (sub) ALLAH k mohtaaj ho or ALLAH be’neaz khubio’n wala hai agar wo chahay tu tum ko fana kr dy or aik nai makhluk paida kr dy or ye bat ALLAH ko kuch mushkil nahi . Or koi uthanay wala dosray ka bojh na uthaay ga. Or koi bojh mai daba hua apna bojh uthanay ko kisi ko bulaay tu koi is mai sy kuch na uthaay ga agarcha qarabat’dar he ho.
SURAH’FATIR.35 AYAT’15,16,17,18
‘ APP S.A.W keh dejeay k mai tu khud apni zaat tk k leay kisi faiday ya nuqsaan ka akhtiyar nahi rakhta. ‘ALLAH’jo kuch chahta hai wohe hota hai.
SURAH’AL.AARAF.07. AYAT’188
”Ay insano’n apny palny waly ‘MALIK’ki narazgi sy bacho. (kew’k) ye haqeqat hai k qayamat ka zalzala bohat bari (dil hela dainy wali) chez hai”
SURAH’AL.HAJ.22. AYAT’1
“(AY ALLAH) ham sirf tayri he ebadat krty hain or sirf tujh he sy maddad mangtay hain”
SURAH’AL.FATIHA.01 AYAT’4
“Kia’ALLAH’apny -banday k leay kafi nahi ?
SURAH.AZ’ZUMAR.39 AYAT’36
“Hamain’ALLAH’k -afi hai or wo acha karsaz hai” SURAh’ALE-IMRAN.03 AYAT’173
“Or bharosa kr os zinda ‘ZAAT BUZURG_O_BARTAR -‘pr jisay mout nahi aay ge”
SURAH’IBRAHIM.14. AYAT’11
“Kya kai (bohat sy)’RAB’behtar hain ya akela or zabardast’ALLAH -‘ behtar hai”
SURAH’YOUSUF.12. AYAT’39
”La quwata illa billah” ‘Kisi mai koi taqat nahi siwa ”ALLAH”k sahary k-
SURA’KAHAF AYAT’39
”Or ham ne bohat sy JIN or INSAN dozakh k leay paida keay hai (kew k) on k pas dil_o_demag tu hain mgr wo on sy sochty he nahi. On k pas ankhain tu hain mgrwo on sy daikty he nahi. On k pas kaan tu hain mgr wo on sy (haq bat ko) sonty he nahi. Wo tu bilkul janwaro’n ki trha hain’ Bal k on sy bhe zayada gumrah hai. Ye wo hain jo bilkul madhosh or ghaflat mai dobay huay hain”
SURA’AL-ARAAF AYAT’179
”Bhala jis shaks ne apni emart ki bunyad’KHUDA’k khof or razamandi pr rakhi wo acha hai ya wo jis ne apni emart ki bunyad gir jany wali khai k kinary pr rakhi k wo is ko dozakh ki aag mai ly gri or’KHUDA’zalmo’ -n ko hedayt nahi daita”
SURA’TOUBA AYAT’109

TAUHEED QURAAN-MAJID KI ROSHNI ME

Tawheed Quran E Majid Ki Roshni Main

TAUHEED QURAAN-MAJID KI ROSHNI ME

Allah-Taala Khud Tauheed Ki Gawahi Deta Hai
Allah Taala Farishte aur Ahle Elm is baat ki gawahi dete hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur wo insaaf ko qayem rakhne wala hai, is Galib aur Hikmat wale ke siwa koi Ibadat ke layeq nahi.
Surah Imraan Aayat No 18
Quraan-Majid Ne Logon Ko Sirf Ek Allah- Taala Ki Ibadat Aur Bandagi Ki Dawat Di Hai
Tum sab ka Mabood ek hi Mabood hai, iske siwa koi Mabood barhaq nahi wo bahut raham karne wala aur bada mahrbaan hai.
Surah Baqrah Aayat No163
Allah ke sath kisi aur Mabood ko na pukaro
Allah ke siwa koi Mabood nahi, har chiz fanaa hone wali hai, siwa iske chehre ke, issi ki Hakimyat-wa-Farmaanrawai hai[yani Allah ke siwa har chiz fanaa hone wali hai] aur tum[sab] issi ki taraf laut jaoge.
Surah Qisas Aayat No 88
Koi Mabood nahi iske yani Allah ke siwa wahi jilata hai aur wahi maarta hai yani wahi zindagi aur maut deta hai wahi tumhar Rab hai aur tumhare agle baap dadaon ka.
Surah Dukhaan Aayat No 08
Tamaam Ambiya-Ikraam Aur Rasoolon Ne Sabse Pahle Apni Apni Quoomo Ko Aqeedah-e-Tauheed Ki Dawat Di
Hazrat Nooh Aalaih islaam Humne Nooh Aalaih islaam ko inki Quoom ki taraf bheja to unho ne farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki ibadat karo iske siwa koi tumhara Mabood hone ke qabil nahi, mujhko tumhare liye ek bade din ke Azaab ka andesha hai.
Surah Aaraaf Aayat No 59
Hazrat Hood Aalaih islaam Aur humne Quoom-e-Aad ki taraf inke bhai Hood Aalaih-islaam ko bheja, unhone farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki ibadat karo, iske siwa tumhara Mabood nahi, so kya tum nahi darte?
Surah Aaraaf Aayat No 65
Hazrat-Saaleh Aalaih islaam Aur humne Quoom-e-Samood ki taraf inke bhai Saaleh Aalaih islaam ko bheja, unhone farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki Ibadat karo iske siwa koi tumhara Mabood nahi, tumhare pass tumhare Parwardigar ki taraf se ek wazah dalil aachuki hai, ye Uotni[camel] hai Allah ki jo tumhare liye dalil hai, so isko chhod do ke Allah-Taala ki zameen me khati phire aur isko burai ke sath hanth bhi mat lagana ke kahi tumko dardnaak Azaab aapakde.
Surah Aaraaf Aayat No 73
Hazrat Shoaib Aalaih islaam Aur humne madeen ki taraf inke bhai Shoib Aalaih islaam ko bheja, unho ne farmaya: Aye Meri Quoom! tum Allah ki ibadat karo iske siwa koi tumhara Mabood nahi, tumhare pass tumhare Parwardigaar ki taraf se wazah dalil aachuki hai, pas tum Naap aur Tauool pura pura kiya karo aur logon ko inki chizen kam kar ke mat do aur tum zameen ki islaah ke baad isme fasaad na karo, ye tumhare liye bahtar hai agar tum momin ho.
Surah Aaraaf Aayat No 85
Hazrat Ibrahim Aalaih islaam Aur Ibrahim Aalaih islaam ne apni Quoom se farmaya: ke Allah-Taala ki ibadat karo aur is se darte raho,agar tum me danaai[samjh] hai to yahi tumhare liye bahtar hai. Tum to Allah-Taala ke siwa Boton ki Ibadat[puja-paat] kar rahe ho aur jhoti batein Dil se gadh[rakh] lete ho, Sono! jin jin ki tum Allah-Taala ke siwa ibadat[puja-paat] kar rahe ho wo to tumhare rozi ke maalik nahi, pas tumhe chhiye ke tum Allah-Taala hi se roziyan talab karo aur ussi ki ibadat akro aur ussi ki sukarguzari karo aur ussi ki taraf tum lauotaye jaoge.
Surah Ankaboot Aayat No16,17
Hazrat Yousuf Aalaih islaam _Iske siwa tum jin ki ibadat puja-paat kar rahe ho wo sab naam hi naam hain jo khud tumne aur tumhare Baap Dadaon ne rakh liye hain, Allah ne iski koi dalil nazil nahi ki, Allah ke siwa kisi ka hukum nahi, isne hukum diya hai ki tum sirf ussi ki ibadat karo yahi sedha Deen hai, magar aksar log Elm nahi rakhte.
Surah Yousuf Aayat No 40
Hazrat Esaa Aalaih islaam Mera aur tumhara Rab sirf Allah-Taala hi hai, pas tum sab iski ibadat karo yahi sedha rasta hai. (Surah Zukhruf Aayat No 64 )
Hazrat Mohammad sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam Aap kah dijiye! ke main to sirf khabardaar karne wala hu aur Allah ke siwa koi ibadat[puja-paat] ke layeq nahi, jo Parwardigaar hai Aasmano ka aur Zameen ka aur jo kuch inke darmiyaan hai, wo zabardast aur bada bakashne wala hai.
Surah Saad Aayat No 65,66
Digar Tamaam Ambiya-Ikraam Aur Rosool Tujhse pahle bhi jo Rasool humne bheja iski taraf yahi “Wahee” nazil farmai ke mere siwa koi Mabood-e-Barhaq nahi bas tum sab meri hi ibadat karo.
Surah Ambiya Aayat No 25
Kisi Nabi Ne Allah-Taala Ke Siwa Apni Ya Kisi Dosre Ki Bandagi Ki Dawat Nahi kisi aise Shakhs ko jise Allah Kitaab-Wa-Hikmat aur Nabuwat de ye layeq nahi ke phir bhi wo logon se kahe ke tum Allah ko chod kar mere bande ban jao balke[wo to kahega ke] tum sb Rab ke ho jao, tumhare kitaab sikhne ke baas aur tumhre kitaab padhne ke sabab[ yani iski kitaab ki taalim ka taqaza hai jise tum padhte ho aur padhate ho]. Aur ye nahi ho sakta ke wo Farishton aur Nabiyon ko Rab bana lene ka hukum kare, kya wo tumhare Musalman hone ke baad bhi tumhe kufr ka hukum dega.
Surah Imraan Aayat 79,80
Aqeedah-e-Tauheed Insaan Ki Fitrat Me Shamil Hai
Pas [Aye Nabi{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam}!] aap yaksu ho kar apna rukh Deen ke liye sidha rkhe, Allah ki wo fitrat jis par isne logon ko paida kiya hai, Allah ki takhliq ko badalna nahi, yahi sidha Deen hai lekin aksar log nahi samjhte.
Surah Room Aayat No 30
Khalis Aqeedah-e-Taueed Hi Dunya- wa-Akhirat Me Aman-wa-Salamti Ki Zamanat Hai
Jo log Emaan laye aur apne Emaan ko zulm[Shirk] ke sath alodah nahi kiya, unhi ke liye Aman hai aur wahi Rah-e-Rast par hain.
Surah Anaam Aayat No 82

Aqeedah-e-Tauheed Par Emaan Lane Wale Hamesha Hamesha Jannat me Rahenge
Aur jo log Emaan laye aur bhale kaam kare hum inhe in Jannaton me le jayenge jin ke niche chashme[nahar] jari hain, jahan ye hamesha hamesha rahenge, ye hai Allah ka Wadah jo sarasar sacha hai aur kaun hi jo apni baat me Allah se jiyada sacha ho?
Surah Nisaa Aayat No 122
Aqeedah-e-Tauheed Ke Liye Sari Dunya Ke Insano Ko Quraan-Majid Ki Dawat-o-Fikr!
( Aye Nabi sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam! inse ) kah dijiye: agar Allah tumhare Kaan[ears] aur tumhari Aankhe[eyes] chheen le aur tumhare Dilon par muhar laga de to batao Allah ke siwa kaun Mabood hai jo tumhe ye(chize) laade? dekhiye kis tarah se hum Apni Aayatein pher pher kar biyaan karte hain, phir bhi wo munh modte hain.
Surah Anaam Aayat No 46
Aye Nabi sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam! kah dijiye: dekho to! agar Allah tum par Qayamat tak hamesha ke liye raat hi raat(taari) kar de to Allah ke siwa kaun Mabood hai jo tumhe roshni[din] la de? kiya phir tum sunte nahi?. Kah dijiye! agar Allah tum par Qayamat tak hamesha ke liye din hi din(taari) kar de to Allah ke siwa kaun Mabood hai jo tumhe raat la de ke tum isme aaraam kar sako? kiya phir tum dekhte nahi?
Surah Qasas Aayat No 71,72
Aqeedah-e-Tauheed Ke Liye Sari Dunya Ke Insano Ko Quraan-Majid Ki Dawat-o-Fikr!
Achha ye batao to! wo Pani jo tum pite ho, Kya wo tumne Badal se nazil kiya hai ya hum nazil karne wale hain? agar hum chahe to isse khara kar de phir tum shukar kyon nahi karte?
Surah Waqiyah Aayat No 68,69,70
Achha batao to! jo Nutfah tum dalte ho[yani jo Mani tum tapkate ho] Kya tum isko paidah karte ho ya hum (iske) Khaliq hain? Hum hi ne tumhare darmiyaan Mout[death] muqaddar kar di hai, aur hum Aajir nahi (balke qadir hain) is baat par ke tum jaisi aur makhloq badal kar le aaye aur tumhe aisi soraton me paida kare jo tum nahi jante aur yaqinan tum pahli paidai ko jaan chuke ho, phir tum nasihat kyon nahi hansil karte?
Surah Waqiyah Aayat No 58,59,60,61,62

Aqeedah-e-Tauheed Ke Liye Sari Dunya Ke Insano Ko Quraan-Majid Ki Dawat-o-Fikr!
Achha phir ye bhi batao ke tum jo kuch bote ho Kya isse tum hi ugate ho ya hum ugane wale hain? Agar hum chahe to isse rezah rezah kar dale aur tum hairat ke sath bate banate hi rah jao, Ke hum par to Tawaan hi pad gaya balke hum bilkul mahroom hi rah gaye.
Surah Waqiyah Aayat No 63,64,65,66,67
Note:- Tawaan ka matlab ye hota hai ke Insaan ko iske maal ya mahnat ka Maozah na mile, balke wo yu hi zaye ho jaye ya zabardasti is se kuch wasul kar liya jaye aur iske badle me isse kuch na diya jaye.
Aur beshak tumhare liye chopayon(Animals) me bhi ibrat [gaur-o-fikr ka samaan) hai, hum tumhe pilate hain is se jo inke peton me hain, Gobar aur Lahoo[Blood] ke bich se khalis doodh[Milk], pine walon ke liye aasani se (halaq me) utar jane wala hai.
Surah Nahal Aayat No 66
Phir kyon nahi (tum Roh ko pher lete) jab wo halaq tak pahunchti hai Aur tum is waqt dekh rahe hote ho Aur hum tumhare nisbat iske jiyada qareeb hote hain lekin tum dekhte nahi Phir agar tum kisi ke muhukum nahi to kyon nahi is (Roh) ko pher lete, agar tum sachhe ho?
Surah Waqiyah Aayat No 83,84,85,86,87